is jaankari ko chhod dein

naujavanon ke saval

kya ye kapde mere liye sahi hain?

kya ye kapde mere liye sahi hain?

aapko kyon is baat ka dhyan rakhna chahiye ki aap kis tarah ke kapde pehante hain? kyonki ek insan ke kapdon se uske baare mein bahot kuch pata chalta hai. aapke kapdon se aapke baare mein kya pata chalta hai?

 fashion ko lekar teen badi galtiyaan aur aap woh galtiyaan karne se kaise bach sakte hain

pehli galti: meediya ke isharon par chalna.

theresa naam ki ek ladki kehti hai, “kabhi-kabhi main ek fashion ki taraf isliye aakarshit ho jaati hoon kyonki mainne uske baare mein itne saare vigyapan dekhe hote hain. vigyapanon ke zariye hamare dimag mein baar-baar aise logon ki tasveer chhaapi jaati hai jo ek khaas tarah ke kapde pehne huye hain. isliye aise kapde khareedne se khud ko rok paana bahot mushkil ho jaata hai.”

vigyapanon ka asar sirf ladkiyon par hi nahin hota. kishor ladkon ki parvarish ke baare mein tamam jaankari naam ki ek (angrezee) kitab kehti hai ki “ladke bhi utni hi aasani se naye-naye fashion ke behkave mein aa jaate hain jitna ki ladkiyaan. marketing ki duniya aise vigyapan taiyar karti hai jisse chhote-chhote ladkon tak ko lubha sake.”

kya karna behtar hoga: bible kehti hai, “bhola to har ek baat ko sach maanta hai, parantu chatur manushya samajh boojhkar chalta hai.” (neetivachan 14:15) is usool ko dhyan mein rakhte huye, jab aap koi vigyapan dekhte hain to us par achhi tarah gaur keejiye. misal ke liye, jab aap kisi vigyapan mein dikhaya jaata hai ki falan kapde pehanne se aap “hot” ya “sexy” dikheinge to khud se poochhiye:

  • ‘agar main is fashion ko apnaun to asal mein kisko faayda hoga?’

  • ‘is tarah ke kapde pehanne se log mujhe kis kism ke logon mein gineinge?’

  • ‘kya main vaakai us tarah ki zindagi jeeta hoon aur kya yahi meri pehchan hai?’

fashion ke baare mein sujhav: ek hafte tak kapdon ke vigyapanon par aur meediya ki un baaton par achhi tarah gaur keejiye jo fashion par zor deti hain. unse kis tarah ke chaalchalan ko badhava diya jaata hai? kya in vigyapanon ke zariye badi chaalaki se aapko yah mehsoos karaya jaa raha hai ki aapko har haal mein falan fashion apna lena chahiye? karen naam ki ek ladki kehti hai ki “hamein baar-baar yah ehsas karaya jaata hai ki hum bilkul badhiya dikhein, sabse naye fashion ke kapde pehnein aur sabko dikhayen ki hum kitne chharhare hain. vigyapan taiyar karnevale badi aasani se javanon ko apna nishana bana lete hain.”

doosri galti: sabke jaisa dikhne ke liye koi jaana-maana fashion apna lena.

manuel naam ka ek javan kehta hai, “jab koi naya style chalan mein aata hai to har koi vahi style apna leta hai. agar kisi ne woh style nahin apnaya to log uski nuktacheeni karne lagte hain.” anna naam ki ek ladki ka bhi yahi kehna hai. woh kehti hai, “log ek style ko isliye nahin apna lete ki unhein woh bahot pasand hai, balki isliye ki woh sabse hatkar na dikhein.”

kya karna behtar hoga: bible kehti hai, “is duniya ki vyavastha ke mutabik khud ko dhaalna band karo.” (romiyon 12:2) is salah ko maante huye apne kapdon par ek nazar daaliye aur khud se poochhiye:

  • ‘mainne kin baaton mein aakar ye kapde khareede hain?’

  • ‘kisi mashhoor designer ya company ke kapde pehanna main kitna zaroori samajhta hoon?’

  • ‘kya main apne kapdon se logon ki nazron mein chhaane ki koshish karta hoon?’

fashion ke baare mein sujhav: sirf yah mat dekhiye ki kya falan fashion aaj chalan mein hai (aur sab pehante hain) ya purana ho chuka hai (aur koi nahin pehanta). yah bhi sochiye ki kya falan kapde pehanne se yah saabit hoga ki main jin usoolon ko maanta hoon woh mere hisab se bilkul sahi hain aur main apne kapdon se poori tarah khush hoon. agar aap apne kapdon ko lekar santusht honge, to aapko yah chinta nahin satayegi ki log aapke baare mein kya socheinge.

teesri galti: yah sochna ki jitna seksi dikhoge utna badhiya rahega.

jennifer naam ki ek ladki kehti hai, “sach poochho to kabhi-kabhi mera bahot man karta hai ki aise kapde pehnoon jo bahot chhote hon ya bahot tight hon.”

kya karna behtar hoga: bible kehti hai, ‘tumhara sajna-sanvarna oopri na ho. iske bajay, tum apne andar ke insan ko sajao-sanvaro.’ is salah ke mutabik, sochiye ki asli khoobsoorti kismein hoti hai, aankhon ko lubhanevale kapdon mein ya dil chhoo lenevale gunon mein.

fashion ke baare mein sujhav: aapka sabse badhiya singar hai maryada ka gun yaani apni had mein rehna. maana ki “maryada” shabd aaj itna jaana-pehchana nahin hai. magar zara sochiye:

kya aapne kabhi aise insan se baat ki hai jo bahot bolta hai aur sirf apne baare mein hi bolta hai? afsos ki use shaayad zara bhi ehsas na ho ki uske is bartav ki vajah se log usse door rehna pasand karte hain.

hamesha apne baare mein bolne ki tarah, agar aap apni taraf dhyan khinchnevale kapde pehnein to log aapse ghin kareinge

agar aapke kapdon se maryada ka gun nahin dikhta to aap bhi us insan ki tarah ban jaate hain jo sirf apne baare mein bolta hai. aapke kapde maano aapki taraf se kehte hain, “mujhe dekho, mujhe dekho.” aur is vajah se logon ko lag sakta hai ki aap ya to apne huliye ko lekar har vakt pareshan rehte hain ya fir sirf apne baare mein hi sochte hain. aur yah bhi ho sakta hai ki aap hamesha chaheinge ki doosre aapko hi dekhte rahein, yahaan tak ki aise log bhi dekhein jinki neeyat saaf nahin hoti.

khud ki numaish karne ke bajay apni had mein rehne ki koshish keejiye. monika kehti hai, “apni had mein rehne ka matlab yah nahin ki aapko daadi-maa jaise kapde pehanne chahiye. iska bas yah matlab hai, apni aur doosron ki izzat ka khyal rakhna.”