is jaankari ko chhod dein

parmeshvar ke kitne naam hain?

parmeshvar ke kitne naam hain?

shastra se javab

parmeshvar ka sirf ek hi naam hai. yah naam ibrani bhasha mein is tarah likha jaata hai: יהוה aam taur par hindi mein iska anuvad “yahova” kiya jaata hai. * parmeshvar ne apne bhavishyavakta yashayah ke zariye kaha, “main yahova hoon, yahi mera naam hai.” (yashayah 42:8) bible ki pracheen hastlipiyon mein yah naam kareeb 7,000 baar aaya hai, yaani parmeshvar ke liye jitni upadhiyaan istemal ki gayi hain unse kahin zyada baar parmeshvar ka naam istemal hua hai. yahi nahin, bible mein jitne bhi logon ke naam diye hain unmein sabse zyada baar “yahova” ka naam aaya hai. *

kya yahova ke aur bhi doosre naam hain?

haalaanki bible batati hai ki parmeshvar ka sirf ek hi naam hai, fir bhi ismein parmeshvar ke liye kai upadhiyaan aur varnan bhi istemal kiya gaya hai. inke kuch udahran aage diye gaye hain. saath hi yah bhi bataya gaya hai ki har upadhi ya varnan se kaise yahova ki shakhsiyat ka ek pehloo pata chalta hai.

upadhi

aaytein

matlab

ati pracheen

daaniyel 7:9, 13, 22

yahova ki koi shurooat nahin hai, woh hamesha se parmeshvar raha hai. kisi bhi prani ya cheez ke banaye jaane se bahot pehle woh astitva mein hai.—bhajan 90:2.

alpha aur omega

prakashitvakya 21:6; 22:13

in shabdon ka matlab hai, “pehla aur aakhiri” ya “shurooat aur ant.” yah dikhata hai ki yahova se pehle na koi sarvashaktiman parmeshvar hua tha aur na uske baad koi hoga. (yashayah 43:10) alpha aur omega, yoonani varnmala ke pehle aur aakhiri akshar hain.

allah

(nahin hai)

“allah” arbi bhasha ka shabd hai, magar yah ek naam nahin balki upadhi hai jiska matlab hai, “parmeshvar.” bible ke arbi aur doosri bhaashaon ke anuvadon mein “parmeshvar” ka anuvad “allah” kiya gaya hai.

aanandit parmeshvar

1 timuthiyus 1:11

woh khush rehnevala parmeshvar hai.—bhajan 104:31.

ishvaron ka parmeshvar

vyavasthavivran 10:17, hindi—o.v.

jin “nikammi moorton” ko pooja jaata hai un sabki tulna mein yahova sabse mahan parmeshvar hai. (yashayah 2:8) isliye in shabdon ka anuvad is tarah bhi kiya gaya hai: “sab ishvaron mein mahan ishvar.”—nayi duniya anuvad.

uddharkarta

yashayah 45:21

woh khatre ya naash se bachata hai.

kumhar

yashayah 64:8

use har insan aur raashtra par adhikar hai, theek jais kumhar ko mitti par adhikar hai.—romiyon 9:20, 21.

chattan

bhajan 18:2, 46

usmein panah lene se suraksha milti hai aur vahi insanon ko bacha sakta hai.

charvaha

bhajan 23:1

apne upasakon ki dekhbhal karta hai.

chhudanevala

yashayah 41:14

woh yeeshu maseeh ke firauti balidan ki keemat dekar insanon ko vaapas khareedta hai ya paap aur maut ki giraft se aazad karta hai.—yuhanna 3:16.

jalansheel, irshyalu

nirgaman 34:14, hindi—o.v.; hindi—common language

use yah hargiz bardasht nahin ki log uske siva kisi aur ki upasna karein. in shabdon ka anuvad is tarah bhi kiya gaya hai: “yah maang karne ke liye jaana jaata hai ki sirf usi ki bhakti ki jaaye” aur “woh uska mukabla karnevalon ko bardasht nahin karta.”—nayi duniya anuvad; footnote.

param-pavitra parmeshvar

neetivachan 9:10

woh pavitrata (ya naitik shuddhta) mein sabse badhkar hai.

param-pradhan

bhajan 47:2

uska pad sabse uncha hai.

parmeshvar

utpatti 1:1

jiski upasna ki jaani chahiye aur taakatvar parmeshvar. “parmeshvar” ka ibrani shabd elohim ek bahuvchan shabd hai. yah shabd yahova ka vaibhav ya uski garima ya shreshthata dikhata hai.

pita

matti 6:9

jeevan denevala.

prabhu

bhajan 135:5

maalik ya swami. iska ibrani shabd hai, adhon aur adhonim.

