yuhanna ke mutabik khushkhabri 14:1-31

  • sirf yeeshu hi pita ke paas jaane ki raah (1-14)

    • “main hi woh raah, sachchai aur jeevan hoon” (6)

  • yeeshu vaada karta hai ki pavitra shakti aayegi (15-31)

    • “pita mujhse bada hai” (28)

14  “tumhare dil dukh se behal na hon.+ parmeshvar par vishvas karo+ aur mujh par bhi vishvas karo.  mere pita ke ghar mein rehne ki bahot-si jagah hain. agar nahin hotin, to main tumse yah baat nahin kehta. magar ab main tumhare liye jagah taiyar karne jaa raha hoon.+  aur jab main jaakaar tumhare liye jagah taiyar karoonga, to main dobara aaunga aur tumhein apne ghar le jaaunga taaki jahaan main hoon vahaan tum bhi raho.+  jahaan main jaa raha hoon, tum vahaan ki raah jaante ho.”  thoma+ ne usse kaha, “prabhu, hum nahin jaante ki tu kahaan jaa raha hai. to fir hum vahaan ki raah kaise jaanein?”  yeeshu ne usse kaha, “main hi woh raah,+ sachchai+ aur jeevan hoon.+ koi bhi pita ke paas nahin aa sakta, siva uske jo mere zariye aata hai.+  agar tumne mujhe sachmuch jaana hota, to tum mere pita ko bhi jaante. is ghadi se tum use jaanoge, sach to yah hai ki tumne use dekha hai.”+  filippus ne usse kaha, “prabhu, hamein pita dikha de, yahi hamare liye kaafi hai.”  yeeshu ne usse kaha, “filippus, main itne samay se tum logon ke saath hoon aur fir bhi tu mujhe nahin jaan paaya? jisne mujhe dekha hai usne pita ko bhi dekha hai.+ to fir tu kyon kehta hai, ‘hamein pita dikha de’? 10  kya tu yakeen nahin karta ki main pita ke saath ekta mein hoon aur pita mere saath ekta mein hai?+ main jo baatein tumse kehta hoon woh apni taraf se nahin kehta,+ balki pita jo mere saath ekta mein hai, vahi mere zariye apne kaam kar raha hai. 11  mera yakeen karo ki main pita ke saath ekta mein hoon aur pita mere saath ekta mein hai. nahin to, jo kaam mainne kiye hain unhin ki vajah se mera yakeen karo.+ 12  main tumse sach-sach kehta hoon, jo mujh par vishvas karta hai, woh bhi woh kaam karega jo main karta hoon balki inse bhi bade-bade kaam karega+ kyonki main pita ke paas jaa raha hoon.+ 13  saath hi, jo kuch tum mere naam se maangoge, woh main karoonga taaki bete ke zariye pita mahima paaye.+ 14  agar tum mere naam se kuch maangoge, to main woh karoonga. 15  agar tum mujhse pyar karte ho, to meri aagyaon ko maanoge.+ 16  main pita se binti karoonga aur woh tumhein ek aur madadgar* dega jo hamesha tumhare saath rahega+ 17  yaani sachchai ki pavitra shakti,+ jo duniya ko nahin mil sakti kyonki duniya na to ise dekhti hai na hi ise jaanti hai.+ tum ise jaante ho kyonki yah tumhare saath rehti hai aur tummein hai. 18  main tumhein maatam ki haalaat mein* nahin chhodoonga. main tumhare paas fir aa raha hoon.+ 19  thodi der aur hai, fir duniya mujhe kabhi nahin dekhegi magar tum mujhe dekhoge+ kyonki main jeevit hoon aur tum bhi jeeyoge. 20  us din tum jaanoge ki main apne pita ke saath ekta mein hoon aur tum mere saath ekta mein ho aur main tumhare saath ekta mein hoon.+ 21  jiske paas meri aagyayen hain aur jo unhein maanta hai, vahi mujhse pyar karta hai. jo mujhse pyar karta hai usse mera pita pyar karega aur main bhi usse pyar karoonga aur apne aapko us par khulkar zahir karoonga.” 22  yahooda+ (iskariyoti nahin) ne usse kaha, “prabhu, kya vajah hai ki tu apne aapko hum par to khulkar zahir karna chahta hai magar duniya par nahin?” 23  yeeshu ne javab diya, “agar koi mujhse pyar karta hai, to woh mere vachan par chalega+ aur mera pita usse pyar karega. hum uske paas aayenge aur uske saath nivas kareinge.+ 24  jo mujhse pyar nahin karta woh mere vachnon par nahin chalta. jo vachan tum sun rahe ho woh mera nahin, balki pita ka hai jisne mujhe bheja hai.+ 25  tumhare saath rehte huye mainne ye baatein tumhein batayi hain. 26  magar woh madadgar yaani pavitra shakti jise pita mere naam se bhejega, tumhein saari baatein sikhayega aur jitni baatein mainne tumhein batayi hain woh sab tumhein yaad dilayega.+ 27  jo shaanti main deta hoon+ woh main tumhare paas chhodkar jaa raha hoon. main tumhein yah shaanti is tareeke se nahin deta jaise duniya deti hai. tumhare dil dukh se behal na hon, na hi woh dar ke maare kamzor padein. 28  tumne mujhe yah kehte suna hai ki main jaa raha hoon aur main tumhare paas vaapas aaunga. agar tum mujhse pyar karte, to is baat par khushi manate ki main pita ke paas jaa raha hoon kyonki pita mujhse bada hai.+ 29  aur aisa hone se pehale main abhi se tumhein bata raha hoon taaki jab aisa ho to tum yakeen kar sako.+ 30  main ab tumse aur zyada baat nahin karoonga kyonki is duniya ka raja + aa raha hai aur mujh par uska koi zor nahin chalta.*+ 31  magar duniya jaan sake ki main pita se pyar karta hoon isliye main theek vaisa hi karta hoon jaisa pita ne mujhe aagya di hai.+ ab utho, hum yahaan se chalein.

kai footnote

ya “dilasa denevala.”
ya “anathon ki tarah.”
ya “use mujh par adhikar nahin.”