is jaankari ko chhod dein

naujavanon ke saval

kya samlaingikta galat hai?

kya samlaingikta galat hai?

“jaise-jaise main bada ho raha tha, main ladkon ki taraf aakarshit hone laga tha. yah mere liye sabse badi mushkil thi. mujhe lagta tha, yah zindagi ka ek daur hai jo jald hi beet jaayega. lekin main aaj tak is buri bhaavna se lad raha hoon.”—david, 23.

david ek maseehi hai aur woh parmeshvar ko khush karna chahta hai. lekin kya woh aisa kar paayega jabki woh apne hi ling ke vyakti ki taraf aakarshit hota hai? parmeshvar samlaingikta ke baare mein kaisa mehsoos karta hai?

 pavitra shastra kya kehta hai?

sanskriti aur vakt ke saath, samlaingikta ke baare mein logon ka nazriya badal sakta hai. magar maseehi doosre logon ki soch nahin apnate, na hi “shikshaon ke har jhonke se idhar-udhar udaye jaate hain.” (ifisiyon 4:14) samlaingikta (ya doosre naitik maamlon) ke baare mein unka nazriya bible mein diye staron par aadharit hota hai.

bible saaf-saaf batati hai ki samlaingik kaamon ke baare mein parmeshvar ke star kya hain. ismein likha hai:

  • “tummein se koi bhi aadmi doosre aadmi ke saath yaun-sambandh na rakhe, jaise tum aurat ke saath sambandh rakhte ho.”—laivyavyavastha 18:22.

  • “parmeshvar ne unke dil ki buri ichhaon ke mutabik . . . un logon ko chhod diya ki woh bekaboo hokar apni vaasna poori karein kyonki unki aurtein swabhavik yaun-sambandh chhodkar aswabhavik yaun-sambandh rakhne lagin.”—romiyon 1:24, 26.

  • “dhokhe mein na raho. naajayaz yaun-sambandh rakhnevale, moortipooja karnevale, vyabhichari, aadmiyon ke saath sambhog ke liye rakhe gaye aadmi, aadmiyon ke saath sambhog karnevale aadmi, chor, laalchi, piyakkad, gaali-galauj karnevale aur doosron ka dhan ainthnevale parmeshvar ke raaj ke vaaris nahin honge.”—1 kurinthiyon 6:9, 10.

dekha jaaye to parmeshvar ke star sabhi logon par laagoo hote hain, fir chahe unmein laingik ichhayen apne ling ke vyakti ke liye hon ya doosre ling ke vyakti ke liye. sach to yah hai ki agar kisi vyakti mein aisa kaam karne ki ichha uthti hai jisse parmeshvar ko dukh hota hai, to use khud par kaaboo rakhna chahiye.—kulussiyon 3:5.

 kya iska matlab . . . ?

kya iska matlab hai ki bible samlaingik logon se nafrat karne ka badhava deti hai?

nahin. bible kisi se nafrat karne ke liye nahin kehti, fir chahe woh vyakti samlaingik ho ya nahin. logon ka rehan-sehan chahe jaisa bhi ho, bible “sab logon ke saath shaanti banaye rakhne” ke liye kehti hai. (ibraniyon 12:14) isliye samlaingik logon ko pareshan karna, nafrat ki vajah se un par atyachar ya koi aur zyadti karna galat hai.

kya iska matlab hai ki maseehiyon ko aise kaanoon ke khilaf aavaz uthani chahiye jo samlaingik logon ki shaadi ko jaayaz thehrata hai?

bible batati hai ki shaadi ke liye parmeshvar ka yah star hai ki ek aadmi ek aurat se hi shaadi kare. (matti 19:4-6) samlaingik shaadiyon ko lekar bane kaanoonon ke baare mein kaafi bahas chhidi hai. agar hum is par dhyan dein to pata chalta hai ki yah ek raajnaitik mudda hai na ki naitik. bible mein likha hai ki maseehiyon ko raajnaitik maamlon mein kisi ka paksh nahin lena chahiye. (yuhanna 18:36) isliye woh samlaingik logon ki shaadi ya unke rishton ke baare mein banaye gaye kaanoonon ke na to khilaf hain, na hi unka samarthan karte hain.

 lekin agar . . . ?

lekin agar koi samlaingik hai to kya woh badal sakta hai?

beshak. pehli sadi mein rehnevale kuch logon ne bhi apne is chaalchalan ko badla tha. yah kehne ke baad ki samlaingik log parmeshvar ke raaj ke vaaris nahin honge, bible kehti hai, “tummein se kuch log pehle aise hi kaam karte the.”1 kurinthiyon 6:11.

kya iska matlab yah hai ki jin logon ne samlaingik kaam karna chhod diya, unmein woh khvahishein fir kabhi nahin uthtin? aisa nahin hai. bible kehti hai, “woh nayi shakhsiyat pehan lo jiski srishti parmeshvar karta hai aur use sahi gyaan ke zariye naya banate jaao.” (kulussiyon 3:10) unhein apne andar lagatar badlav karna padta hai.

lekin agar koi parmeshvar ke staron par chalna chahta hai aur ab bhi usmein samlaingik ichhayen uthti hain, tab kya?

baaki maamlon ki tarah is maamle mein bhi, yah ek vyakti ke apne haath mein hai ki woh apni ichhaon par kaaboo rakhega ya nahin. kaise? bible kehti hai, “pavitra shakti ke maargdarshan mein chalte raho aur tum shareer ki ichhaon ko hargiz poora na karoge.”—galatiyon 5:16.

dhyan deejiye, aayat mein yah nahin likha ki ek vyakti mein shareer ki koi ichha nahin jaagegi. usmein ye ichhayen jaag sakti hain, lekin agar woh bible adhyan aur prarthna karne ka ek achha schedule banayega, to use in ichhaon se ladne ki taakat milegi.

david jiska zikra is lekh ki shurooat mein kiya gaya tha, usne bhi is baat ki sachchai ko mehsoos kiya, khaaskar apni is galat bhaavna ke baare mein apne mammi-paapa ko batane ke baad. woh kehta hai, “aisa laga maano mainne apne kandhon se ek bhaari bojh utaar diya ho. agar mainne unse pehle hi baat kar li hoti, to main apni javani aur achhi tarah bita paata.”

ji haan, jab hum yahova ke staron par chalte hain to hum zyada khush rehte hain. hamein yakeen hai ki uske thehraye star “nek hain, man ko aanand se bhar dete hain” aur “unhein maanne se bada inam milta hai.”—bhajan 19:8, 11.