is jaankari ko chhod dein

naujavanon ke saval

sexting ke baare mein mujhe kya pata hona chahiye?

sexting ke baare mein mujhe kya pata hona chahiye?

 sexting ka matlab kya hai?

mobile ke zariye doosron ko laingik taur par uttejit karnevale message, tasveerein ya video bhejne ko “sexting” kaha jaata hai. ek aadmi batata hai, “aajkal yah chalan bahot aam ho gaya hai: pehle aap ek-doosre ko message karte hain, fir dekhte-hi-dekhte ek-doosre ko laingik taur par uttejit karnevali tasveerein bhejne lagte hain.”

log sexting kyon karte hain? the new york times mein ek bade vakeel ne iski ek vajah batayi. uske mutabik kuch naujavanon ka kehna hai, “phone mein apne boyfriend ya girlfriend ki nangi tasveer rakhna ek tarah se sabko batana hai ki aap laingik kaam karne se peechhe nahin hatte. electronic roop mein yah tasveer is baat ki nishani hai ki aapka koi boyfriend ya girlfriend hai.” ek javan ladki ka yah tak kehna hai ki sexting karna “suraksha ka dhyan rakhkar sex karna hai. isse na to garbhvati hone ka khatra rehta hai, na hi koi laingik beemari lagne ka.”

doosre naujavanon ka kehna hai ki woh in kaarnon se sexting karte hain:

  • kisi ko apna boyfriend ya girlfriend banane ke irade se flirt karna.

  • kisi ne unhein laingik taur par uttejit karnevali tasveer bheji hai aur ab un par dabav aata hai ki woh bhi aisi tasveer bhejein.

sexting ke kya anjam hote hain?

 jab aap phone se kisi ko tasveer bhejte hain, to us tasveer ka kis tarah istemal hoga aur aapke naam par kya asar hoga, us par aapka koi bas nahin hota. amanda lenhart, jo pew research center mein sexting par khoj karti hai aur ek visheshagya hai, kehti hai, “aaj logon ke liye gande kaamon ki tasveerein, message ya video bhejna pehle se kahin zyada aasan ho gaya hai. lekin aise saboot hamesha ke liye doosron ke paas reh jaate hain, aap chaahkar bhi unhein mita nahin sakte.”

kuch maamlon mein

  • jis ladke ko nangi tasveerein mili hain, woh ye tasveerein apne doston ka man bahlane ke liye unhein bhejta hai aur is tarah woh tasveerein kai logon ke haath lag jaati hain.

  • kuch ladke apne toote rishte ka badla lene ke liye apni girlfriend ki nangi tasveerein kai logon ko bhej dete hain.

kya aap jaante hain? kai maamlon mein phone ke zariye nangi tasveerein bhejna ek bada apradh maana gaya hai. ise bachchon ke saath durvyavhar karne ya bachchon ki ashleel tasveerein (child pornography) bhejne jitna sangeen apradh maana gaya hai. sexting karnevale kuch kishor bachchon ko sarkari adhikariyon ne yaun-shoshan ka doshi thehraya hai.

pavitra shastra kya kehta hai?

 bible batati hai ki ek pati-patni ka aapas mein yaun-sambandh se khushi paana galat nahin hai. (neetivachan 5:18) lekin ismein saaf-saaf likha hai ki agar do kunvare log aapas mein yaun-sambandh se jude koi kaam karte hain, to yah galat hai. is baare mein bible ki kuch aayton par dhyan deejiye:

  • “tumhare beech naajayaz yaun-sambandh aur kisi bhi tarah ki ashuddhta ya laalach ka zikra tak na ho, na tumhare beech sharmnak bartav, na bevkoofi ki baatein, na hi ashleel mazak ho.”​—ifisiyon 5:3, 4.

  • “apne shareer ke un angon ko maar daalo jinmein aisi laalsayen paida hoti hain jaise, naajayaz yaun-sambandh, ashuddhta, bekaboo hokar vaasnayen poori karna, buri ichhayen aur laalach.”​—kulussiyon 3:5.

in aayton mein hamein “naajayaz yaun-sambandh” se (yaani aise do logon ke beech sambandh, jo pati-patni nahin hain) khabardar kiya gaya hai. iske alava hamein “ashuddhta” (ismein kai baatein shaamil hain, jo naitik taur par ashuddh hain) aur ‘bekaboo hokar vaasnayen poori karne’ se bhi khabardar kiya gaya hai (iska matlab pyar-muhabbat ki bhaavnayen nahin hai, jo pati-patni ek-doosre ke liye zahir karte hain, balki yah ek aisi vaasna hai, jo galat kaam karne ke liye uksati hai).

khud se poochhiye:

  • kisi ko nangi tasveerein bhejna, kyon “ashuddhta” maana jaata hai?

  • sexting se ek vyakti kaise ‘bekaboo hokar vaasnayen poori karne’ ke liye uksaya jaata hai?

