is jaankari ko chhod dein

naujavanon ke saval

agar kuch galat karne ka man kare, to khud ko kaise rokoon?

agar kuch galat karne ka man kare, to khud ko kaise rokoon?

parmeshvar ke ek sevak paulus ne kaha tha, jab main achha karna chahta hoon, to apne andar burai ko hi paata hoon. (romiyon 7:21) kya aapko bhi kabhi aisa laga hai? agar haan, to is lekh se aap jaan paayenge ki aap galat ichhaon par kaise kaaboo paa sakte hain.

 aapko kya pata hona chahiye?

doston ki baaton mein aakar aap galat kaam kar sakte hain. pavitra shastra bible mein likha hai, buri sangati achhe usoolon ko bigaad deti hai. (1 kurinthiyon 15:33, footnote) media aur logon ki baatein aapke man mein galat ichhayen paida kar sakti hain aur ho sakta hai ki aap bheed ke peechhe jaakar koi bura kaam kar baithein.—nirgaman 23:2.

“sab chahte hain ki log unse dosti karein, isliye woh logon ki dekha-dekhi kuch bhi karne ke liye taiyar ho jaate hain.—jeremy.”

zara sochiye: agar ek vyakti is baare mein chinta karta rahe ki log uske baare mein kya sochte hain, to galat ichhaon par kaaboo rakhna aur bhi mushkil kyon ho jaayega?—neetivachan 29:25.

sau baat ki ek baat: logon ki baaton mein aakar apne usoolon se samjhauta mat keejiye.

 aap kya kar sakte hain?

sochiye ki aap kya maante hain aur aapke usool kya hain. agar aapko pata hi nahin ki aap kya maante hain, to aap logon ke haathon ki kathputli ban jaayenge. bible mein di yah badhiya salah maaniye, sab baaton ko parkho, jo badhiya hai use thaame raho. (1 thisslunikiyon 5:21) agar aapko achhi tarah maaloom hai ki aapke usool kya hain, to aap har haal mein un par bane raheinge, fir chahe koi kuch bhi kahe.

zara sochiye: aap kyon maante hain ki parmeshvar ke diye naitik usoolon par chalne se aapka bhala hoga?

“mainne dekha hai ki dabav aane par jab main apne usoolon par bani rehti hoon aur unse koi samjhauta nahin karti, to log meri aur bhi izzat karte hain.”—kimberly.

bible ke is kirdar se seekhiye: daaniyel. daaniyel javan hi tha jab usne “apne dil mein thaan liya” ki woh parmeshvar ke kaanoon maanega.—daaniyel 1:8.

agar aapko pata hi nahin ki aap kya maante hain, to aap logon ke haath ki kathputli ban jaayenge

apni kamzoriyaan pehchaniye. bible javani mein uthnevali ichhaon ka zikra karti hai. ye aisi khvahishein hain jo sabse zyada javani mein hum par haavi hoti hain. (2 timuthiyus 2:22) jaise laingik ichhayen saath hi yah ichha ki log hamein pasand karein, hamare dost banna chahein. iske alava, javani mein hamein apni marzee se zindagi jeene ka man karta hai, bina maata-pita ki rok-tok ke, fir chahe hum abhi is kaabil hon ya nahin.

zara sochiye: bible mein likha hai, “har kisi ki ichha use khinchti aur lubhati hai, jisse woh pareeksha mein padta hai.” (yakub 1:14) aapke  man mein kaun-si galat ichhayen aati hain?

“imandari se jaanchiye ki kaun-si galat ichhayen aap par haavi hoti hain. in par khojbeen keejiye, pata lagaiye ki aap kaise un par kaaboo paa sakte hain. zaroori baatein likh leejiye. is tarah jab agli baar galat ichha aapke man mein aayegi to aap sahi kadam utha paayenge.”sylvia.

bible ke is kirdar se seekhiye: daavid. daavid ne kabhi-kabhi logon ki baatein mein aakar aur apni ichhaon ki vajah se galat kaam kiya. lekin usne apni galtiyon se sabak seekha aur woh sahi kaam karne ki koshish karta raha. usne yahova parmeshvar se prarthna ki, “mere andar ek saaf dil paida kar, man ka ek naya rujhan de ki main atal bana rahoon.”—bhajan 51:10.

galat khayal thukraiye. pavitra shastra mein likha hai, “burai se mat haaro.” (romiyon 12:21) galat ichhaon ko khud par haavi hone mat deejiye. aap sahi kaam kar sakte hain.

zara sochiye. jab koi aapse galat kaam karne ko kahe, ya aapko kuch galat karne ka man kare, to aap khud par kaaboo kaise rakh sakte hain?

“main sochti hoon, agar main yah galat kaam kar loon to shaayad mujhe thodi der ke liye achha lagega. par baad mein mujhe kaisa lagega? kya mujhe bura lagega? to aisa karne ka kya faayda! isliye main woh kaam nahin karti.”—sophia.

bible ke is kirdar se seekhiye: paulus. paulus ne maana ki uske man mein bhi galat khayal aate the lekin usne khud par kaaboo rakha. usne likha, “main apne shareer ke saath sakhti baratta hoon aur use ek daas banakar kaaboo mein rakhta hoon.”—1 kurinthiyon 9:27, footnote.

sau baat ki ek baat: yah aapke  haath mein hai ki galat kaam ke liye lubhaye jaane par aap kya kareinge.

yaad rakhiye, jo baatein aaj lubhavni lagti hain, woh baad mein itni lubhavni nahin lageingi. bees saal ki melissa kehti hai, “school mein padhte samay jo baatein mujhe lubhavni lagti thi, woh aaj bilkul nahin lagti. main is baat ko hamesha yaad rakhti hoon, isliye mujhe pata hai ki aaj jin cheezon ki taraf mera man lalchata hai, woh baad mein mujhe kuch khaas nahin lageingi. kal ko mujhe khushi hogi ki achha hua main un cheezon ke peechhe nahin gayi.”