matti ke mutabik khushkhabri 5:1-48

  • yeeshu ne pahad par sikhaya (1, 2)

  • sukh denevali nau baatein (3-12)

  • namak aur raushni (13-16)

  • yeeshu kaanoon poora karne aaya (17-20)

  • is baare mein salah: gussa (21-26), vyabhichar (27-30), talak (31, 32), kasam khaana (33-37), badla lena (38-42), dushmanon se pyar (43-48)

5  jab yeeshu ne bheed ko dekha, to woh pahad par gaya aur vahaan baith gaya aur uske chele uske paas aaye.  tab woh unhein ye baatein sikhane laga:  “sukhi hain woh jinmein parmeshvar se maargdarshan paane ki bhookh hai*+ kyonki swarg ka raaj unhin ka hai.  sukhi hain woh jo maatam manate hain kyonki unhein dilasa diya jaayega.+  sukhi hain woh jo komal swabhav+ ke hain kyonki woh dharti ke vaaris honge.+  sukhi hain woh jo neki ke bhookhe-pyase hain+ kyonki woh tript kiye.+  sukhi hain woh jo dayalu+ hain kyonki un par daya ki hi.  sukhi hain woh jinka dil shuddh+ hai kyonki woh parmeshvar ko dekheinge.  sukhi hain woh jo shaanti kaayam karte hain+ kyonki woh parmeshvar ke bete kehlayenge. 10  sukhi hain woh jo sahi kaam karne ki vajah se zulm sehte hain+ kyonki swarg ka raaj unhin ka hai. 11  sukhi ho tum jab log tumhein mere chele hone ki vajah se badnam karein,+ tum par zulm dhaayen+ aur tumhare baare mein tarah-tarah ki jhoothi aur buri baatein kahein.+ 12  tab tum magan hona aur khushiyaan manana+ isliye ki swarg mein tumhare liye bada inam hai.+ unhonne tumse pehale ke bhavishyavaktaon par bhi isi tarah zulm dhaaye the.+ 13  tum prithvi ke namak+ ho. lekin agar namak apna swad kho de, to kya use dobara namkeen kiya jaa sakta hai? nahin! fir woh kisi kaam ka nahin rehta. use sadkon par feink diya jaata hai+ aur woh logon ke pairon tale raunda jaata hai. 14  tum duniya ki raushni ho.+ jo shehar pahad par basa ho, woh chhip nahin sakta. 15  log deepak jalakar use tokri* se dhakkar nahin rakhte, balki deevat par rakhte hain. isse ghar ke sab logon ko raushni milti hai.+ 16  usi tarah tumhari raushni logon ke saamne chamke+ taaki woh tumhare bhale kaam+ dekhkar swarg mein rehnevale tumhare pita ki mahima karein.+ 17  yah mat socho ki main kaanoon ya bhavishyavaktaon ke vachnon ko radd karne aaya hoon. main unhein radd karne nahin balki poora karne aaya hoon.+ 18  main tumse sach kehta hoon ki jaise aakash aur prithvi kabhi nahin miteinge, vaise hi kaanoon mein likha chhote-se-chhota akshar ya bindu bhi bina poora huye nahin mitega, usmein likhi ek-ek baat poori hogi.+ 19  isliye agar koi iski chhoti aagyaon mein se kisi ek ko bhi todta hai aur doosron ko bhi aisa karna sikhata hai, to woh swarg ke raaj mein daakhil hone ke laayak nahin hoga.* magar jo inhein maanta hai aur doosron ko bhi aisa karna sikhata hai, woh swarg ke raaj mein daakhil hone ke laayak hoga.* 20  kyonki main tumse kehta hoon ki agar tumhare nek kaam shaastriyon aur fareesiyon ke nek kaamon se badhkar na hon,+ to tum swarg ke raaj mein hargiz daakhil na hoge.+ 21  tum sun chuke ho ki guzre zamane ke logon se kaha gaya tha, ‘tum khoon na karna.+ jo koi khoon karta hai use adalat ke saamne javab dena padega.’+ 22  magar main tumse kehta hoon ki har woh insan jiske dil mein apne bhaai ke khilaf gusse ki aag sulagtee rehti hai,+ use adalat ke saamne javab dena padega. aur har woh insan jo apne bhaai ka apman karne ke liye aise shabd kehta hai jinhein zaban par bhi nahin laana chahiye, use sabse badi adalat ke saamne javab dena padega. aur har woh insan jo apne bhaai se kehta hai, ‘are charitraheen moorkh!’ woh gehanna* ki aag mein jaane ke laayak thehrega.+ 23  isliye agar tu mandir mein vedi ke paas apni bheint laa raha ho+ aur vahaan tujhe yaad aaye ki tere bhaai ko tujhse kuch shikayat hai, 24  to apni bheint vahin vedi ke saamne chhod de aur jaakaar pehale apne bhaai ke saath sulah kar aur fir aakaar apni bheint chadha.+ 25  agar koi tujh par mukadma daayar karne jaa raha hai, to raaste mein hi jald-se-jald uske saath sulah kar le. kahin aisa na ho ki woh tujhe nyayi ke havale kar de aur nyayi tujhe pehredar ke havale kar de aur tujhe kaidkhane mein daal diya jaaye.