bhajan 127:1-5

  • parmeshvar ke bagair sabkuch bekar

    • “agar ghar ko yahova na banaye” (1)

    • bachche parmeshvar se mila inam hain (3)

sulaiman ki rachna. chadhai ka geet. 127  agar ghar ko yahova na banaye,to uske kaareegaron ki kadi mehnat bekar hai.+ agar shehar ki hifazat yahova na kare,+to uske pehredar ka jaagte rehna bekar hai.   agar parmeshvar ki aasheesh na ho,to tumhara subah tadke uthna,der raat tak jaagna,khaane ke liye kadi mazdoori karna bekar hai. kyonki woh jinse pyar karta hai, unki dekhbhal karta haiaur unhein achhi nind deta hai.+   dekho! ladke* yahova se mili virasat hain,+garbh ka fal usse mila inam hai.+   jaise veer ke haath mein teer hote hain,vaise javan aadmi ke bete hote hain.+   sukhi hai woh aadmi jo apna tarkash teeron se bharta hai.+ woh sharminda nahin kiye jaayenge,kyonki woh shehar ke faatak par dushmanon ko javab deinge.

kai footnote

ya “bachche.”