is jaankari ko chhod dein

naujavanon ke saval

main kaise apni bhaavnaon par kaaboo paaun?

main kaise apni bhaavnaon par kaaboo paaun?

“ek din main khushi se saatvein aasman par hoti hoon to doosre din maayoosi ke gaddhe mein aa girti hoon. kal main jin baaton ko maamooli samajhti thi, aaj vahi baatein mere liye badi samasya ban jaati hain.”​—carissa.

kya aapki bhaavnaon mein bhi utaar -chadhav aate hain, maano aap gaddhonvali sadak se jaa rahe hon? * agar haan, to yah lekh padhkar aapko kaafi madad mil sakti hai.

 aisa kyon hota hai

bachpan se naujavan hone tak ke daur mein aapke shareer mein kai badlav hote hain. aise mein bhaavnaon mein utaar -chadhav aana aam hai. lekin umra ka yah padav paar karne ke baad bhi ye utaar -chadhav band nahin hote. aapko yah jaankar hairani hogi ki tab bhi aapki bhaavnayen achanak badalti rehti hain.

aise mein agar aap apni bhaavnaon ko lekar pareshan hain to yaad rakhiye ki aisa shareer mein honevale haarmon ke badlav ki vajah se hota hai. saath hi, aap par kai chintayen aur dar haavi ho sakta hai jo aapki shaareerik badhotri ka hi hissa hain. lekin khushi ki baat hai ki aap apni bhaavnaon ko samajh sakte hain aur un par kaaboo paana seekh sakte hain.

zindagi ka sach: javani mein hi apni bhaavnaon par kaaboo paana seekhna behad zaroori hai, kyonki jab aap bade honge to alag-alag haalaat mein yah hunar aapke kaam aa sakta hai.

buri bhaavnayen sadak ke gaddhon ki tarah hoti hain. un par kaaboo paane ka hunar paida karke aap un gaddhon ko paar karte huye badhiya safar ka maza le sakte hain

 aap ye teen kadam utha sakte hain

baat keejiye. bible batati hai, “sachcha dost har samay pyar karta hai aur museebat ki ghadi mein bhaai ban jaata hai.”​—neetivachan 17:17.

“ek aanti hain jinhein hum apne parivar ka hissa maante hain. unse main apne dil ki baat aasani se keh paati hoon. jab main unhein apne vichar batati hoon to woh bade dhyan se sunti hain. jab mere vichar sahi hote hain to unhein mujhe par naaz hota hai. lekin jab mere vichar galat hote hain to woh unhein sudharne ki poori koshish karti hain.”​—yolanda.

ise aazmaiye: sirf apne hamumra bachchon se baat mat keejiye, kyonki ho sakta hai ki woh khud aapke jaisi bhaavnaon se guzar rahe hon. iske bajay apne maata-pita ya aise kisi bade insan se baat keejiye jis par aap bharosa karte hain.

likhiye. bible ayyoob ke baare mein batati hai jisne nirasha ke daldal mein dhanse hone ki vajah se kaha, ‘main man ka gubar nikaal doonga, apni saari kadvahat ugal doonga.’ (ayyoob 10:1) kisi ko batane ke alava aap apni bhaavnayen likh bhi sakte hain.

“main har vakt apne paas ek chhoti-si notebook rakhti hoon. jab koi baat mujhe pareshan karti hai to main use likh leti hoon. likhna mere liye marz ki badhiya dava ki tarah hai.”​—iliana.

ise aazmaiye: apne paas ek daayri rakhiye jismein aap apni bhaavnayen, unmein honevale utaar -chadhav ki vajah aur unse nipatne ke sujhavon ke baare mein likh sakte hain. is lekh ke saath jo abhyas diya gaya hai usse aapko kaafi madad mil sakti hai.

prarthna keejiye. bible kehti hai, “apna saara bojh yahova par daal de, woh tujhe sambhalega. woh nek jan ko kabhi girne nahin dega.”​—bhajan 55:22.

“jab main dukhi hoti hoon to lagatar yahova se prarthna karti hoon. usse apne dil ki baat kehne ke baad main hamesha raahat mehsoos karti hoon.”​—jasmine.

ise aazmaiye: apni chintaon ke baare mein sochte rehne ke bajay apni zindagi ki aisi teen cheezon ke baare mein gaur keejiye jinke liye aap ehsanmand hain. prarthna mein yahova se madad maangiye, lekin usse milnevali aasheeshon ke liye shukriya bhi kahiye.

^ is lekh mein bhaavnaon mein honevali uthal-puthal ke baare mein charcha ki gayi hai jo aam taur par naujavanon mein hoti hai. agar aap bipolar disorder jaise kisi maansik rog ke shikar hain to aap “main nirasha ka saamna kaise karoon?” lekh padhiye.