utpatti 17:1-27

  • abraham jaatiyon ka pita banega (1-8)

    • abram ko abraham naam diya gaya (5)

  • khatne ka karar (9-14)

  • saarai ko saara naam diya gaya (15-17)

  • bete ishaak ke janm ka vaada (18-27)

17  jab abram 99 saal ka tha, tab yahova ne uske saamne prakat hokar kaha, “main sarvashaktiman parmeshvar hoon. tu mere saamne sahi raah par chalta reh aur apna chaalchalan nirdosh banaye rakh.  mainne tere saath jo karar kiya tha use pakka karoonga+ aur tere vanshajon ki ginti bahot-bahot badhaunga.”+  is par abram munh ke bal gira aur parmeshvar ne usse yah bhi kaha,  “dekh, mainne tere saath ek karar kiya hai,+ isliye tu beshak bahot-si jaatiyon ka pita banega.+  ab se tera naam abram* nahin balki abraham* hoga, kyonki main tujhe bahot-si jaatiyon ka pita banaunga.  main tere vanshajon ki ginti itni badhaunga ki unse kai jaatiyaan baneingi aur tere vansh se raja paida honge.+  main apna yah karar nibhaunga jo mainne tujhse aur tere baad peedhi-peedhi tak tere vansh* se kiya hai.+ yah sada ka karar hai ki main tera aur tere baad tere vansh* ka parmeshvar hounga.  aaj tu is kanaan desh mein ek pardesi ki tarah reh raha hai, magar ek din main yah saara desh tujhe aur tere baad tere vansh* ko hamesha ke liye de doonga+ taaki yah unki jaageer ho. aur main unka parmeshvar hounga.”+  parmeshvar ne abraham se yah bhi kaha, “tujhe aur tere baad tere vansh ko peedhi-peedhi tak mera karar maanna hoga. 10  yah karar tujhe aur tere baad tere vansh* ko is tarah maanna hoga: tummein se har aadmi aur ladke ka khatna kiya jaaye.+ 11  tumhein apna khatna karvana hoga, kyonki khatna mere aur tumhare beech huye karar ki nishani thehrega.+ 12  tumhare gharane mein paida honevale har ladke ka khatna janm ke aathvein din kiya jaaye.+ aur un aadmiyon aur ladkon ka bhi khatna kiya jaaye jo tumhare vansh* ke nahin hain, magar kisi pardesi se khareede gaye hain. khatne ka yah niyam tumhein peedhi-dar-peedhi maanna hoga. 13  tumhare yahaan paida huye har aadmi ka aur un sabhi aadmiyon ka bhi, jinhein tumne khareeda ho, khatna kiya jaaye.+ tumhare shareer par yah nishani is baat ka saboot hogi ki mainne tumhare saath sada tak kaayam rehnevala karar kiya hai. 14  jo ladka ya aadmi khatna nahin karvata woh mera karar todta hai. use uske logon ke beech se kaat daala jaaye.”* 15  fir parmeshvar ne abraham se kaha, “tu apni patni ko saarai*+ na bulana kyonki ab se uska naam saara* hoga. 16  main use aasheesh doonga aur usse tujhe ek beta hoga.+ meri aasheesh saara par hogi aur usse bahot-si jaatiyaan nikleingi aur deshon ke raja paida honge.” 17  tab abraham ne munh ke bal girkar parmeshvar ko dandvat kiya aur woh man-hi-man yah kehkar hansne laga,+ “kya yah mumkin hai ki 100 saal ke is boodhe ka bachcha hoga aur saara 90 ki hokar bhi maa banegi!”+ 18  isliye abraham ne sachche parmeshvar se kaha, “main tujhse binti karta hoon ki ishmael par teri aasheesh ho!”+ 19  tab parmeshvar ne usse kaha, “teri patni saara beshak tujhe ek beta degi aur tu uska naam ishaak*+ rakhna. main uske saath aur uske baad uske vansh* ke saath sada ka karar karoonga.+ 20  rahi baat ishmael ki, uske baare mein mainne teri binti suni hai. main use aasheesh doonga. woh bahot foolega-falega aur uski bahot-si santan hongi. usse 12 pradhan nikleinge aur main use ek bada raashtra banaunga.+ 21  lekin main apna karar sirf ishaak ke saath karoonga,+ jise saara agle saal isi samay janm degi.”+ 22  yah kehne ke baad parmeshvar abraham ke paas se chala gaya. 23  fir abraham ne usi din apne bete ishmael ka aur apne gharane mein paida huye sabhi aadmiyon aur khareede gaye sabhi daason ka khatna kiya. usne apne gharane ke sabhi ladkon aur aadmiyon ka khatna kiya, theek jaise parmeshvar ne usse kaha tha.+ 24  jab abraham ka khatna hua+ tab woh 99 saal ka tha. 25  uska beta ishmael apne khatne ke vakt 13 saal ka tha.+ 26  usi din abraham ka khatna kiya gaya tha aur uske bete ishmael ka bhi khatna kiya gaya. 27  abraham ke saath-saath uske gharane ke un sabhi ladkon aur aadmiyon ka khatna kiya gaya jo uske ghar mein paida huye the ya kisi pardesi se khareede gaye the.

kai footnote

matlab “pita mahan (ya uncha kiya gaya) hai.”
matlab “bheed ka pita; bahoton ka pita.”
shaa., “beej.”
shaa., “beej.”
shaa., “beej.”
shaa., “beej.”
shaa., “beej.”
ya “maar daala jaaye.”
shaayad iska matlab hai, “jhagdaloo.”
matlab “raaj-gharane ki aurat.”
shaa., “beej.”
matlab “hansi.”