is jaankari ko chhod dein

naujavanon ke saval

main hamesha yah sochna kaise chhod sakta hoon ki mere saath bura hoga?

main hamesha yah sochna kaise chhod sakta hoon ki mere saath bura hoga?

 aapke hisab se aap kis tarah ke insan hain?

  • main hamesha yahi sochta hoon ki mere saath achha hoga.

    “main udas rehne ke bajay khush rehne ki koshish karti hoon aur apna har din ek muskan ke saath khushi-khushi bitati hoon.”—valerie.

  • main hamesha yahi sochta hoon ki mere saath bura hoga.

    “jab bhi kuch achha hota hai to fauran mere man mein aata hai, yah sach nahin ho sakta.”—rebecca.

  • na main bahot zyada ummeedein rakhta hoon, na hi ummeed khota hoon.

    “agar main hamesha yah sochoongi ki mere saath achha hoga, to kuch bura hone par main bahot nirash ho jaaungi. vahin agar main hamesha yah sochoongi ki mere saath bura hoga, to hamesha dukhi rahoongi. isliye main na bahot zyada ummeedein rakhti hoon, na hi poori tarah ummeed khoti hoon. aisi soch rakhne ki vajah se main hakeekat ka saamna kar paati hoon.”—aana.

 yah kyon maayne rakhta hai?

pavitra shastra kehta hai, “jiska man khush rehta hai, uske liye to har din daavat hai.” (neetivachan 15:15) jo log har vakt yah nahin sochte ki unke saath bura hoga aur apne baare mein aur doosron ke baare mein achhe ki ummeed karte hain, woh khush rehte hain. aise log bahot-se dost bhi bana paate hain. vahin jo log hamesha udas rehte hain aur kabhi achhe ki ummeed nahin karte, unse log door-door rehte hain.

ho sakta hai, aap hamesha achhi baatein sochte hon. fir bhi, zindagi mein kai mushkilein aati hain, jinka hamein saamna karna hota hai. jaise,

  • hamein chaaron taraf yuddh, aatankvad aur apradh ki khabrein sunne ko milti hain.

  • shaayad hamein parivar mein samasyaon ka saamna karna padta hai.

  • hamein apni kamzoriyon aur galat ichhaon par kaaboo paane ke liye bahot sangharsh karna padta hai.

  • shaayad kisi dost ne hamara dil dukhaya ho.

in samasyaon ko na to andekha keejiye, na hi hamesha unke baare mein soch-sochkar pareshan hoiye. iske bajay, sahi soch banaye rakhiye. aisa karne se aapke man mein had-se-zyada nirasha ki bhaavnayen nahin aayengi aur aap zindagi ki samasyaon ka achhi tarah saamna kar paayenge.

aap zindagi mein aanevale toofan ka zaroor saamna kar sakte hain, is bharose ke saath ki yah sirf kuch samay ke liye hai.

 aap kya kar sakte hain?

  • apni galtiyon ke baare mein sahi nazariya rakhiye.

    pavitra shastra kehta hai, “dharti par aisa koi nek insan nahin, jo hamesha achhe kaam karta hai aur kabhi paap nahin karta.” (sabhopdeshak 7:20) iska matlab yah nahin ki aap kisi kaam ke nahin hain. aap ek insan hain isliye aapmein kamiyaan hain aur aap galtiyaan karte hain.

    sahi soch rakhiye. apni galtiyaan sudharne ki koshish keejiye. par yaad rakhiye, aap har baar sahi kaam nahin kar sakte. caleb naam ka ek ladka kehta hai, “main apni galtiyon ke baare mein had-se-zyada nahin sochta. iske bajay, main unse seekhta hoon aur apne andar sudhar karta hoon.”

