timuthiyus ke naam doosri chitthi 2:1-26

  • yogya aadmiyon ko sandesh saunp (1-7)

  • khushkhabri ki khaatir dukh sah (8-13)

  • parmeshvar ka vachan sahi tarah istemal kar (14-19)

  • javani mein uthnevali ichhaon se door bhaag (20-22)

  • virodhiyon ke saath kaise pesh aayen (23-26)

2  isliye mere bete,+ tu us maha-kripa se shakti paata jaa jo maseeh yeeshu ke saath ekta mein rehnevalon par hoti hai.  aur jo baatein toone mujhse suni hain aur jiski bahoton ne gavahi di hai,+ woh baatein vishvasyogya aadmiyon ko saunp de taaki woh badle mein doosron ko sikhane ke liye zaroorat ke hisab se yogya banein.  maseeh yeeshu ke ek badhiya sainik ke naate+ mushkilein jhelne ke liye taiyar reh.+  koi bhi sainik khud ko duniya ke kaarobar* mein nahin lagata* taaki woh use khush kar sake jisne use sena mein bharti kiya hai.  aur jo koi khel-pratiyogita mein hissa leta hai, agar woh niyamon ke hisab se na khele to use taaj nahin milta.+  ek mehantee kisan ko hi sabse pehale apni upaj ka hissa milna chahiye.  main jo kah raha hoon us par hamesha dhyan deta reh. prabhu tujhe sab baaton ki samajh* dega.  yaad rakh ki yeeshu maseeh ko mare huon mein se zinda kiya gaya tha+ aur woh daavid ka vanshaj* tha.+ main isi baare mein khushkhabri sunata hoon.+  is khushkhabri ki vajah se main dukh sah raha hoon aur ek apradhi ki tarah kaid hoon.+ fir bhi parmeshvar ka vachan kaid nahin hai.+ 10  isi vajah se main chune huon ki khaatir sabkuch sah raha hoon+ taaki woh bhi maseeh yeeshu ke zariye uddhaar aur woh mahima paa sakein jo hamesha tak rahegi. 11  yah baat bharose ke laayak hai: agar hum uske saath mar chuke hain to vaakai uske saath jeeyenge bhi.+ 12  agar hum dheeraj dharte rahein to uske saath raja bankar raaj bhi kareinge.+ agar hum usse inkar kareinge, to woh bhi hamse inkar kar dega.+ 13  chahe hum vishvasghati niklein, to bhi woh vishvasyogya bana rehta hai kyonki woh khud se inkar nahin kar sakta. 14  unhein parmeshvar ke saamne ye baatein yaad dilata reh aur hidayat de* ki woh shabdon ko lekar jhagda na karein kyonki isse koi faayda nahin hota balki sunnaevalon ko nuksan pahunchta* hai. 15  tu apna bharsak kar taaki tu khud ko parmeshvar ke saamne aise sevak ki tarah pesh kar sake jise parmeshvar manzoor kare aur jise apne kaam par sharminda na hona pade aur jo sachchai ke vachan ko sahi tarah se istemal karta ho.+ 16  khokhli shikshaon ko thukra de jo pavitra baaton ke khilaf hain,+ kyonki aisi shikshayen* aur bhi zyada bhaktiheen kaamon ki taraf le jaayengi 17  aur unki shiksha sade ghaav ki tarah failti jaayegi. huminayus aur filetus aise hi logon mein se hain.+ 18  ye aadmi sachchai ke raaste se hat gaye hain kyonki ye kehte hain ki mare huye zinda kiye jaa chuke hain+ aur ye kuch logon ke vishvas ko tabah kar rahe hain. 19  fir bhi parmeshvar ne jo pakki ninv daali hai woh mazboot bani rehti hai aur us par in shabdon ki muhar lagi hai: “yahova* unhein jaanta hai jo uske apne hain”+ aur “har koi jo yahova* ka naam leta hai+ woh burai ko chhod de.” 20  ek bade ghar mein na sirf sone-chaandi ke, balki lakdi aur mitti ke bhi bartan hote hain. kuch aadar ke kaam ke liye to kuch maamooli istemal ke liye. 21  agar koi maamooli istemal ke baratnon se khud ko door rakhta hai, to woh aisa bartan banega jo aadar ke istemal ke liye pavitra thehraya jaata hai, apne maalik ke kaam aata hai aur har achhe kaam ke liye taiyar kiya jaata hai. 22  isliye javani mein uthnevali ichhaon se door bhaag aur un logon ke saath jo saaf dil se prabhu ka naam lete hain, neki, vishvas, pyar aur shaanti haasil karne mein ji-jaan se laga reh. 23  moorkhta se bhare aur bekar ke vaad-vivadon mein na pad,+ kyonki tu jaanta hai ki inse jhagde paida hote hain. 24  kyonki prabhu ke daas ko ladne ki zaroorat nahin balki zaroori hai ki woh sab logon ke saath narmi* se pesh aaye,+ sikhane ke kaabil ho aur jab uske saath kuch bura hota hai tab bhi khud ko kaaboo mein rakhe+ 25  aur jo sahi nazariya nahin dikhate unhein komalta se samjhaye.+ ho sakta hai parmeshvar unhein pashchatap karne* ka mauka de jisse woh sachchai ka sahi gyaan paayen+ 26  aur shaitan* ke us fande se chhootkar hosh mein aa jaayen jismein usne unhein zinda fansa liya hai taaki woh uski marzee poori karein.+

kai footnote

ya shaayad, “rozmarra ke kaamon.”
shaa., “nahin ulajhta.”
ya “paini samajh.”
shaa., “daavid ke beej se.”
shaa., “achhi tarah gavahi de.”
ya “tabah karta; ulat deta.”
ya “parmeshvar se bagavat karnevale.”
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.
ya “samajhdari.”
ya “apni soch badalne.”
shaa., “iblees.” shabdavli dekhein.