+ 26  main tujhse sach kehta hoon, jab tak tu ek-ek paai* na chuka de, tab tak tu vahaan se kisi bhi haal mein na chhoot sakega. 27  tum sun chuke ho ki kaha gaya tha, ‘tum vyabhichar* na karna.’+ 28  magar main tumse kehta hoon ki har woh aadmi jo kisi aurat ko aisi nazar se dekhta rehta hai+ jisse uske man mein uske liye vaasna paida ho, woh apne dil mein us aurat ke saath vyabhichar kar chuka hai.+ 29  agar teri daayin aankh tujhse paap karva rahi hai,* to use nonchkar nikaal de aur door feink de.+ achha yahi hoga ki tu apna ek ang ganva de, bajay iske ki tera poora shareer gehanna* mein feink diya jaaye.+ 30  aur agar tera daayaan haath tujhse paap karva raha hai,* to use kaatkar door feink de.+ achha yahi hoga ki tu apna ek ang ganva de, bajay iske ki tera poora shareer gehanna* mein daal diya jaaye.+ 31  yah bhi kaha gaya tha, ‘jo koi apni patni ko talak deta hai, woh use ek talaknama de.’+ 32  lekin main tumse kehta hoon ki har woh aadmi jo apni patni ko naajayaz yaun-sambandh* ke alava kisi aur vajah se talak deta hai, woh use vyabhichar karne ke khatre mein daalta hai. aur jo koi aisi talakshuda aurat se shaadi karta hai, woh vyabhichar karne ka doshi hai.+ 33  tumne yah bhi suna hai ki guzre zamane ke logon se kaha gaya tha, ‘tum aisi shapath na khaana jise tum poora na karo,+ magar tum yahova* ke saamne apni mannatein poori karna.’+ 34  lekin main tumse kehta hoon, tum kabhi kasam na khaana,+ na swarg ki kyonki woh parmeshvar ki raajgaddi hai, 35  na hi prithvi ki kyonki yah uske paanvon ki chauki hai,+ na yarooshalem ki kyonki yah us maharaja ka nagar hai.+ 36  na hi tum apne sir ki kasam khaana kyonki tum ek baal bhi safed ya kaala nahin kar sakte. 37  bas tumhari ‘haan’ ka matlab haan ho aur ‘na’ ka matlab na,+ isliye ki isse badhkar jo kuch kaha jaata hai woh shaitan* se hota hai.+ 38  tum sun chuke ho ki kaha gaya tha, ‘aankh ke badle aankh aur daant ke badle daant.’+ 39  lekin main tumse kehta hoon, jo dusht hai uska mukabla mat karo. iske bajay, agar koi tumhare daayen gaal par thappad maare, to uski taraf doosra gaal bhi kar dena.+ 40  aur agar koi tum par adalat mein mukadma karke tumhara kurta lena chahe, to use apna odhna bhi de dena.+ 41  aur agar koi adhikari tumse kahe ki mera bojh uthakar ek meel* chal, to tum uske saath do meel chale jaana. 42  jo koi tumse maangta hai, use dena aur jo tumse udhaar maange* use dene se inkar mat karna.+ 43  tum sun chuke ho ki kaha gaya tha, ‘tum apne padosi se pyar karna+ aur dushman se nafrat.’ 44  lekin main tumse kehta hoon: apne dushmanon se pyar karte raho+ aur jo tumhein satate hain, unke liye prarthna karte raho.+ 45  is tarah tum saabit karo ki tum swarg mein rehnevale apne pita ke bete ho+ kyonki woh achhe aur bure donon par apna sooraj chamkata hai aur nek aur dusht donon par baarish barsata hai.+ 46  kyonki agar tum unhin se pyar karo jo tumse pyar karte hain, to tumhein iska kya inam milega?+ kya kar-vasoolnevale bhi aisa hi nahin karte? 47  aur agar tum sirf apne bhaaiyon ko hi namaskar karo, to kaun-saa anokha kaam karte ho? kya gair-yahoodi bhi aisa hi nahin karte? 48  isliye tumhein paripoorna* hona chahiye theek jaise swarg mein rehnevala tumhara pita paripoorna hai.+

kai footnote

ya “jo pavitra shakti ki bheekh maangte hain.”
ya “naapne ki tokri.”
shaa., “woh swarg ke raaj ke sambandh mein sabse ‘chhota’ kehlayega.”
shaa., “woh swarg ke raaj ke sambandh mein ‘mahan’ kehlayega.”
yarooshalem ke baahar kooda-karkat jalane ki jagah. shabdavli dekhein.
shaa., “aakhiri kaudran.” ati. kh14 dekhein.
shabdavli dekhein.
ya “tujhe thokar khila rahi hai.”
shabdavli dekhein.
ya “tujhe thokar khila raha hai.”
shabdavli dekhein.
yoonani mein porniya. shabdavli dekhein.
ati. ka5 dekhein.
shaa., “us dusht.”
ati. kh14 dekhein.
yaani bina byaj ke udhaar maange.
ya “poora.”