is jaankari ko chhod dein

aap yuddh mein hissa kyon nahin lete?

aap yuddh mein hissa kyon nahin lete?

yahova ke sakshiyon ke paas yuddh mein hissa naa lene ki kai vajah hain:

  1. hum parmeshvar ka kehna maante hain. bible kehti hai ki parmeshvar ke log “talvarein peetkar hal ke faal” banayenge aur fir kabhi “yuddh” nahin “seekheinge.”—yashayah 2:4.

  2. hum yeeshu ke kahe par chalte hain. yeeshu ne preshit patras se kaha: “apni talvar myan mein daal le, isliye ki woh sabhi jo talvar uthate hain, talvar hi se naash honge.” (matti 26:52) is tarah yeeshu ne dikhaya ki uske nakshe-kadam par chalnevale log yuddh ke hathiyar nahin uthate.

    yeeshu ke shishya raajnaitik maamlon se bhi poori tarah door rehte hain kyonki yeeshu ne unse kaha tha ki woh “duniya ke nahin hain.” (yuhanna 17:16) isliye jab ek desh yuddh mein jaane ka faisla leta hai, tab sakshi na to uska koi virodh karte hain aur naa hi kisi ko sena mein bharti hone se rokte hain.

  3. hum doosron se pyar karte hain. yeeshu ne apne chelon ko aagya di ki “ek-doosre se pyar karo.” (yuhanna 13:34, 35) isliye unke beech poori duniya mein bhaai-behen jaisa pyar hai. to fir kaise woh ek-doosre ke khilaf hathiyar utha sakte hain?—1 yuhanna 3:10-12.

  4. hum pehli sadi ke maseehiyon ki misal par chalte hain. the encyclopedia of religion and war naam ki kitab batati hai ki “yeeshu ke shurooati chelon ne yuddh aur sena mein bharti hone se inkar kar diya.” woh aage kehti hai ki chelon ke liye sena mein bharti hona yeeshu ki shiksha ke khilaf hota, jismein usne dushmanon se bhi pyar karna sikhaya. yahi baat jarmani ke dharm-vigyani peter meinhold ne kaha ki “ek insan ka maseehi hona aur saath hi sainik hona kabhi mel nahin khaata.”

to hum samaj ke liye kya karte hain?

chahe yahova ke sakshi kisi bhi desh mein rehte hon, woh achhe naagrik hote hain aur kabhi bhi desh ki suraksha ke liye khatra saabit nahin hote. iske alava hum sarkari adhikariyon ka aadar karte aur unka kehna maante hain. bible hamein sikhati hai:

  • “apne upar thehraye gaye uchch-adhikariyon ke adheen” raho.—romiyon 13:1.

  • “jo samrat ka hai woh samrat ko chukao, magar jo parmeshvar ka hai vo parmeshvar ko chukao.”—matti 22:21

isliye hum sarkar ke banaye niyamon ka paalan karte hain, taiks ya kar chukate hain aur janta ki bhalai ke liye sarkar jo kaam karti hai, usmein apna sahyog dete hain.