kulussiyon ke naam chitthi 3:1-25

  • purani aur nayi shakhsiyat (1-17)

    • shareer ke angon ko maar daalo (5)

    • pyar, ekta mein jodnevala jod (14)

  • maseehi parivaron ke liye salah (18-25)

3  lekin agar tum maseeh ke saath zinda kiye gaye the,+ to swarg ki baaton ki khoj mein lage raho jahaan maseeh, parmeshvar ke daayen haath baitha hai.+  apna dhyan swarg ki baaton par lagaye rakho,+ na ki dharti ki baaton par.+  isliye ki tum mar gaye the aur tumhara jeevan parmeshvar ke saath ekta mein maseeh ke saath chhipa hua hai.  jab maseeh jo hamara jeevan hai,+ prakat hoga tab tum bhi uske saath mahima mein prakat kiye jaaoge.+  isliye apne shareer ke un angon ko* maar daalo+ jinmein aisi laalsayen paida hoti hain jaise, naajayaz yaun-sambandh,* ashuddhta, bekaboo hokar vaasnayen poori karna,+ buri ichhayen aur laalach jo ki moortipooja ke barbar hai.  inhin baaton ki vajah se parmeshvar ka krodh aa raha hai.  tum bhi pehale aise kaamon mein lage huye the aur yahi tumhare jeene ka tareeka tha.*+  magar ab tum in sab baaton ko khud se poori tarah door karo, jaise krodh, gussa, burai,+ gaali-galauj+ aur munh se ashleel baatein+ kehna.  ek-doosre se jhooth mat bolo.+ purani shakhsiyat* ko uski aadton samet utar feinko+ 10  aur woh nayi shakhsiyat pehn lo+ jiski srishti parmeshvar karta hai aur use sahi gyaan ke zariye naya banate jaao taaki yah parmeshvar ki chhavi ke mutabik ho jaaye,+ 11  jismein na to koi yoonani hai na yahoodi, na khatna paaya hua na khatnarahit, na pardesi na skooti,* na gulam na hi aazad, magar maseeh sabkuch aur sabmein hai.+ 12  isliye parmeshvar ke chune huon+ ke naate tum jo pavitra aur pyare ho, karuna se bharpoor gehre lagav,+ kripa, namrata,+ komalta+ aur sabraa+ ka pehnava pehn lo. 13  agar kisi ke paas doosre ke khilaf shikayat ki koi vajah hai,+ to bhi ek-doosre ki sehte raho aur ek-doosre ko dil kholkar maaf karte raho.+ jaise yahova* ne tumhein dil kholkar maaf kiya hai, tum bhi vaisa hi karo.+ 14  magar in sab baaton ke alava, pyar ka pehnava pehn lo+ kyonki yah poori tarah se ekta mein jodnevala jod hai.+ 15  saath hi, maseeh ki shaanti tumhare dilon par raaj kare*+ kyonki isi shaanti ke liye tum bulaye gaye ho taaki tum ek shareer bane raho. dikhao ki tum kitne ehsanmand ho. 16  maseeh ka vachan poori buddhi ke saath tumhare andar bahotayat mein bas jaaye. bhajan gaakaar, parmeshvar ka gungan karke aur ehsan-bhare dil se upasna ke geet gaakaar ek-doosre ko sikhate raho aur ek-doosre ki himmat bandhate* raho+ aur apne dilon mein yahova* ke liye geet gaate raho.+ 17  aur jo kuch tum kaho ya karo, sabkuch prabhu yeeshu ke naam se karo aur uske zariye parmeshvar yaani pita ka dhanyavad karo.+ 18  hey patniyo, apne-apne pati ke adheen raho,+ jaisa prabhu ke chelon ko shobha deta hai. 19  hey patiyo, apni-apni patni se pyar karte raho+ aur un par gusse se aag-baboola mat ho.*+ 20  hey bachcho, har baat mein apne maata-pita ka kehna maannevale bano+ kyonki prabhu isse khush hota hai. 21  hey pitao, apne bachchon ko kheej na dilao,*+ kahin aisa na ho ki woh himmat haar baithein.* 22  hey daaso, jo duniya mein tumhare maalik hain har baat mein unki aagya maano,+ sirf tab nahin jab woh tumhein dekh rahe hon, maano tum insanon ko khush karna chahte ho, balki man ki seedhai se aur yahova* ka dar maante huye aisa karo. 23  tum chahe jo bhi kaam karo, tan-man se aise karo maano yahova* ke liye kar rahe ho+ na ki insanon ke liye 24  kyonki tum jaante ho ki yahova* se hi tumhein inam ke taur par virasat milegi.+ apne maalik maseeh ke daas bankar uski seva karo. 25  beshak, jo bura karta hai woh apne bure kaamon ka fal paayega+ aur kisi tarah ka pakshpat nahin kiya jaayega.+

kai footnote

shaa., “un angon ko jo dharti par hain.”
yoonani mein porniya. shabdavli dekhein.
ya “tum aisa hi jeevan bitate the.”
shaa., “insan.”
yahaan “skooti” ka matlab hai asabhya log.
ati. ka5 dekhein.
ya “dilon ko kaaboo mein rakhe.”
ya “ko samjhate-bujhate.”
ati. ka5 dekhein.
ya “unse kathor vyavhar mat karo.”
ya “gussa; chidh mat dilao.”
ya “nirash ho jaayen.”
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.