yuhanna ke mutabik khushkhabri 15:1-27

  • angoor ki sachchi bel ki misal (1-10)

  • maseeh jaisa pyar karne ki aagya (11-17)

    • “kya koi isse badhkar pyar kar sakta hai” (13)

  • duniya yeeshu ke chelon se nafrat karti hai (18-27)

15  main angoor ki sachchi bel hoon aur mera pita baagban hai.  meri har woh daali jo fal nahin deti, use woh kaat deta hai aur aisi har daali jo fal deti hai, uski woh chhantai karta hai taaki usmein aur zyada fal lagein.+  mainne tumse jo vachan kaha hai uski vajah se tum pehale hi shuddh ho. +  mere saath ekta mein bane raho aur main tumhare saath ekta mein rahoonga. ek daali tab tak fal deti hai jab tak woh bel se judi rehti hai. bel se alag hokar daali apne aap fal nahin de sakti. tum bhi agar mere saath ekta mein na raho, to fal nahin paida kar sakte.+  main angoor ki bel hoon aur tum daaliyaan ho. jo mere saath ekta mein rehta hai aur jiske saath main ekta mein rehta hoon, woh bahot fal paida karta hai.+ mujhse alag hokar tum kuch bhi nahin kar sakte.  agar koi mere saath ekta mein nahin rehta, to use feink diya jaata hai jaise ek daali ko feink diya jaata hai aur woh sookh jaati hai. log aisi daaliyaan batorkar aag mein jhonk dete hain aur jala dete hain.  agar tum mere saath ekta mein raho aur meri baatein tumhare dil mein rahein, to tum jo chaho aur maango, woh tumhein de diya jaayega.+  mere pita ki mahima is baat se hoti hai ki tum bahot fal paida karte raho aur yah saabit karo ki tum mere chele ho.+  theek jaise pita ne mujhse pyar kiya,+ mainne bhi tumse pyar kiya hai. tum mere pyar ke laayak bane raho. 10  agar tum meri aagyaon ko maanoge, to mere pyar ke laayak bane rahoge, theek jaise main pita ki aagyayen maanta hoon aur uske pyar ke laayak bana rehta hoon. 11  ye baatein mainne tumse isliye kahi hain ki tumhein woh khushi mile jo mujhe mili hai aur woh khushi tumhein poori tarah mile.+ 12  meri yah aagya hai ki tum ek-doosre se pyar karo jaise mainne tumse pyar kiya hai.+ 13  kya koi isse badhkar pyar kar sakta hai ki woh apne doston ki khaatir jaan de de?+ 14  jo aagya main deta hoon agar tum use maano to tum mere dost ho.+ 15  ab main tumhein daas nahin kehta kyonki daas nahin jaanta ki uska maalik kya karta hai. lekin mainne tumhein apna dost kaha hai kyonki mainne apne pita se jo kuch suna hai woh sab tumhein bata diya hai. 16  tumne mujhe nahin chuna magar mainne tumhein chuna hai. mainne tumhein isliye thehraya hai ki tum jaao aur fal paida karte raho. aur tumhare fal hamesha bane rahein taaki tum mere naam se pita se jo kuch maango woh tumhein de de.+ 17  mainne tumhein in baaton ki aagya isliye di hai taaki tum ek-doosre se pyar karo.+ 18  agar duniya tumse nafrat karti hai, to yaad rakho ki isne tumse pehale mujhse nafrat ki hai.+ 19  agar tum duniya ke hote to duniya tumhein pasand karti kyonki tum uske apne hote. magar tum duniya ke nahin ho+ balki mainne tumhein duniya se chun liya hai, isliye duniya tumse nafrat karti hai.+ 20  mainne jo baat tumse kahi thi, use yaad rakho. ek daas apne maalik se bada nahin hota. agar unhonne mujhe sataya hai to tumhein bhi satayenge.+ agar unhonne meri baat maani hai to tumhari bhi maaneinge. 21  magar woh mere naam ki vajah se tumhare khilaf yah sab kareinge kyonki woh mere bhejnevale ko nahin jaante.+ 22  agar main nahin aata aur unse baat nahin karta to unmein paap nahin hota.+ magar ab apne paap se inkar karne ke liye unke paas koi bahana nahin.+ 23  jo mujhse nafrat karta hai woh mere pita se bhi nafrat karta hai.+ 24  mainne unke beech woh kaam kiye jo kisi aur ne nahin kiye the. agar mainne unke beech ye kaam na kiye hote, to unmein koi paap nahin hota.+ lekin ab unhonne mujhe dekha hai aur mujhse aur mere pita, donon se nafrat ki hai. 25  magar yah isliye hua ki unke kaanoon mein likhi yah baat poori ho, ‘unhonne mujhse bevajah nafrat ki.’+ 26  main apne pita ke yahaan se tumhare paas ek madadgar bhejoonga yaani sachchai ki pavitra shakti, jo pita se aati hai.+ woh madadgar mere baare mein gavahi dega.+ 27  fir tumhein bhi mere baare mein gavahi deni hai+ kyonki tum shuroo se mere saath rahe ho.

kai footnote