bhajan 146:1-10

  • parmeshvar par bharosa rakho, insanon par nahin

    • marne par insan ke vichar mit jaate hain (4)

    • parmeshvar jhuke huon ko uthata hai (8)

146  yaah ki taareef karo!*+ mera rom-rom yahova ki taareef kare.+   main saari zindagi yahova ki taareef karoonga, jab tak main zinda rahoonga, apne parmeshvar ki taareef mein geet gaaunga.*   bade-bade adhikariyon* par bharosa mat rakhna,na hi kisi aur insan par, jo uddhaar nahin dila sakta.+   uski bhi saans* nikaal jaati hai aur woh mitti mein mil jaata hai,+usi din uske saare vichar mit jaate hain.+   sukhi hai woh jiska madadgar yakub ka parmeshvar hai,+jo apne parmeshvar yahova par aasha rakhta hai.+   us parmeshvar par jo aakash, dharti,samundar aur unmein jo kuch hai, sabka bananevala hai,+jo hamesha vishvasyogya rehta hai.+   woh dhokha khaaye huon ko nyay dilata hai,bhookhon ko roti deta hai.+ yahova kaidiyon* ko chhudata hai.+   yahova andhon ki aankhein kholta hai,+yahova jhuke huon ko seedha khada karta hai,+yahova nek logon se pyar karta hai.   yahova pardesiyon ki raksha karta hai,anath* aur vidhva ki dekhbhal karta hai,+magar dusht ki chaalein naakam kar deta hai.*+ 10  yahova sada ke liye raja bana rahega,+hey siyyon, tera parmeshvar peedhi-peedhi tak raja bana rahega. yaah ki taareef karo!*

kai footnote

ya “hallilooyah!” “yaah” yahova naam ka chhota roop hai.
ya “sangeet bajaunga.”
ya “haakimon.”
shabdavli mein “ruakh; nafma” dekhein.
shaa., “bandiyon.”
ya “jiske pita ki maut ho gayi hai.”
ya “dusht ki raah tedhi-medhi kar deta hai.”
ya “hallilooyah!” “yaah” yahova naam ka chhota roop hai.