is jaankari ko chhod dein

naujavanon ke saval

bible meri madad kaise kar sakti hai?—bhaag 2: bible ki padhai ko banayen mazedar

bible meri madad kaise kar sakti hai?—bhaag 2: bible ki padhai ko banayen mazedar

will naam ka ek javan kehta hai, “agar aap sahi tareeke se bible na padhein, to ise padhna boring lag sakta hai.”

kya aap iska raaz jaanna chaheinge ki aap bible ki padhai ko kaise mazedar bana sakte hain? yah lekh aapki madad karega.

 aayton mein jaan daal deejiye

aap jo bhi padhein, usmein poori tarah kho jaaiye. iske liye aap neeche bataye tareeke aazma sakte hain:

  1. bible mein likha koi byaura chuniye. aap khushkhabri ki kitab mein se koi byaura ya kuch aaytein chun sakte hain. ya fir aap jw.org se naatak ke andaz mein padhi gayi aayton mein se koi chun sakte hain.

  2. us byaure ko padhiye. aap akele padh sakte hain ya apne doston ya parivarvalon ke saath milkar padh sakte hain. aap mein se koi ek jan byaura padh sakta hai aur baaki log alag-alag kirdaron ki kahi baatein padh sakte hain.

  3. neeche diya gaya koi ek sujhav ya kai sujhav aazmakar dekhiye:

    • byaure ki tasveer banaiye. ya fir story-board banaiye yaani kai saari saral tasveerein banaiye aur ghatnayen jis kram mein hui thi, us kram mein ek-ek tasveer rakhiye. har tasveer ke neeche likhiye ki us tasveer mein kya dikhaya gaya hai.

    • jab aap kisi vafadar insan ke baare mein padh rahe hon, to likhiye ki usmein kaun-se achhe gun the aur usne kaun-se achhe kaam kiye the. fir uske aage likhiye ki use kya aasheeshein mili thi.

    • us byaure ko khabron ke roop mein pesh keejiye aur alag-alag nazariye se jaankari dene ki koshish keejiye. sochiye ki agar aap vahaan hote aur aap mukhya kirdaron aur chashmadeed gavahon ka interview lete, to woh kya javab dete. unke javab likh leejiye.

    • agar kahani mein kisi kirdar ne galat faisla liya ho, to sochiye ki agar usne sahi faisla liya hota to kya hota. jaise jab patras ne yeeshu ko jaanne se inkar kar diya tha. (markus 14:66-72) sochiye ki us tanav-bhare haalaat mein patras kya karta to usse yah galti nahin hoti?

    • agar aap apni padhai ko aur mazedar banana chahte hain, to bible ke kisi byaure ke baare mein ek naatak likhiye. aapko us byaure se jo-jo seekh mili hai, woh sab naatak mein shaamil keejiye.​— romiyon 15:4.

      bible mein likhi ghatnaon ko apni aankhon se hota dekhiye!

 chhaan-been keejiye!

agar aap kisi bhi byaure ki ek-ek baat dhyan se padheinge, to aapko usmein aise ratna mileinge jo aapne pehle kabhi nahin dekhe the. kabhi-kabhi to aisa hota hai ki ekadh shabd mein bhi bahot-si baatein chhipi hoti hain.

udahran ke liye, matti 28:7 ki tulna markus 16:7 se keejiye.

  • markus ne likha ki jald hi yeeshu baaki chelon ko “aur patras”  ko dikhayi dega. usne patras ka alag se zikra kyon kiya?

  • surag: markus ne ye ghatnayen apni aankhon se nahin dekhi thi. aisa maaloom padta hai ki use ye baatein patras ne batayi thi.

  • chhipa hua ratna: patras ko yah jaankar hausla kyon mila hoga ki yeeshu usse fir se milna chahta tha? (markus 14:66-72) yeeshu ne yah kaise dikhaya ki woh patras ka sachcha dost hai? aap kaise yeeshu ki tarah doosron ke sachche dost ban sakte hain?

aayton mein batayi ghatnaon ko apni aankhon se hota hua dekhiye aur unki baareekiyon par dhyan deejiye. tab aapko bible padhne mein bahot maza aayega.