is jaankari ko chhod dein

naujavanon ke saval

kya hamein apna rishta tod dena chahiye? (bhaag 1)

kya hamein apna rishta tod dena chahiye? (bhaag 1)

kabhi-kabhi rishta todne mein hi aapki bhalai ho sakti hai. gaur keejiye ki jill ke saath kya hua tha. woh kehti hai, “mere boyfriend ko hamesha meri chinta rehti thi ki main kahaan hoon, kya kar rahi hoon aur kiske saath hoon. shuroo-shuroo mein mujhe yah bahot achha lagta tha lekin dheere-dheere uski ye chinta itni badh gayi ki woh mujhe uske siva kisi aur ke saath samay hi nahin bitane deta tha. yahaan tak ki woh tab bhi chidh jaata tha, jab main apne parivar ke saath samay bitati thi, khaaskar apne paapa ke saath. jab mainne apne boyfriend ke saath apna rishta tod diya, tab mujhe aisa laga maano mere kandhon se ek bhaari bojh utar gaya ho!”

sara ke saath bhi kuch aisa hi hua. woh john naam ke ladke ke saath dating karti thi. usne gaur kiya ki john, nuktacheeni karnevala, had-se-zyada ki maang karnevala aur rukhai se pesh aanevala insan hai. woh yaad karti hai, “ek baar woh mere ghar teen ghante der se aaya! jab meri mammi ne darvaza khola, to usne unhein andekha kar diya aur kehne laga, ‘jaldi chalo, hamein der ho gayi.’ usne yah nahin kaha ki ‘mujhe der ho gayi’ balki yah kaha ki ‘hamein der ho gayi.’ use maafi maangani chahiye thi aur der se aane ki vajah batani chahiye thi. aur sabse badhkar use meri mammi ke saath aadar se pesh aana chahiye tha!”

maana ki apne dost ki bas ek galti ya ek buri aadat ki vajah se uske saath apna rishta tod dena sahi nahin hoga. (bh. 130:3) lekin jab sara ne dekha ki john ka rookha vyavhar ek baar ki baat nahin balki uski aadat hai, to usne uske saath apna rishta tod dene ka faisla kiya.

agar jill aur sara ki tarah aapko bhi lage ki aap jiske saath dating kar rahe hain, woh aapke liye ek sahi jeevan-saathi saabit nahin hoga to aap kya kar sakte hain? apni bhaavnaon ko andekha mat keejiye! haalaanki us rishte ko khatm karna aasan nahin hota, fir bhi aisa karna hi sahi hoga. neetivachan 22:3 mein likha hai, “chatur manushya vipatti ko aate dekhkar chhip jaata hai; parantu bhole log aage badhkar dand bhogte hain.”

yah sach hai ki rishta todna itna aasan nahin. lekin shaadi ek atoot bandhan hai. isliye aaj kuch samay ke liye dard sahna, baad mein zindagi bhar pachhtane se to behtar hi hoga!