  • nangi tasveerein dekhna ya doosron ko bhejna, kyon ‘bura’ hai ya isse nuksan hota hai?

aage di aaytein hamein aur bhi zabardast vajah deti hain ki hamein sexting kyon nahin karna chahiye.

  • “tu apna bharsak kar taaki tu khud ko parmeshvar ke saamne aise sevak ki tarah pesh kar sake jise parmeshvar manzoor kare aur jise apne kaam par sharminda na hona pade.”​—2 timuthiyus 2:15.

  • “socho ki aaj tumhein kaisa insan hona chahiye! tumhara chaalchalan pavitra hona chahiye aur tumhein parmeshvar ki bhakti ke kaam karne chahiye.”​—2 patras 3:11.

in aayton se pata chalta hai ki naitik taur par shuddh rehne ke achhe nateeje milte hain. jab aapka chaalchalan bedag hota hai, to aapko yah chinta nahin satati ki aage chalkar aapko apne kisi kaam par sharminda hona ya pachhtana padega.​—galatiyon 6:7.

khud se poochhiye:

  • main kis tarah ka insan hoon?

  • kya mujhe doosron ke naam aur izzat ki parvah hai?

  • kya main doosron ko dukh pahunchakar maze lena chahta hoon?

  • sexting karne se log mere baare mein kya socheinge?

  • sexting karne se main kis tarah apne mammi-paapa ka bharosa tod raha hota hoon?

sachchi kahani: “meri ek dost thi. usne ek ladke se dosti ki aur yah baat apne mammi-paapa se chhipaye rakhi. fir ek din usne us ladke ko apni ek nangi tasveer bheji aur us ladke ne bhi apni aisi hi tasveer bheji. is baat ko do din bhi nahin huye the ki meri dost ke paapa ne uska phone check kiya. unhonne woh saare message dekhe, jo usne ladke ko bheje the. unhein bahot dhakka laga, unhonne meri dost se seedhe-seedhe poochha aur usne unhein saari baat bata di. main jaanti hoon ki meri dost ko apne kiye par bahot afsos hai. lekin uske mammi-paapa ko yakeen hi nahin ho raha tha aur unke dil ko bahot thes pahunchi. unhein nahin lagta tha ki ab woh us par kabhi bharosa kar paayenge.”

jeevan ki sachchai: sexting karnevala khud ka aur saamnevala ka apman karta hai. ek ladki ke boyfriend ne zabardasti use apni gandi tasveer bhejne ke liye kaha. aisa karne ke baad us ladki ka kehna hai, “mujhe apne aapse ghin hone lagi aur khud par bahot sharminda mehsoos karne lagi.”

sexting karne se aap par aur doosron par bahot bura asar ho sakta hai. yahi nahin, isse aap par mukadma bhi chalaya jaa sakta hai. in baaton ko dhyan mein rakhte huye bible mein the salah maaniye:

aap kya kareinge?

 is asli ghatna par dhyan deejiye aur dekhiye ki aap in haalaat mein bible ki salah kaise laagoo kareinge. janet ki baat par gaur keejiye, fir chuniye ki kaun-saa upay aapko sabse sahi lagta hai.

“ek baar meri mulakat ek ladke se hui aur hamne ek-doosre ke phone nambar liye. use mile ek hafta bhi nahin hua tha ki woh mujhe message karne laga ki main swim-suit pehne apni tasveerein use bhejoon.”​—janet.

aapko kya lagta hai, janet ko kya karna chahiye? agar aap uski jagah hote, to kya karte?

  • 1. aap shaayad sochein: ‘ismein kya burai hai? agar hum samundar kinare ghoomne jaayen, to woh mujhe swim-suit mein hi to dekhega.’

  • 2. aap shaayad sochein: ‘mujhe nahin pata ki uske dimag mein kya chal raha hai. main pehle use apni aisi tasveer bhejoongi, jismein mera shareer achhe se dhaka hua hai aur fir dekhti hoon ki woh kya kehta hai.’

  • 3. aap shaayad sochein: ‘is ladke ko sirf sex se matlab hai. main uska message delete kar doongi.’

teesra raasta sabse sahi lag raha hai, hai naa? bible bhi batati hai, “hoshiyar insan khatra dekhkar chhip jaata hai, magar naadan badhta jaata hai aur anjam bhugatta hai.”​—neetivachan 22:3.

is udahran se pata chalta hai ki sexting ya doosre galat kaamon ki shurooat aksar dosti se hoti hai. to saval hai, kya aap soch-samajhkar dosti karte hain? (neetivachan 13:20) sara naam ki ek ladki kehti hai, “aise logon se dosti keejiye, jo galat kism ke vyavhar ko bardasht nahin karte.” delia naam ki ladki ka bhi kuch yahi kehna hai, “kuch log hamare dost hone ka daava to karte hain, magar woh chahte hain ki hum apne naitik usool tod dein, bajay iske ki hum un par chalein. agar unka chaalchalan parmeshvar ke niyamon ke mutabik nahin hai, to woh aapko bhi galat raah par jaane ka badhava deinge. kya aap vaakai chahte hain ki aapke saath aisa ho?”