yashayah 2:1-22

  • yahova ka parvat uncha kiya jaayega (1-5)

    • talvaron ko hal ke faal banayenge (4)

  • yahova ka din ghamandiyon ko neecha karega (6-22)

2  aamoj ke bete yashayah ne yahooda aur yarooshalem ke baare mein yah darshan dekha:+   aakhiri dinon mein,yahova ke bhavan ka parvat,sab pahadon ke oopar buland kiya jaayega+aur sabhi pahadiyon se uncha kiya jaayega. raashtron ke log dhaara ke samaan uski or aayenge,+   desh-desh ke log aayenge aur kaheinge,“aao hum yahova ke parvat par chadhein,yakub ke parmeshvar ke bhavan ki or jaayen.+ woh hamein apne maarg sikhayegaaur hum uski raahon par chaleinge.”+ kyonki siyyon se kaanoon* diya jaayegaaur yarooshalem se yahova ka vachan.+   woh raashtron ko apne faisle sunayega,desh-desh ke logon ke maamle suljhayega. woh apni talvarein peetkar hal ke faalaur apne bhaalon ko hansiya banayenge.+ ek desh doosre desh par fir talvar nahin chalayegaaur na log fir kabhi yuddh karna seekheinge.+   hey yakub ke gharane,aa, hum yahova ki raushni mein chalein.+   hey parmeshvar, toone apne logon ko, yakub ke gharane ko tyag diya hai,+kyonki unhonne poorab desh ki kai baatein apna li hain,woh palishtiyon ki tarah jaadoo-tona karne lage hain+aur unka desh pardesiyon* se bhar gaya hai.   unke paas dher saara sona-chaandi hai,unhein daulat ki koi kami nahin. unke desh mein dher saare ghode hain,unhein rathon ki koi kami nahin.+   unka desh nikammi moorton se bhara pada hai,+ woh apne hi haath ki kaareegari ke aage jhukte hainhaan, un moorton ke aage jinhein unki ungliyon ne dhaala hai.   is tarah woh khud ko neecha karte hain, apni beizzati karate hain,tu unhein maaf mat karna! 10  jab yahova poore vaibhav ke saath aayega+aur apna khauf failayega,to chattanon mein chale jaana, khud ko dhool mein chhipa lena. 11  tab ghamand se chadhi aankhein neechi ki jaayengi,insan ka guroor tod diya jaayega, us din sirf yahova ko uncha kiya jaayega, 12  kyonki woh senaon ke parmeshvar yahova ka din hoga.+ woh din ghamandiyon aur ahankariyon par,rutbedar aur maamooli insanon par, sab logon par aa padega.+ 13  labanon ke unche-unche devdaron paraur baashaan ke baanj ke pedon par, 14  aasman chhoote pahadon paraur unchi-unchi pahadiyon par, 15  badi-badi meenaron aur mazboot sheharpanahon par, 16  tarsheesh ke sabhi jahazon par+aur sundar-sundar naav par woh din aa padega. 17  tab insan ki saari hekdi khatm ho jaayegi,uska ghamand choor-choor kar diya jaayega, us din sirf yahova ko uncha kiya jaayega. 18  nikamme devtaon ka naamo-nishan mita diya jaayega.+ 19  jab yahova poore vaibhav ke saath aayegaaur apna khauf failayega,jab woh dharti ko aatank se kanpkanpaayega,tab log gufaon aur chattanon mein chale jaayenge,gaddhe khodkar usmein ghus jaayenge.+ 20  us din log apne sone-chaandi ki nikammi moorton ko,jo unhonne dandvat karne ke liye banayi thi,chhachhoondron aur chamgadadon ke aage feink deinge+ 21  aur chhipne ke liye chattanon ki khohaur dararon mein ghus jaayenge,kyonki yahova poore vaibhav ke saath aayegaaur apna khauf failayega,woh dharti ko aatank se kanpkanpaayega. 22  isliye bhalai isi mein hai ki adna insan par bharosa rakhna band karo,jo bas nathnon ki saans hai. insan hai hi kya jo us par dhyan diya jaaye?

kai footnote

ya “shiksha.”
shaa., “pardesiyon ke bachchon.”