  • doosron se apni tulna mat keejiye.

    pavitra shastra kehta hai, “hum ahankari na banein, ek-doosre ko hod lagane ke liye na uksayen aur ek-doosre se irshya na karein.” (galatiyon 5:26) jab aap social media par un paartiyon ki tasveerein dekhte hain jinmein aapko nahin bulaya gaya tha, to aapko bura lag sakta hai aur gussa bhi aa sakta hai. shaayad aap yah bhi sochne lagein ki aapke dost aapko pasand nahin karte.

    sahi soch rakhiye. is baat ko samajhiye ki aapko har party mein nahin bulaya jaayega. yah bhi yaad rakhiye ki jo tasveerein aap social media par dekhte hain, unse aapko poori baat nahin pata chalti. solah saal ki alexis kehti hai, “log social media par unhin khaas palon ki tasveerein daalte hain jinmein woh bahot khush nazar aa rahe hain. woh rozmarra ke un kaamon ki tasveerein nahin daalte jinmein woh itne khush nahin dikhte.”

  • parivar mein shaanti banaye rakhiye.

    pavitra shastra kehta hai, “jahaan tak ho sake, sabke saath shaanti banaye rakhne ki poori koshish karo.” (romiyon 12:18) yah aapke haath mein nahin hai ki doosre aapke saath kaisa vyavhar kareinge. lekin unke vyavhar ke badle aap unke saath achhi tarah pesh aayenge ya nahin, yah aapke haath mein hai. aap chahein to unke saath shaanti se pesh aa sakte hain.

    sahi soch rakhiye. jaise aap doston ke saath milkar rehte hain, vaise hi parivar mein bhi pyar aur shaanti se rahiye taaki aapki vajah se parivar mein tanav na badh jaaye. pandrah saal ki melinda kehti hai, “hum sab galtiyaan karte hain aur kabhi-na-kabhi hamari baaton ya vyavhar se doosron ko thes pahunch sakti hai. yah hum par nirbhar karta hai ki hum doosron ki galtiyaan maaf kareinge ya jhagda kareinge.”

  • ehsan maaniye.

    pavitra shastra kehta hai, “dikhao ki tum kitne ehsanmand ho.” (kulussiyon 3:15) agar aap ehsanmand honge, to aap apni zindagi mein ho rahi achhi baaton par dhyan deinge, na ki un baaton par jo aapke man-mutabik nahin hoti.

    sahi soch rakhiye. apni pareshaniyon ke saath-saath apni zindagi mein honevali achhi baaton par bhi dhyan deejiye. rebecca naam ki ek ladki kehti hai, “main har din apni zindagi ki ek achhi baat apni daayri mein likhti hoon. isse mujhe dhyan rehta ki pareshaniyon ke baavjood meri zindagi mein aisi bahot-si achhi baatein hain jinke baare mein main soch sakti hoon.”

  • soch-samajhkar dost banaiye.

    pavitra shastra kehta hai, “buri sangati achhi aadatein bigaad deti hai.” (1 kurinthiyon 15:33) agar aap aise logon ke saath samay bitayenge jo doosron mein kamiyaan nikalte hain ya unki burai karte rehte hain ya hamesha kudhte rehte hain, to aap bhi unhin ki tarah ban jaayenge.

    sahi soch rakhiye. jab aapke dost kisi badi samasya ka saamna kar rahe hote hain to kuch samay ke liye woh nirash ho sakte hain. aise mein unki madad karne ke liye aap jo kar sakte hain woh keejiye. lekin unka dukh dekhkar aap bahot zyada dukhi mat ho jaaiye. chaubees saal ki michelle kehti hai, “hamein aise logon se zyada dosti nahin karni chahiye jo kabhi achhe ki ummeed nahin karte.”

 is baare mein zyada jaankari leejiye.

pavitra shastra kehta hai, “sankaton se bhara aisa vakt aayega jiska saamna karna mushkil hoga.” (2 timuthiyus 3:1) aaj hum aise hi samay mein ji rahe hain. agar sankaton se bhari is duniya mein aapko bhi sahi soch banaye rakhna mushkil lagta hai to aap yah lekh padh sakte hain: “duniya mein itni dukh-takleefein kyon hain?