preshiton ke kaam 4:1-37

  • patras aur yuhanna giraftar (1-4)

    • vishvas karnevale aadmi 5,000 ho gaye (4)

  • mahasabha ke saamne mukadma (5-22)

    • ‘hum bolna nahin chhod sakte’ (20)

  • nidarta ke liye prarthna (23-31)

  • chele apni cheezen aapas mein baantte the (32-37)

4  jab ye donon, logon ko ye baatein bata rahe the tabhi kuch yaajak, mandir ke pehredaron ka sardar aur sadooki+ vahaan aa dhamke.  woh is baat se chidh gaye ki preshit, logon ko sikha rahe hain aur khulkar bata rahe hain ki yeeshu mare huon mein se zinda ho gaya hai.*+  aur unhonne donon preshiton ko pakad* liya aur shaam ho jaane ki vajah se unhein agle din tak hirasat mein rakha.+  magar jin logon ne woh bhashan suna tha, unmein se bahoton ne vishvas kiya aur chelon mein aadmiyon ki ginti kareeb 5,000 tak pahunch gayi.+  agle din yarooshalem mein yahoodiyon ke dharm-adhikari, mukhiya aur shaastri jama huye.  unke saath pradhan yaajak hanna,+ kaifa,+ yuhanna, sikandar aur pradhan yaajak ke sabhi rishtedar bhi the.  unhonne patras aur yuhanna ko apne beech khada karke unse poochhtachh karni shuroo ki, “tumne kis adhikar se yah kaam kiya hai aur kiske naam se yah kiya hai?”  tab patras ne pavitra shakti se bharkar+ unse kaha, “dharm-adhikariyo aur mukhiyao suno,  agar aaj ke din is apahij aadmi+ ka bhala karne ki vajah se hamse poochhtachh ki jaa rahi hai ki kisne ise theek kiya hai, 10  to tum sab aur israel ke sabhi log jaan lein ki yeeshu maseeh naasri ke naam se+ yah aadmi theek hua hai aur yahaan tumhare saamne bhala-changa khada hai. haan, usi yeeshu ke naam se jise tumne kaath par latkakar maar daala tha,+ magar jise parmeshvar ne mare huon mein se zinda kar diya.+ 11  yeeshu hi ‘woh patthar hai jise raajmistriyon ne bekar samjha, magar vahi kone ka mukhya patthar ban gaya.’+ 12  yah bhi jaan lo ki kisi aur ke zariye uddhaar nahin milega kyonki parmeshvar ne hamein uddhaar dilane ke liye dharti par insanon mein koi aur naam nahin chuna.”+ 13  jab unhonne dekha ki patras aur yuhanna kaise bedhadak* hokar bol rahe hain aur yah jaana ki ye kam padhe-likhe,* maamooli aadmi+ hain, to woh taajjub karne lage. fir unhein ehsas hua ki ye log yeeshu ke saath raha karte the.+ 14  woh dekh rahe the ki jis aadmi ko patras aur yuhanna ne theek kiya tha, woh unke saath khada hai+ isliye unke paas preshiton ke khilaf kehne ke liye kuch nahin raha.+ 15  unhonne patras aur yuhanna ko mahasabha ke bhavan se baahar jaane ka hukm diya. fir woh ek-doosre se mashvira karne lage 16  aur kehne lage, “hum in aadmiyon ke saath kya karein?+ kyonki yah sach hai ki inke haathon ek bada chamatkar hua hai, jise yarooshalem ke sab rehnevalon ne dekha hai+ aur hum ise jhuthla nahin sakte. 17  ab aao hum inhein dhamkayen ki woh is naam se fir kabhi kisi se baat na karein taaki yah baat aur logon mein na faile.”+ 18  fir unhonne chelon ko bulaya aur hukm diya ki woh yeeshu ke naam se koi baat na karein aur na hi sikhayen. 19  magar patras aur yuhanna ne unhein javab diya, “kya parmeshvar ki nazar mein yah sahi hoga ki hum uski baat maanne ke bajay tumhari sunein, tum khud faisla karo. 20  magar jahaan tak hamari baat hai, hum un baaton ke baare mein bolna nahin chhod sakte jo hamne dekhi aur suni hain.”