prarthna ka sunnevala

bhajan 65:2

woh khud harek insan ki binti sunta hai, jo vishvas se usse prarthna karta hai.

mahan updeshak

yashayah 30:20, 21

woh hamare bhale ke liye hamein sikhata aur raah dikhata hai.—yashayah 48:17, 18.

mahan rachnakar

bhajan 149:2

usi ne sabkuch banaya aur vajood mein laaya hai.—prakashitvakya 4:11.

main jo hoon so hoon

nirgaman 3:14, hindi—o.v.

apna maksad poora karne ke liye use jo banna zaroori hai woh ban jaata hai. in shabdon ka anuvad is tarah bhi kiya gaya hai: “main jo hounga so hoonga” ya “main woh ban jaaunga jo main banna chahta hoon.” (hindi—common language, footnote; nayi duniya anuvad) is varnan se yahova naam ka matlab samajh aata hai jo agli aayat mein diya gaya hai.—nirgaman 3:15.

yug-yug ka raja

prakashitvakya 15:3

uski hukoomat ki na to koi shurooat hai aur na ant.

sabse mahan parmeshvar

daaniyel 7:18, 27

sabse bada raja.

sarvashaktiman

utpatti 17:1

uske paas aseem shakti hai. bible mein ibrani shabd el-shaddai, jiska anuvad “sarvashaktiman parmeshvar” kiya gaya hai, saat baar aata hai.

saare jahan ka maalik

utpatti 15:2

usi ke paas sabse zyada adhikar hai. iska ibrani shabd hai, adhonai.

srishtikarta

sabhopdeshak 12:1

usi ne sabkuch banaya aur vajood mein laaya hai.

senaon ka prabhu

romiyon 9:29

uski kaman ke neeche swargdooton ki ek vishal sena hai. is upadhi ka anuvad is tarah bhi kiya jaa sakta hai: ‘senaon ka parmeshvar yahova’ aur ‘swargik senaon ka prabhu.’—yashayah 1:9, nayi duniya anuvad; romiyon 9:29, hindi—common language.

ibrani shastra mein jagahon ke naam

bible mein di gayi kuch jagahon ke naamon mein parmeshvar ka naam shaamil hai, magar ye naam parmeshvar ke doosre naam nahin hain.

jagah ka naam

aaytein

matlab

yahova-yire

utpatti 22:13, 14

“yahova intazam karega.”

yahova-nissi

nirgaman 17:15

“yahova meri nishani ka khambha hai” ya “prabhu meri dhvaja hai.” (hindi—common language) yahova aisa parmeshvar hai ki uske log hifazat aur madad paane ke liye uske paas bhaagkar jaa sakte hain.—nirgaman 17:13-16.

yahova-shaalom

nyayiyon 6:23, 24

“yahova shaanti hai.”

yahova-shaamma

yahejkel 48:35, hindi—o.v.

“yahova vahaan hai.”

parmeshvar ka naam jaanne aur istemal karne ki vajah

  • parmeshvar ke liye apna naam yahova itni ahmiyat rakhta hai ki usne bible mein yah naam hazaron baar darz karaya hai.—malaki 1:11.

  • parmeshvar ke bete yeeshu ne baar-baar parmeshvar ke naam ki ahmiyat par zor diya tha. udahran ke liye, usne yahova se prarthna mein kaha tha, “tera naam pavitra kiya jaaye.”—matti 6:9; yuhanna 17:6.

  • parmeshvar ka naam yahova jaanna aur uska istemal karna, usse dosti karne ka pehla kadam hai. (bhajan 9:10; malaki 3:16) jab logon ki yahova se dosti ho jaati hai to woh uska yah vaada poora hote dekh sakte hain: “woh mujhse gehra lagav rakhta hai, isliye main use bachaunga. main uski raksha karoonga kyonki woh mera naam jaanta hai.” —bhajan 91:14.

  • bible yah baat maanti hai ki “swarg mein aur dharti par ishvar kehlanevale bahot hain, theek jaise bahot-se ishvar aur prabhu hain.” (1 kurinthiyon 8:5, 6) magar bible saaf-saaf yah bhi batati hai ki sirf ek sachcha parmeshvar hai jiska naam yahova hai.—bhajan 83:18.

^ para. 1 kuch ibrani vidvan parmeshvar ke naam ke liye “yaahve” istemal karna pasand karte hain.

^ para. 1 parmeshvar ke naam ka chhota roop “yaah” bible mein kareeb 50 baar aata hai. yah roop “hallilooyah” shabd mein bhi istemal hota hai jiska matlab hai, “yaah ki taareef karo.”—prakashitvakya 19:1; hindi—o.v..