yuhanna ke mutabik khushkhabri 17:1-26

  • preshiton ke saath yeeshu ki aakhiri prarthna (1-26)

    • hamesha ki zindagi ke liye parmeshvar ko jaanna zaroori (3)

    • maseehi duniya ke nahin (14-16)

    • “tera vachan sachcha hai” (17)

    • ‘mainne tera naam bataya hai’ (26)

17  yeeshu ne ye baatein kehne ke baad swarg ki taraf nazrein uthayin aur kaha, “pita, woh ghadi aa gayi hai. apne bete ki mahima kar taaki tera beta teri mahima kare.+  toone use sab insanon par adhikar diya hai+ taaki toone use jitne log diye hain,+ un sabko woh hamesha ki zindagi de sake.+  hamesha ki zindagi+ paane ke liye zaroori hai ki woh tujh ekmatra sachche parmeshvar ko aur yeeshu maseeh ko jise toone bheja hai, jaanein.*+  jo kaam toone mujhe diya hai use poora karke+ mainne dharti par teri mahima ki hai.+  isliye ab hey pita, mujhe apne paas woh mahima de jo duniya ki shurooat se pehale tere paas rehte huye mujhe mili thi.+  mainne tera naam un logon par zahir kiya* hai jinhein toone duniya mein se mujhe diya hai.+ woh tere the aur toone unhein mujhe diya hai aur unhonne tera vachan maana hai.  ab woh jaan gaye hain ki jo kuch toone mujhe diya hai, woh sab teri taraf se hai.  kyonki jo baatein toone mujhe batayi hain woh mainne un tak pahunchayi hain.+ unhonne ye baatein sweekar ki hain aur woh pakke taur par jaan gaye hain ki main teri taraf se aaya hoon+ aur unhonne yakeen kiya hai ki toone mujhe bheja hai.+  main unke liye binti karta hoon. main duniya ke liye binti nahin karta, magar unke liye karta hoon jinhein toone mujhe diya hai kyonki woh tere hain. 10  aur mera sabkuch tera hai aur jo tera hai woh mera hai+ aur unke beech meri mahima hui hai. 11  yahi nahin, ab se main is duniya mein nahin rahoonga, magar woh isi duniya mein raheinge+ aur main tere paas aa raha hoon. hey pavitra pita, apne naam ki khaatir jo toone mujhe diya hai, unki dekhbhal kar+ taaki woh bhi ek* hon jaise hum ek* hain.+ 12  jab main unke saath tha, to main tere naam ki khaatir jo toone mujhe diya hai, unki dekhbhal karta tha.+ mainne unki hifazat ki aur unmein se ek bhi naash nahin hua,+ sirf vinash ka beta naash hua+ taaki shastra mein likhi baat poori ho.+ 13  magar ab main tere paas aa raha hoon aur ye baatein main duniya mein rehte huye isliye kah raha hoon taaki jo khushi mujhe mili hai woh unhein bhi poori tarah mile.+ 14  mainne tera vachan unke paas pahuncha diya hai magar duniya ne unse nafrat ki hai kyonki woh duniya ke nahin,+ theek jaise main bhi duniya ka nahin. 15  main tujhse yah binti nahin karta ki tu unhein duniya se nikaal le magar yah ki shaitan* ki vajah se unki dekhbhal kar.+ 16  woh duniya ke nahin hain,+ theek jaise main duniya ka nahin hoon.+ 17  sachchai se unhein pavitra kar.+ tera vachan sachcha hai.+ 18  theek jaise toone mujhe duniya mein bheja hai, vaise hi mainne bhi unhein duniya mein bheja hai.+ 19  aur main unki khaatir khud ko pavitra karta hoon taaki woh bhi sachchai se pavitra kiye jaayen. 20  main sirf inhin ke liye binti nahin karta, magar unke liye bhi karta hoon jo inki baatein maankar mujh par vishvas karte hain 21  taaki woh sabhi ek ho sakein.+ theek jaise hey pita, tu mere saath ekta mein hai aur main tere saath ekta mein hoon,+ usi tarah woh bhi hamare saath ekta mein hon taaki duniya yakeen kare ki toone mujhe bheja hai. 22  mainne unhein woh mahima di hai jo toone mujhe di thi taaki woh bhi ek hon theek jaise hum ek hain.+ 23  main unke saath ekta mein hoon aur tu mere saath ekta mein hai taaki woh poori tarah se ek hon, jisse duniya jaane ki toone mujhe bheja hai aur toone unse bhi pyar kiya hai jaise mujhse kiya hai. 24  hey pita, main chahta hoon ki jinhein toone mujhe diya hai woh bhi mere saath vahaan rahein jahaan main rahoonga+ taaki woh meri mahima dekhein jo toone mujhe di hai, kyonki toone duniya ki shurooat se bhi pehale mujhse pyar kiya.+ 25  hey sachche pita, duniya vaakai tujhe nahin jaan paayi hai+ magar mainne tujhe jaana hai+ aur ye bhi jaan gaye hain ki toone mujhe bheja hai. 26  mainne tera naam unhein bataya hai aur aage bhi bataunga+ taaki jo pyar toone mujhse kiya, woh unmein bhi ho aur main unke saath ekta mein rahoon.”+

kai footnote

ya “gyaan lete rahein.”
ya “ko bataya.”
ya “ekta mein.”
ya “ekta mein.”
shaa., “us dusht.”