bhajan 36:1-12

  • parmeshvar ka atal pyar anmol hai

    • dusht parmeshvar se nahin darta (1)

    • parmeshvar jeevan denevala hai (9)

    • ‘teri raushni se raushni milti hai’ (9)

yahova ke sevak daavid ki rachna. nirdeshak ke liye hidayat. 36  apradh, dusht ke dil ki gehrai mein usse bolta hai,dusht ki aankhon mein parmeshvar ka zara bhi dar nahin.+   woh apni nazron mein khud ko itna uncha utha leta haiki apni galti dekh nahin paata aur usse nafrat nahin karta.+   uske munh se nuksan pahunchanevali aur chhal ki baatein nikaalti hain,usmein zara bhi androoni samajh nahin ki woh bhala kaam kare.   bistar par lete huye bhi woh saazishein rachta hai. woh aise raaste par chalne mein ad jaata hai jo sahi nahin hai,woh burai ko nahin thukrata.   hey yahova, tera atal pyar aasman tak pahunchta hai,+teri vafadari baadlon tak pahunchti hai.   teri neki bade-bade, unche pahadon* jaisi hai,+tere nyay-siddhaant vishal gehre saagar jaise hain.+ hey yahova, tu insan aur jaanvar, donon ko salamat rakhta* hai.+   hey parmeshvar, tera atal pyar kya hi anmol hai!+ tere pankhon ki chhaanv tale insan panah lete hain.+   woh tere bhavan ki bharpoori* se ji-bharkar peete hain,+tu apni achhai ki umadti nadi se unhein pilata hai.+   tu hi jeevan denevala hai,+teri raushni se hamein raushni milti hai.+ 10  jo tujhe jaante hain unse pyar* karta reh,+seedhe-sachche manvalon ke saath neki karta reh.+ 11  magroor ko mauka na de ki woh pairon se mujhe raund daale,na hi dusht ko avsar de ki woh haathon se mujhe khaded de. 12  dekh, gunah karnevale gir gaye hain,unhein chit kar diya gaya hai, woh uth nahin sakte.+

kai footnote

shaa., “teri neki parmeshvar ke pahadon.”
ya “bachata.”
shaa., “charbi.”
ya “atal pyar.”