is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

saval 12

mare huon ke baare mein hum kya aasha rakh sakte hain?

“is baat par hairan mat ho kyonki woh vakt aa raha hai jab woh sabhi, jo smarak kabraon mein hain uski aavaz suneinge aur baahar nikaal aayenge.”

yuhanna 5:28, 29

“achhe aur bure, donon tarah ke logon ko mare huon mein se zinda kiya jaayega.”

preshiton 24:15

“mainne mare huon ko yaani chhote-bade sabko raajgaddi ke saamne khade dekha aur kitabein kholi gayin. fir ek aur kitab kholi gayi jo jeevan ki kitab hai. un kitabon mein likhi baaton ke mutabik, mare huon ka unke kaamon ke hisab se nyay kiya gaya. aur samundar ne un mare huon ko jo usmein the, de diya aur maut aur kabraa ne un mare huon ko jo unmein the, de diya aur unmein se harek ka uske kaamon ke hisab se nyay kiya gaya.”

prakashitvakya 20:12, 13