is jaankari ko chhod dein

main apne hi ling ke vyakti ki taraf aakarshit hoon, kya iska matlab main samlaingik hoon?

main apne hi ling ke vyakti ki taraf aakarshit hoon, kya iska matlab main samlaingik hoon?

nahin, bilkul nahin!

hakeekat: kai maamlon mein dekha gaya hai ki apne hi ling ke vyakti ki taraf aakarshit hona sirf kuch samay ke liye hota hai.

solah saal ki latika ke saath bhi aisa hi hua. ek samay aisa tha jab woh ek ladki ki taraf aakarshit hui thi. woh kehti hai, “jab main school mein thi to biology class mein sikhaya gaya ki jab hum javani ka daur shuroo karte hain, to hamare shareer ke hormone ki maatra mein zabardast badlav hone lagta hai. mujhe lagta hai ki agar naujavanon ko apne shareer se judi yah hakeekat pata chale, to woh samajh paayenge ki apne hi ling ke vyakti ki taraf aakarshit hona bas kuch samay ke liye hota hai, fir unhein yah chinta nahin satayegi ki ab woh samlaingik ban gaye hain.”

sabhi naujavanon ko chunav karna padta hai ki woh laingikta ya sex ke baare mein duniya ki ghinauni soch apnayenge ya fir pavitra shastra mein darz parmeshvar ki soch

lekin tab kya jab aapmein yah khinchav ya aakarshan kuch samay baad bhi jaari rahe? kya parmeshvar ka yah kehna ki samlaingikta galat hai, uski kathorta ko zahir karta hai?

agar aap doosre saval ka javab ‘haan’ mein dete hain to aapko yah jaanna chahiye ki asal mein yah baat is galat soch par aadharit hai ki insanon ko apni laingik ichhayen dabakar nahin rakhni chahiye, balki unhein poora karna chahiye. lekin pavitra shastra hamein yakeen dilata hai ki agar hum sachmuch chahein, to galat kism ki laingik ichhaon ko apne oopar haavi hone se rok sakte hain.—kulussiyon 3:5.

pavitra shastra mein likhi yah baat betuki nahin hai. kyon? pavitra shastra, jo maang apne hi ling ke vyakti ki taraf aakarshit hone vaalon se karta hai, vahin maang vipreet ling ki taraf aakarshit honevalon se karta hai. woh maang hai, ‘naajayaz yaun-sambandh se door bhaago.’ (1 kurinthiyon 6:18) hakeekat yah hai ki laakhon log jinmein vipreet ling ki taraf aakarshit hone ki bhaavna uthti hai, woh pavitra shastra mein diye niyamon ko laagoo karke har haalaat mein apni ichhaon ko kaaboo mein rakh paate hain. jo log saman ling ke vyakti ki taraf aakarshit hote hain, woh bhi apni ichhaon ko kaaboo mein rakh sakte hain, magar tabhi jab woh dil se parmeshvar ke niyamon ko laagoo karna chahein aur use khush karna chahein.—vyavasthavivran 30:19.