is jaankari ko chhod dein

naujavanon ke saval

mujhe message karne ke baare mein kya pata hona chahiye?

mujhe message karne ke baare mein kya pata hona chahiye?
  • :-) agar message karne ke maamle mein soch-samajhkar kaam karein to yah doston ke saath sampark banaye rakhne ka bahot badhiya tareeka ho sakta hai.

  • :-( agar aap apne doston ko bina soche-samjhe message bhejte rahein, to aapki dosti tabah ho sakti hai aur aapki izzat bhi mitti mein mil sakti hai.

is lekh mein bataya jaayega ki aapko is baare mein kya pata hona chahiye

is lekh mein ye bhi hain:

 aap kise message bhejte hain

bahot-se naujavanon ko lagta hai ki doosron se baatcheet karne ke liye message karna behad zaroori hai. message ke zariye aap un sabse baat kar sakte hain jinke number aapke phone mein hain, basharte aapke mammi-paapa ko koi etraz na ho.

“jab main aur meri behen ladkon se baat karti hain to mere paapa ko bilkul achhi nahin lagta. hamein sirf landline par, baithak mein ya kisi ki maujoodgi mein ladkon se baat karne ki ijazat hai.”—lenore.

aapko kya pata hona chahiye: agar aap yoon hi kisi ko bhi apna phone number de dein, to aap museebat mein pad sakte hain.

“agar aap dhyan na dein ki aapka number kis-kis ke paas hai, to ho sakta hai ki aapko aise message ya aisi tasveerein aayen jo aapko pasand nahin.”—scott.

“agar ek ladka kisi ladki ko hamesha message karta rahe ya ek ladki, ladke ko message karti rahe, to unke dil mein uske liye bahot jald lagav paida ho jaayega.”—steven.

bible mein bataya hai: “chatur manushya vipatti ko aate dekhkar chhip jaata hai.” (neetivachan 22:3) kuch had tak saavdhan rehne se aap bahot saare dukhon se bach sakte hain.

sachchi kahani: “meri ek ladke ke saath dosti thi aur hum ek-doosre ko bahot message bhejte the. main sochti thi ki hum sirf achhe dost hain. mujhe tab jaakar khatre ka ehsas hua jab us ladke ne mujhe bataya ki woh man-hi-man mujhse pyar karne laga hai. aaj jab main guzre vakt ko yaad karti hoon to mujhe lagta hai ki main uske saath jitni ghoomti-firti thi aur use message karti thi, mujhe woh sab nahin karna chahiye tha.”—melinda.

sochiye: aapko kya lagta hai ki jab us ladke ne melinda ke liye apni bhaavnaon ka raaz khola, to isse un donon ki dosti par kya asar pada hoga?

kahani dobara likhiye! melinda ko aisa kya karna chahiye tha, jisse melinda aur woh ladka sirf dost rehte aur uske alava kuch nahin.

 aap message mein kya likhte hain

message bhejna itna aasan hota hai aur unko paana itna mazedar hota hai ki hum shaayad bhool jaayen ki hamne jo likha hai, log uska galat matlab bhi nikaal sakte hain.

aapko kya pata hona chahiye: message mein aap jo shabd likhte hain, uska galat matlab bhi nikal sakta hai.

“message mein aap bhaavnaon ka pata nahin laga sakte, fir chahe smilies ya doosre sticker bhi kyon na bheje jaayen. isse galatfhami ho sakti hai.”—briana

“main aisi ladkiyon ko jaanti hoon jinhonne message mein ladkon ko kuch aisa bheja, jis vajah se woh unhonne apna naam kharab kar liya aur woh ishkabazee karnevali maani jaati hain.—laura.

bible kehti hai: “nek insan javab dene se pehle man mein sochta hai.” (neetivachan 15:28, en.dablyoo.) isse hum kya seekhte hain? yahi ki message bhejne se pehle use dobara padhiye!

 aap kab message bhejte hain

agar aap samajh se kaam lein to aap message karne ke maamle mein apne liye kuch niyam bana sakte hain ya jaise kuch log kehte hain, hum adab-kaayde seekh sakte hain.

aapko kya pata hona chahiye: agar aap apni message karne ki aadat par dhyan na dein, to aapke doston ko lag sakta hai ki aapmein tameez nahin hai aur woh aapke kareeb aane ke bajay aapse door bhaageinge.

