bhajan 103:1-22
daavid ki rachna.
103 mera man yahova ki taareef kare,mera rom-rom uske pavitra naam ki taareef kare.
2 mera man yahova ki taareef kare,uske saare kaam main kabhi nahin bhooloonga.+
3 woh mere saare gunah maaf karta hai,+meri sabhi beemariyaan door karta hai.+
4 woh mujhe gaddhe* se nikaalkar meri jaan bachata hai,+mujhe apne atal pyar aur daya ka taaj pehnata hai.+
5 woh zindagi-bhar mujhe achhi cheezon se santusht karta hai+taaki mujhmein ukab jaisi javani aur damkham bana rahe.+
6 sabhi sataye huon ki khaatiryahova nek kaam karta hai, unhein nyay dilata hai.+
7 usne moosa ko apni raahein batayi thi,+israeliyon par apne kaam zahir kiye the.+
8 yahova dayalu aur karuna se bhara hai,+krodh karne mein dheema aur atal pyar se bharpoor hai.+
9 woh hamesha khaamiyaan nahin dhoondhta rahega,+na hi sada naarazgi paale rahega.+
10 usne hamare paapon ke mutabik hamare saath salook nahin kiya,+na hi hamare gunahon ke mutabik hamein saza di.+
11 kyonki aakash dharti se jitna uncha hai,uska dar maannevalon ke liye uska atal pyar utna hi mahan hai.+
12 poorab pashchim se jitna door hai,usne hamare apradhon ko hamse utna hi door feink diya hai.+
13 jaise ek pita apne bachchon par daya karta hai,vaise hi yahova ne un par daya dikhayi hai jo uska dar maante hain.+
14 kyonki woh hamari rachna achhi tarah jaanta hai,+woh yaad rakhta hai ki hum mitti hi hain.+
15 jahaan tak nashvar insan ki baat hai,uska vajood ghaas ki tarah hai,+woh maidan ke fool ki tarah khilta hai.+
16 magar jab tez hava chalti hai, to woh naash ho jaata hai,maano woh kabhi tha hi nahin.*
17 lekin yahova ka atal pyar yug-yug tak* bana rehta hai,unke liye bana rehta hai jo uska dar maante hain,+uski neki unke bachchon ke bachchon ke liye sada bani rahegi,+
18 unke liye jo uska karar maante hain+aur jo uske aadesh sakhti se maante hain.
19 yahova ne swarg mein apni raajgaddi mazbooti se kaayam ki hai,+uska raaj har cheez par hai.+
20 sabhi swargdooto,+ tum jo shaktishali ho,uski aagya maankar uske vachan ka paalan karte ho,+yahova ki taareef karo.
21 uski saari senao,uski marzee poori karnevale sevko,+ yahova ki taareef karo.+
22 hey saari srishti,uske raajya ke kone-kone mein yahova ki taareef kar.
mera rom-rom yahova ki taareef kare.
kai footnote
^ ya “kabraa.”
^ shaa., “aur uski jagah use aur nahin jaanti.”
^ ya “hamesha se hamesha tak.”