yashayah 42:1-25

  • parmeshvar ka sevak; uska kaam (1-9)

    • ‘yahova mera naam hai’ (8)

  • yahova ki taareef mein naya geet (10-17)

  • israel andha aur behra hai (18-25)

42  dekho! mera sevak+ jise main sambhaale huye hoon! mera chuna hua jan+ jise mainne manzoor kiya hai!+ mainne us par apni pavitra shakti undeli hai,+woh raashtron ko dikhayega ki sachcha nyay kya hota hai.+   woh na to chillayega, na shor machayegaaur na hi sadkon par apni aavaz unchi karega.+   woh kuchle huye narkat ko nahin kuchlega,timtimati baati ko nahin bujhayega.+ woh nyay karne mein vishvasyogya hoga.+   woh na bujhega, na kuchla jaayega,woh prithvi par nyay kaayam karega+aur saare dveep uske kaanoon* ka intazar kareinge.   jisne aakash ko banaya aur use taana hai,+prithvi aur us par ki saari cheezen rachi hain,+jisne us par rehnevale insanon ko jeevan diya hai+aur jeevan kaayam rakhne ke liye unhein saansein di hain,+woh mahan aur sachcha parmeshvar yahova kehta hai,   “mujh yahova ne apne nek maksad ke liye tujhe bulaya hai,mainne tera haath thaama hai, main teri hifazat karoonga, tu mere aur logon ke beech karar thehrega+aur raashtron ke liye raushni banega+   taaki tu andhon ki aankhein khole,+kaal-kothri se kaidiyon ko chhudayeaur kaidkhane ke andhere se logon ko nikaale.+   main yahova hoon, yahi mera naam hai.main apni mahima kisi aur ko na doonga,*na apni taareef khudi hui moorton ko doonga.+   dekho! purani baatein khatm ho chuki hain,ab main nayi baaton ka ailan kar raha hoon, unke hone se pehale tumhein woh baatein bata raha hoon.”+ 10  hey samundar mein utarnevalo, uske jeevon ke paas jaanevalo,hey dveepo aur usmein rehnevalo,+yahova ke liye ek naya geet gaao,+prithvi ke kone-kone mein uski taareef karo.+ 11  veerana aur uske shehar jayjaykar karein,+kedar+ ki bastiyaan gungan karein, chattanon mein rehnevale khushi ke maare chillayen,pahadon ki choti se unchi aavaz mein chillayen. 12  woh yahova ki mahima kareinaur dveepon mein uska gungan karein.+ 13  yahova veer yoddha ke samaan niklega,+ soorma ki tarah poore josh ke saath aayega,+woh chillakar yuddh ki lalkar lagayegaaur apne dushmanon se zyada taakatvar saabit hoga.+ 14  “main kaafi samay se chup raha,khaamosh rehkar khud ko rokta raha. par ab main garbhvati aurat ke samaan karahoonga,haanfoonga aur zor-zor se saans bharoonga. 15  main pahadon aur pahadiyon ko ujaad doonga,unki saari hariyali jhulsa doonga, nadiyon ko sookhi zameen* bana doonga,narkatonvale taalabon ko sukha doonga.+ 16  main andhon ko aisi raah par le jaaunga, jinhein woh nahin jaante,+un raaston par le chaloonga jinse woh anjan hain.+ main unke saamne andhkar ko ujale mein badal doonga,+oobad-khaabad raaston ko samtal kar doonga.+ yah sab main unke liye karoonga, main unhein nahin tyagoonga.” 17  jo tarashi hui moorton par bharosa rakhte hain,jo dhali hui moorton se kehte hain, “tum hamare ishvar ho,”woh sharminda honge aur peeth dikhakar bhaageinge.+ 18  hey behro, suno!hey andho, aankhein kholo aur dekho!+ 19  mere sevak ko chhod aur kaun andha hai? mere bheje huye doot ke jaisa behra kaun hai? jise mainne inam diya uske jaisa andha kaun hai? haan, yahova ke sevak jaisa andha kaun hai?+ 20  tu bahot-si cheezen dekhta hai magar dhyan nahin deta, tere kaan khule rehte hain magar tu kuch nahin sunta.+ 21  yahova vahi karta hai jo sahi hai,isliye usne khushi-khushi dikhaya ki uske kaanoon* kitne shaandar aur mahan hain. 22  magar ye to lute-pite log hain,+sab gaddhe mein fanse huye hain aur jelon mein band hain.+ unhein loot liya gaya, unhein bachanevala koi nahin,+unki taraf se koi yah kehnevala nahin, “unhein vaapas le aao.” 23  tummein se kaun is par kaan lagayega? kaun aanevale kal ko dhyan mein rakhkar ise sunega? 24  kisne yakub ko lutne diyaaur israel ko luteron ke haath kar diya? kya yahova ne nahin, jiske khilaf unhonne paap kiya,jiski raahon par chalne se unhonne inkar kiyaaur jiske kaanoon* ko unhonne nahin maana?+ 25  isliye usne apni jaljalahat aur apna krodh un par undela,yuddh ka kehar un par barsaya.+ unke aas-paas jo kuch tha sab bhasm ho gaya, fir bhi unhonne dhyan nahin diya.+ woh khud bhi jhulas gaye, fir bhi unhein samajh nahin aa raha.+

kai footnote

ya “shiksha.”
ya “kisi aur ke saath nahin baantoonga.”
shaa., “dveep.”
ya “shiksha.”
ya “shiksha.”