yuhanna ko diya gaya prakashitvakya 4:1-11

  • swarg mein maujood yahova ka darshan (1-11)

    • woh raajgaddi par baitha hai (2)

    • 24 pracheen raajgaddiyon par baithe hain (4)

    • chaar jeevit prani (6)

4  iske baad dekho mainne kya dekha, swarg mein ek khula darvaza hai aur jo aavaz mainne pehale suni thi woh ek turhi jaisi aavaz thi aur us aavaz ne mujhse kaha, “yahaan oopar aa jaa, main tujhe woh baatein dikhaunga jinka hona tay hai.”  iske baad pavitra shakti fauran mujh par utri aur mainne swarg mein ek raajgaddi dekhi aur us par koi baitha hua tha.+  aur jo baitha tha uska roop yashab aur maanikya* jaisa tha+ aur uski raajgaddi ke chaaron taraf ek megh-dhanush tha jo dikhne mein panne jaisa tha.+  us raajgaddi ke chaaron taraf 24 raajgaddiyaan thi aur un raajgaddiyon par mainne 24 pracheen baithe dekhe,+ jo safed poshak pehne huye the aur unke sir par sone ke taaj the.  us raajgaddi se bijliyaan kaundh rahi thi+ aur gadgadahat aur garjan ki aavaz nikaal rahi thi.+ aur raajgaddi ke saamne aag ke saat bade deeye the jinse laptein uth rahi thi. inka matlab parmeshvar ki saat pavitra shaktiyaan hain.+  aur raajgaddi ke saamne kaanch jaisa samundar tha+ jo billaur jaisa aar-paar dikhnevala tha. raajgaddi ke beech* aur uske chaaron taraf chaar jeevit prani the+ jinke aage-peechhe aankhein-hi-aankhein thi.  pehala jeevit prani dikhne mein sher jaisa tha,+ doosra jeevit prani bail jaisa tha,+ teesre jeevit prani+ ka chehra insan ke chehre jaisa tha aur chautha jeevit prani+ ek udte ukab jaisa tha.+  in chaar jeevit praniyon mein se harek ke chhe-chhe pankh the. inke chaaron taraf aur andar ki taraf aankhein-hi-aankhein thi.+ aur woh bina ruke raat-din kehte hain, “sarvashaktiman parmeshvar yahova* pavitra , pavitra , pavitra hai!+ woh parmeshvar, jo tha, jo hai aur jo aa raha hai.”+  jab-jab ye jeevit prani raajgaddi par baithe parmeshvar ki, jo sada tak jeevit rehta hai,+ mahima karte hain aur use aadar aur dhanyavad dete hain, 10  tab-tab ye 24 pracheen+ raajgaddi par baithe parmeshvar ke saamne girkar uski upasna karte hain jo sada tak jeevit rehta hai aur apne taaj nikaalkar uski raajgaddi ke saamne rakhte hain aur kehte hain, 11  “hey yahova,* hamare parmeshvar, tu mahima,+ aadar+ aur shakti+ paane ke yogya hai kyonki tu hi ne saari cheezen rachi hain+ aur teri hi marzee se ye vajood mein aayin aur rachi gayin.”

kai footnote

ya “laal rang ka ek keemti ratna.”
ya “raajgaddi ke saath beech mein.”
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.