bhajan 1:1-6

  • do raahon mein fark

    • parmeshvar ka kaanoon padhne se milti khushi (2)

    • nek log faldar ped jaise (3)

    • dusht bhoosi jaise (4)

1  sukhi hai woh insan jo dushton ki salah par nahin chalta,paapiyon ki raah par khada nahin hota,+na hi hansi-thattha karnevalon ke saath baithta hai.+   magar woh yahova ke kaanoon se khushi paata hai,+din-raat uska kaanoon dheemi aavaz mein padhta hai.*+   woh aise ped ki tarah hoga jo behte paani ke paas lagaya gaya hai,jo samay par fal deta hai,jiske patte kabhi murjhate nahin. woh aadmi apne har kaam mein kaamyab hoga.+   magar dusht log aise nahin hote,woh bhoosi ki tarah hote hain jise hava uda le jaati hai.   isliye dusht nyay ke samay tik nahin paayenge,+paapi, nek logon ki mandli mein khade nahin reh paayenge.+   kyonki yahova nek logon ki raah par dhyan deta hai,+magar dushton ke raaste mit jaayenge.+

kai footnote

ya “uske kaanoon par manan karta hai.”