bhajan 77:1-20

  • sankat ki ghadi mein prarthna

    • parmeshvar ke kaamon par manan (11, 12)

    • ‘kya koi tujh jaisa mahan hai?’ (13)

aasap+ ka sureela geet. nirdeshak ke liye hidayat: yadootoon* par. 77  main zor-zor se parmeshvar ko pukaroonga,parmeshvar ko pukaroonga aur woh meri sunega.+   museebat ke din main yahova ki khoj karta hoon.+ raat ko mere haath bina thake uski taraf faile rehte hain. fir bhi mere man ko dilasa nahin milta.   parmeshvar ko yaad karke main karahta hoon,+mera man bahot bechain hai, meri taakat javab de gayi hai.+ (sela )   tu meri palkon ko jhapakne nahin deta,main dukh se behal hoon, mujhse kuch kehte nahin banta.   main purane din yaad karta hoon+guzre zamane ke baare mein sochta hoon.   raat ke dauran main apna geet* yaad karta hoon.+main in savalon par dil se vichar karta hoon,+achhi tarah khojbeen karke javab talashta hoon:   kya yahova ne hamein sada ke liye tyag diya hai?+ kya woh fir kabhi hum par kripa nahin karega?+   kya uska atal pyar sada ke liye mit gaya hai? kya uska vaada kabhi nahin poora hoga?   kya parmeshvar hum par kripa karna bhool gaya hai?+kya usne gusse mein aakaar daya karna chhod diya hai? (sela ) 10  kya mujhe baar-baar kehna padega, “mujhe yah baat bahot tadpati* hai+ ki param-pradhan parmeshvar ne hamse apna daayaan haath khinch liya hai”? 11  hey yaah, main tere kaam yaad karoonga,guzre zamane mein kiye tere aashcharya ke kaam yaad karoonga. 12  main tere sabhi kaamon par manan karoonga,un par gehrai se sochoonga.+ 13  hey parmeshvar, teri raahein pavitra hain. hey parmeshvar, kya koi ishvar hai jo tujh jaisa mahan ho?+ 14  tu hi sachcha parmeshvar hai jo aashcharya ke kaam karta hai.+ toone desh-desh ke logon par apni taakat zahir ki hai.+ 15  apni shakti* se toone apne logon ko chhudaya,+yakub aur yoosuf ke vanshajon ko bachaya. (sela ) 16  hey parmeshvar, samundar ne tujhe dekha,usne tujhe dekha aur dar gaya.+ gehre saagar mein khalbali mach gayi. 17  baadal barasne lage,ghanghor ghataon se ghira aasman garajne laga. tere bijli ke teer idhar-udhaar chalne lage.+ 18  tera garajna+ rath ke pahiyon ki tez ghadghadahat jaisa tha,bijli ke kaundhne se saara jag* raushan ho gaya,+zameen kaanp uthi, dolne lagi.+ 19  tera raasta samundar se hokar guzra,+teri dagar gehre saagar ke beech se guzri,magar tere pairon ke nishan kahin na mile. 20  tu apne logon ko bhedon ke jhund ki tarah le chala+moosa aur haaroon ke zariye unhein le chala.+

kai footnote

shabdavli dekhein.
ya “taaronvale baaje par bajaya sangeet.”
ya “bhedti.”
shaa., “apne baazoo.”
ya “upjaoo zameen.”