“message karne ke maamle mein jo adab-kaayde hain unhein ham asani se bhool sakte hain. kabhi-kabhi main kisi se baatcheet kar rahi hoti hoon ya sabke saath khaana khaa rahi hoti hoon, lekin saath-hi-saath main message bhi kar rahi hoti hoon.”—allison.

“gaadi chalate huye message karna khataranak ho sakta hai. agar aap sadak se apni nazrein hata lein, to aap kisi haadse ke shikar ho sakte hain.”—anne.

bible kehti hai: “har ek baat ka . . . ek samay hai, . . . chup rehne ka samay, aur bolne ka bhi samay hai.” (sabhopdeshak 3:1, 7) yah baat message karne par bhi laagoo hoti hai, theek jaise yah zabaan se bolne par laagoo hoti hai!

 message karne ke baare mein sujhav

aap kise message bhejte hain

  • ;-) apne mammi-paapa se mili hidaytein maaniye.—kulussiyon 3:20.

  • ;-) apna phone number sirf chuninda logon ko hi deejiye. agar koi aapki niji jaankari maangta hai, jismein aapka number bhi shaamil hai, to aap adab se baat karke apni jaankari dene se inkar kar deejiye. aisa karke aap apne andar aisi kaabileeyat badha rahe honge, jo bade hone par aapke kaam aayegi.

  • ;-) ishkabazee vaale message bhejkar doosron se bahot zyada dosti mat keejiye. agar aise message ki vajah se pyar-muhabbat ki bhaavnayen jaagne lagein to aap sirf nirasha aur museebat ko daavat de rahe honge.

“mainne cell phone ka istemal karne ke maamle mein apne maata-pita ki nazron mein achha naam kamaya hai, isliye unhein mujh par bharosa hai ki main samajhdari se faisla karoongi ki main apne phone mein kis-kiska number rakhoongi.”—briana

aap kya message karte hain

  • ;-) apna message type karne se pehle, khud se poochhiye, ‘kya yah baat message ke zariye batana sahi rahega?’ shaayad phone parabat karna ya aamne-saamne baat karne ke liye thoda intazar karna zyada sahi ho.

  • ;-) jo baat aap aamne-saamne nahin keh sakte, woh message ke zariye bhi mat kahiye. teis saal ki sara kehti hai, “jo baat bolkar nahin kahi jaa sakti, woh message ke zariye bhi nahin kahi jaani chahiye.”

“agar koi aapko gandi tasveerein bhejta hai, to apne mammi-paapa ko bataiye. ye aapke liye suraksha ka kaam karega aur aapke mammi-paapa ka aap par bharosa bhi badhega.”—sirvan

aap kab message karte hain

  • ;-) pehle se faisla keejiye ki aap kis vakt phone ka bilkul istemal nahin kareinge. olivia naam ki ek ladki kehti hai, “khaana khaate vakt aur padhte vakt main apne paas phone nahin rakhti. main sabhaon ke dauran use band kar deti hoon, taaki main use dekhne ke liye lubhai na jaaun.

  • ;-) doosron ka bhi khyal rakhiye. (filippiyon 2:4) jab aap kisi se aamne-saamne baat kar rahe hon, to us vakt message mat keejiye.

“mainne apne liye kuch niyam thahraye hain, jaise ki doston ke saath hone par main tab tak message na karoon, jab tak ki aisa karna zaroori na ho. aur main apna number bhi un logon ko nahin deti, jo mere zyada kareeb nahin hain.”—janelly.