galatiyon ke naam chitthi 5:1-26

  • maseehiyon ko mili aazadi (1-15)

  • pavitra shakti ke maargdarshan mein chalna (16-26)

    • shareer ke kaam (19-21)

    • pavitra shakti ka fal (22, 23)

5  yahi aazadi paane ke liye maseeh ne hamein aazad kiya hai. isliye mazboot khade raho+ aur khud ko fir se gulami ke juye mein na jutne do.+  dekho! main paulus, tumhein bata raha hoon ki agar tum khatna karvate ho, to maseeh tumhare liye kisi faayde ka nahin hoga.+  main khatna karanevale har aadmi se ek baar fir kehta hoon ki agar woh khatna karvata hai to use moosa ke baaki sabhi kaanoonon ko bhi maanna hoga.+  tum jo kaanoon ko maankar nek thaharne ki koshish kar rahe ho, tum maseeh se alag ho gaye ho.+ tum uski maha-kripa ke daayre se baahar ho gaye ho.  magar hum pavitra shakti ke zariye vishvas se nek thaharne ki aasha rakhte hain aur uska besabrai se intazar kar rahe hain.  kyonki jo maseeh yeeshu ke saath ekta mein hain unke liye na to khatna karane ki koi ahmiyat hai, na hi khatna na karane ki+ balki us vishvas ki ahmiyat hai jo pyar ke zariye dikhayi deta hai.  tum sachchai ki raah par achhe-khaase chal* rahe the.+ fir kisne tumhein sachchai ko maanne se roka?  is tarah ki daleelein us parmeshvar ki taraf se nahin hain jisne tumhein bulaya hai.  zara-saa khameer poore gundhe huye aate ko khameera kar deta hai.+ 10  tum jo prabhu ke saath ekta mein ho,+ mujhe tum par yakeen hai ki tum koi aur vichar nahin apnaoge. magar jo tumhare liye museebat khadi kar raha hai+ woh chahe jo bhi ho, use woh saza zaroor milegi jiske woh laayak hai. 11  bhaaiyo, jahaan tak meri baat hai, agar main ab bhi khatna karane ka prachar kar raha hoon to mujh par aaj tak zulm kyon dhaaye jaa rahe hain? agar main aisa kar raha hota, to yaatna ke kaath* ki vajah se logon ko thes pahunchne ki gunjaish hi nahin rehti.+ 12  achha hota ki jo aadmi tumhein uljhan mein daalna chahte hain, woh apna ang katva daalte.* 13  bhaaiyo, tumhein aazad hone ke liye bulaya gaya tha. bas tum yah mat samjho ki is aazadi se tumhein shareer ki ichhayen poori karne ki chhoot mil jaati hai,+ magar daas bankar pyar se ek-doosre ki seva karo.+ 14  isliye ki poore kaanoon ka nichod is ek aagya mein hai:* “tum apne padosi se vaise hi pyar karna jaise tum khud se karte ho.”+ 15  lekin agar tum ek-doosre ko kaatne aur faad khaane mein lage ho,+ to khabardar raho ki tum ek-doosre ka sarvanash na kar do.+ 16  magar main kehta hoon, pavitra shakti ke maargdarshan mein chalte raho+ aur tum shareer ki ichhaon ko hargiz poora na karoge.+ 17  isliye ki paapi shareer ki ichhayen, pavitra shakti ke khilaf hoti hain aur pavitra shakti, shareer ke khilaf hai. ye donon ek-doosre ke virodh mein hain isliye jo tum karna chahte ho vahi tum nahin karte.+ 18  agar tum pavitra shakti ke maargdarshan mein chalte ho, to tum kaanoon ke adheen nahin ho. 19  shareer ke kaam to saaf dikhayi dete hain. woh hain, naajayaz yaun-sambandh,*+ ashuddhta, nirlajj kaam,*+ 20  moortipooja, jaadoo-tona,*+ dushmani, takrar, jalan, gusse se bhadakna, jhagde, fut, gutbandi, 21  irshya, piyakkadpan,+ rangraliyaan aur aisi hi aur buraiyaan.+ main in buraiyon ke baare mein tumhein khabardar kar raha hoon, jaise mainne pehale bhi kiya tha ki jo log aise kaamon mein lage rehte hain woh parmeshvar ke raaj ke vaaris nahin honge.+ 22  doosri taraf pavitra shakti ka fal hai: pyar, khushi, shaanti, sabraa, kripa, bhalai,+ vishvas, 23  komalta, sanyam.+ aisi baaton ke khilaf koi kaanoon nahin hai. 24  jo maseeh yeeshu ke hain unhonne apne shareer ko uski vaasnaon aur ichhaon samet kaath par thonk diya hai.+ 25  agar hamara jeene ka tareeka pavitra shakti ke mutabik hai, to aao hum isi tarah pavitra shakti ke mutabik seedhi chaal chalte rahein.+ 26  hum ahankari na banein,+ ek-doosre ko hod lagane ke liye na uksayen+ aur ek-doosre se irshya na karein.

kai footnote

shaa., “daud.”
shabdavli dekhein.
ya “andkosh nikaalva dete; napunsak ban jaate” taaki woh us kaanoon ko maanne ke ayogya thehrein jise maanne ka woh badhava de rahe the.
ya “is ek baat se poora hota hai.”
yoonani mein porniya. shabdavli dekhein.
shabdavli dekhein.
shabdavli dekhein.