bhajan 115:1-18

  • sirf parmeshvar ki mahima ki jaani chahiye

    • bejan moortein (4-8)

    • dharti insanon ko di gayi (16)

    • ‘mare huye yaah ki taareef nahin karte’ (17)

115  hey yahova, hamari nahin, haan hamari nahin*balki apne naam ki mahima kar,+apne atal pyar aur apni vafadari ke kaaran aisa kar.+   raashtron ko yah kehne ka mauka kyon mile: “kahaan gaya unka parmeshvar?”+   hamara parmeshvar swarg mein hai,woh vahi karta hai jo use bhaata hai.   unki moortein sone-chaandi ki bani hain,insan ke haath ki kaareegari hain.+   unka munh to hai par woh bol nahin saktin,+aankhein hain par dekh nahin saktin,   kaan hain par sun nahin saktin,naak hai par soongh nahin saktin,   haath hain par chhoo nahin saktin,pair hain par chal nahin saktin,+unke gale se koi aavaz nahin nikaalti.+   unke bananevale aur un par bharosa rakhnevale,donon unki tarah ho jaayenge.+   hey israel, yahova par bharosa rakh+—woh unka madadgar aur unki dhaal hai.+ 10  hey haaroon ke gharane,+ yahova par bharosa rakh—woh unka madadgar aur unki dhaal hai. 11  yahova ka dar maannevalo, yahova par bharosa rakho+—woh unka madadgar aur unki dhaal hai.+ 12  yahova hamein yaad rakhta hai aur hamein aasheesh dega,woh israel ke gharane ko aasheesh dega,+woh haaroon ke gharane ko aasheesh dega. 13  jo yahova ka dar maante hain unhein woh aasheesh dega,chhote aur bade, sabhi ko aasheesh dega. 14  yahova tumhari ginti badhayega,tumhari aur tumhare bachchon* ki ginti badhayega.+ 15  yahova tumhein aasheesh de,+jo aakash aur dharti ka bananevala hai.+ 16  swarg to yahova ka hai,+magar dharti usne insanon ko di hai.+ 17  jo mar gaye hain woh yaah ki taareef nahin karte,+na hi woh karte hain jo maut ki khaamoshi mein chale gaye hain.+ 18  magar hum yaah ki taareef kareinge,ab se lekar hamesha-hamesha tak. yaah ki taareef karo!*

kai footnote

ya “hamara kuch nahin, hey yahova, hamara kuch nahin.”
shaa., “beton.”
ya “hallilooyah!” “yaah” yahova naam ka chhota roop hai.