+ 21  unhonne patras aur yuhanna ko ek baar fir dhamkakar chhod diya kyonki unhein saza dene ki koi vajah nahin mili. adhikariyon ko logon ka bhi dar tha+ kyonki jo ghatna ghati thi uski vajah se sabhi parmeshvar ki mahima kar rahe the. 22  jo aadmi is chamatkar* se changa hua tha, uski umra 40 saal se zyada thi. 23  vahaan se chhootkar patras aur yuhanna apne logon ke paas gaye aur unhein woh saari baatein batayin jo pradhan yaajkon aur mukhiyaon ne unse kahi thi. 24  yah sunnae ke baad un sabhi ne ek man hokar unchi aavaz mein parmeshvar se binti ki: “hey saare jahan ke maalik, toone hi aakash aur prithvi aur samundar aur unmein ki sab cheezon ko banaya hai+ 25  aur toone pavitra shakti ke zariye hamare purkhe aur apne sevak daavid ke munh se kehalvaya,+ ‘raashtra kyon gusse se ufan rahe hain? desh-desh ke log kyon khokhli baatein soch* rahe hain? 26  dharti ke raja , yahova* aur uske abhishikt jan* ke khilaf khade huye aur adhikariyon ne milkar unka virodh kiya.’+ 27  aur sachmuch aisa hi hua. raja herodes aur puntiyus peelatus donon,+ gair-yahoodiyon aur israel ki janta ke saath milkar is shehar mein tere pavitra sevak yeeshu ke khilaf ikattha huye, jiska toone abhishek kiya tha+ 28  taaki woh uske saath woh sab karein jo toone apni shakti aur marzee ke mutabik pehale se tay kiya tha.+ 29  ab hey yahova,* unki dhamkiyon par dhyan de aur apne daason ki madad kar ki woh poori tarah nidar hokar tera vachan sunate rahein 30  aur tu apna haath badhakar logon ko changa karta rahe aur tere pavitra sevak yeeshu ke naam se+ chamatkar aur aashcharya ke kaam hote rahein.”+ 31  jab woh gidgidakar minnat kar chuke to woh jagah jahaan woh ikattha the, kaanp uthi aur woh sab-ke-sab pavitra shakti se bhar gaye+ aur nidar hokar parmeshvar ka vachan sunane lage.+ 32  vishvas karnevale sab log ek dil aur ek jaan* the. unmein se koi bhi apni sampatti ko apna nahin kehta tha, balki sab cheezen woh aapas mein baant lete the.+ 33  aur preshit bade zabardast dhang se gavahi dete rahe ki prabhu yeeshu mare huon mein se zinda ho gaya hai.+ un sab par parmeshvar ki bharpoor maha-kripa bani rahi. 34  sach to yah hai ki unmein koi bhi tangi mein nahin tha+ kyonki jitnon ke paas khet ya ghar the, woh unhein bech dete aur milnevali rakam laakaar 35  preshiton ke pairon par rakh dete the.+ aur fir harek ko uski zaroorat ke mutabik baant diya jaata tha.+ 36  yoosuf jise preshit, baranbas+ naam se bulate the, (jiska matlab hai, “dilase ka beta”) kuprus ka rehnevala levi tha. 37  uske paas zameen ka ek tukda tha jise usne bech diya aur rakam laakaar preshiton ke pairon par rakh di.+

kai footnote

ya “yeeshu ki misal dekar mare huon ke ji uthne ka ailan kar rahe the.”
ya “giraftar kar.”
ya “nidar.”
ya “anpadh” woh sachmuch mein anpadh nahin the balki unhonne kabhi rabbiyon ke school mein padhai nahin ki thi.
ya “chinh.”
ya “baaton par gehrai se vichar kar.”
ati. ka5 dekhein.
ya “uske maseeh.”
ati. ka5 dekhein.
shabdavli mein “jeevan” dekhein.