is jaankari ko chhod dein

main kaise jaan sakta hoon ki kaun-saa dharm sachcha hai?

main kaise jaan sakta hoon ki kaun-saa dharm sachcha hai?

shastra se javab

kaun sachche dharm ke mutabik zindagi ji raha hai aur kaun nahin, is baare mein pavitra shastra bible mein ek misal di gayi hai. usmein likha hai, “unke falon se tum unhein pehchan loge. kya log kabhi kanteeli jhaadiyon se angoor ya jangli paudhon se anjeer paate hain?” (matti 7:16) jis tarah aap angoor ki bel aur kanteeli jhaadiyon ke falon se unmein fark kar paate hain, usi tarah aap sab dharmon mein se sachche dharm ko uske falon ke zariye yaani uske kaamon ke zariye pehchan sakte hain.

  1. sachcha dharm buddhiman insanon ki baatein nahin, balki bible se sachchai sikhata hai. (yuhanna 4:24; 17:17) jaise aatma ke baare mein sachchai aur khoobsoorat dharti par hamesha ki zindagi ke baare mein. (bhajan 37:29; yashayah 35:5, 6; yahejkel 18:4) sachcha dharm duniya mein dharm ke naam par ho rahe jhoothe kaamon ka pardafash karne se bhi peechhe nahin hatta.—matti 15:9; 23:27, 28.

  2. sachcha dharm logon ko parmeshvar ke baare mein jaanne mein madad karta hai, jaise unhein batata hai ki parmeshvar ka naam yahova hai. (bhajan 83:18; yashayah 42:8; yuhanna 17:3, 6) woh yah nahin sikhata ki parmeshvar ko koi nahin samajh sakta ya use hammein koi dilchaspi nahin hai, balki woh sikhata hai ki parmeshvar hamse dosti karna chahta hai.—yakub 4:8.

  3. sachche dharm ke mutabik sirf yeeshu maseeh ke zariye hi parmeshvar hamara uddhaar karega. (preshiton 4:10, 12) is par chalnevale yeeshu ki aagyayen maante hain aur uske nakshe-kadam par chalne ki poori koshish karte hain.—yuhanna 13:15; 15:14.

  4. sachcha dharm sikhata hai ki sirf parmeshvar ka raaj hi insan ki samasyaon ka hal karega. sachche dharm ko maannevale is raaj ke baare mein har kisi ko batate hain.—matti 10:7; 24:14.

  5. sachcha dharm badhava deta hai ki hamein ek-doosre se sachcha pyar karna chahiye. (yuhanna 13:35) ise maannevale har kism ke logon ki izzat karte hain, fir chahe woh kisi bhi sanskriti ya jaati se hon ya fir unka jaisa bhi rang-roop ya jo bhi bhasha ho. (preshiton 10:34, 35) logon se sachcha pyar karne ki vajah se woh yuddh mein bhaag nahin lete.—mika 4:3; 1 yuhanna 3:11, 12.

  6. sachche dharm mein dhaarmik neta nahin hote, jinhein shastra se sikhane ke liye tankhvah di jaati ho, na hi unko koi badi upadhi ya khitab diya jaata hai.—matti 23:8-12; 1 patras 5:2, 3.

  7. sachche dharm ke log raajneeti mein koi bhaag nahin lete. (yuhanna 17:16; 18:36) lekin woh jis desh mein rehte hain, us desh ki sarkar ka aadar karte hain aur vahaan ke kaayde-kaanoonon ko maante hain, jaise bible mein aagya di gayi hai, “jo samrat ka hai woh samrat [yaani sarkar] ko chukao, magar jo parmeshvar ka hai woh parmeshvar ko.”—markus 12:17; romiyon 13:1, 2.

  8. sachche dharm ka paalan karna sirf reeti-rivazon ko maanna ya dikhave ke liye upasna karna nahin hai, balki apni zindagi uske mutabik jeena hai. ise maannevale apni zindagi ke har pehloo mein bible ke naitik staron ke mutabik jeete hain. (ifisiyon 5:3-5; 1 yuhanna 3:18) woh har vakt gambheer nahin rehte, balki khush rehte hain kyonki woh “aanandit parmeshvar” ki upasna karte hain.—1 timuthiyus 1:11.

  9. is duniya mein bahot kam log sachche dharm ke mutabik chalte hain. (matti 7:13, 14) woh parmeshvar ki aagyaon par chalte hain isliye unka aksar tiraskar kiya jaata hai, mazak udaya jaata hai aur un par zulm dhaaye jaate hain.—matti 5:10-12.

sachcha dharm woh nahin hai jo ek vyakti ko sahi lagta hai

jab hum koi dharm sirf is vajah se chunte hain ki hamein woh achha lagta hai, to ismein khatra hai. bible mein pehle se bataya gaya tha ki ek aisa samay aayega, jab log “apni khvahishon ke mutabik apne liye aise [dhaarmik] shikshak ikatthe kareinge jo unke kaanon ki khujli mita sakein.” (2 timuthiyus 4:3) lekin bible hamein badhava deti hai ki hum aise dharm ke mutabik zindagi jeeyen jo “hamare parmeshvar aur pita ki nazar mein  shuddh aur nishkalank” hai, fir chahe woh dharm zyadatar logon ko pasand na ho.—yakub 1:27; yuhanna 15:18, 19.