yashayah 43:1-28

  • yahova logon ko dobara ikattha karega (1-7)

  • devtaon par mukadma (8-13)

    • “tum mere sakshi ho” (10, 12)

  • baibilon se rihai (14-21)

  • “hum ek-doosre se mukadma ladeinge” (22-28)

43  hey yakub, jisne teri srishti ki,hey israel, jisne tujhe racha hai,+vahi yahova ab kehta hai, “dar mat, mainne tujhe chhuda liya hai.+ mainne tera naam lekar tujhe bulaya hai, tu mera hai.   jab tu paani mein se hokar jaayega, to main tere saath rahoonga,+jab tu nadiyon mein se hokar jaayega, to woh tujhe duba na sakeingi,+ jab tu aag mein se hokar jaayega, to tu nahin jalega,uski aanch bhi tujhe nahin lagegi,   kyonki main tera parmeshvar yahova hoon,main israel ka pavitra parmeshvar aur tera uddharkarta hoon. mainne teri firauti ke liye misra, ithiyopiya aur saba diya hai.   tu meri nazron mein anmol hai,+tu aadar ke laayak thehra hai aur main tujhse pyar karta hoon.+ isliye main tere badle logon ko de doonga,teri jaan ke badle raashtron ko de doonga.   dar mat kyonki main tere saath hoon!+ main tere vansh ko poorab se le aaungaaur pashchim se tujhe ikattha karoonga.+   main uttar se kahoonga, ‘unhein chhod de!’+ dakshin se kahoonga, ‘unhein mat rok. mere beton ko door se aur meri betiyonn ko dharti ke kone-kone se le aa.+   har koi jo mere naam se jaana jaata hai,+jise mainne apni mahima ke liye sirja hai,jise mainne racha aur banaya hai,+ use le aa.’   un logon ko le aa jinki aankhein to hain, magar woh andhe hain,jinke kaan to hain, magar woh behre hain.+   sab raashtra ek jagah ikattha honaur desh-desh ke log jama hon.+ unmein* aisa kaun hai jo ye baatein bata sakta hai? ya yah suna sakta hai ki pehali baatein* kya hain?+ woh khud ko sahi saabit karne ke liye sakshiyon ko laayeki doosre sunkar kahein, ‘yah sach hai.’”+ 10  yahova ailan karta hai, “tum mere sakshi ho,+haan, mera woh sevak, jise mainne chuna hai+ki tum mujhe jaano aur mujh par vishvas* karoaur yah jaan lo ki main vahi hoon.+ mujhse pehale na koi ishvar huaaur na mere baad koi hoga.+ 11  main hi yahova hoon,+ mere alava koi uddharkarta nahin.”+ 12  yahova kehta hai, “jab tumhare beech koi paraya devta nahin tha,+tab mainne hi tumse baat ki, tumhein bachaya aur tumhein samajh di. isliye tum mere sakshi ho aur main parmeshvar hoon.+ 13  main hamesha se vaisa hi hoon.+ aisa koi nahin jo mere haath se kuch chheenkar le jaa sake.+ jab main kuch karta hoon to use kaun rok sakta hai?”+ 14  tumhara chhudanevala aur israel ka pavitra parmeshvar yahova kehta hai,+ “tumhari khaatir main unhein baibilon bhejoonga aur saare faatkon ko gira doonga+aur kasdi apne jahazon mein dukh ke maare royenge.+ 15  main yahova hoon, tumhara pavitra parmeshvar,+ israel ka srishtikarta+ aur tumhara raja.”+ 16  yahova jo samundar ke beech se raasta banata hai,ufanti lehron mein se bhi raah paayenge hai,+ 17  jo apne saath yuddh-rathon aur ghodon ko le chalta hai,+veer yoddhaon ke saath poori sena lekar aata hai, woh kehta hai, “woh aise gireinge ki fir na uth sakeinge,+unhein bujha diya jaayega jaise jalti baati bujha di jaati hai.” 18  “guzri baaton ko yaad mat karo,beeti baaton ke baare mein mat sochte raho. 19  dekho! main kuch naya kar raha hoon,+uski shurooat ho chuki hai. kya tum use dekh sakte ho? main veerane se ek raasta banaunga+aur registan se nadiyaan bahaunga.+ 20  geedad aur shuturmurg,maidan ke ye jangli jaanvar mera aadar kareinge,kyonki main apni praja, apne chune huon ke liye+veerane mein paani ka intazam karoonga,registan mein nadiyaan bahaunga,+ 21  haan, apni praja ke liye aisa karoonga,jise mainne apne liye racha hai ki woh mera gungan kare.+ 22  magar hey yakub, toone mujhe nahin pukara,+kyonki hey israel, tu mujhse oob gaya hai.+ 23  tu hom-bali chadhane ke liye bhedein nahin laaya,apne balidanon se toone meri mahima nahin ki, mainne ye tohfe laane ke liye tujhe majboor nahin kiya,na loban maang-maangkar tujhe thaka diya.+ 24  toone apne paison se mere liye khushboodar vach* nahin khareeda,na balidan mein charbi chadhakar mujhe khush kiya.+ ulta, toone apne paapon ka bojh mujh par laad diya,bure-bure kaam karke mujhe thaka diya.+ 25  main vahi hoon jo apne naam ki khaatir tere apradh* mitata hoon+aur tere paap yaad nahin rakhoonga.+ 26  agar main tera koi achha kaam bhool gaya hoon, to mujhe yaad dila,hum ek-doosre se mukadma ladeinge,tu apni safai mein jo kehna chahta hai, kehna. 27  tere pehale purkhe ne to paap kiya tha,teri taraf se bolnevalon* ne bhi mere khilaf bagavat ki.+ 28  isliye main pavitra-sthan ke haakimon ko ashuddh thehraunga,yakub ko naash hone ke liye de doongaaur israel ko ninda ki baatein sunnae ke liye saunp doonga.+

kai footnote

shaayad yah bhavishya mein honevali sabse pehali baaton ka zikra ho.
zahir hai ki yahaan jhoothe devtaon ki baat ki gayi hai.
ya “bharosa.”
ek khushboodar narkat.
ya “bagavat.”
shaayad yahaan kaanoon sikhanevalon ki baat ki gayi hai.