preshiton ke kaam 7:1-60

  • mahasabha ke saamne stifanus ka bhashan (1-53)

    • kulpitaon ka daur (2-16)

    • moosa ek aguva; israel ne moortipooja ki (17-43)

    • parmeshvar insan ke banaye mandiron mein nahin rehta (44-50)

  • stifanus ko pattharon se maar daala gaya (54-60)

7  fir mahayajak ne usse poochha, “kya ye baatein sach hain?”  stifanus ne javab diya, “bhaaiyo aur pita samaan buzurgo, suno. hamara purkha abraham, haaran mein basne se pehale jab mesopotamiya mein rehta tha,+ tab mahima se bharpoor parmeshvar ne use darshan diya  aur usse kaha, ‘tu apne desh aur naate-rishtedaron ko chhodkar ek aise desh mein jaa jo main tujhe dikhaunga.’+  tab abraham kasdiyon ke us desh se nikalakar haaran mein rehne laga. fir uske pita ki maut ke baad,+ parmeshvar ne use vahaan se nikaalkar is desh mein basaya, jahaan ab tum rehte ho.+  magar fir bhi parmeshvar ne us vakt abraham ko is desh mein koi zameen nahin di, pair rakhne tak ki jagah bhi nahin di. magar parmeshvar ne usse vaada kiya ki woh yah desh use aur uske baad uske vanshajon ko virasat mein dega,+ jabki us vakt tak abraham ki koi aulad nahin thi.  aur parmeshvar ne yah bhi kaha ki abraham ka vansh paraye desh mein pardesi bankar rahega aur vahaan ke log usse gulami karvaenge aur 400 saal tak use satate raheinge.*+  fir parmeshvar ne kaha, ‘jis desh ki woh gulami kareinge use main saza doonga+ aur yah sab hone ke baad woh vahaan se nikaal aayenge aur is jagah meri pavitra seva kareinge.’+  parmeshvar ne abraham ke saath khatne ka karar bhi kiya.+ fir abraham, ishaak ka pita bana+ aur aathvein din uska khatna kiya.+ aur ishaak se yakub paida hua* aur yakub ke 12 bete huye jo apne gharane ke mukhiya* bane.  woh apne bhaai yoosuf se jalne lage+ aur unhonne use misriyon ko bech diya.+ magar parmeshvar yoosuf ke saath tha.+ 10  parmeshvar ne use saari museebaton se chhudaya aur is kaabil banaya ki usne firaun ka dil jeet liya aur woh uske saamne buddhiman thehra. aur firaun ne use misra aur apne poore gharane ka adhikari banaya.+ 11  magar fir poore misra aur kanaan desh par ek badi museebat toot padi, vahaan akaal pada aur hamare purkhon ko kahin bhi khaane ki cheezen nahin mil paa rahi thi.+ 12  magar jab yakub ne suna ki misra mein khaane-peene ki cheezen* hain, to usne apne beton yaani hamare purkhon ko pehali baar vahaan bheja.+ 13  aur jab woh doosri baar vahaan gaye, tab yoosuf ne apne bhaaiyon ko bataya ki woh kaun hai aur firaun ko uske parivar ke baare mein maaloom hua.+ 14  tab yoosuf ne apne pita yakub ko aur apne gharane ke sabhi logon ko kanaan se bulva liya,+ jo kul milakar 75 log the.+ 15  tab yakub misra mein aakaar rehne laga.+ aur vahin uski maut hui+ aur hamare purkhon ki bhi maut hui+ 16  aur unki haddiyaan shekem laayi gayin aur us kabraa mein rakhi gayin jise abraham ne chaandi dekar shekem mein hamor ke beton se khareeda tha.+ 17  aur parmeshvar ne abraham se jo vaada kiya tha, jaise-jaise uske poora hone ka vakt paas aa raha tha, vaise-vaise abraham ke vanshaj misra mein badhte gaye aur unki ginti bahot ho gayi. 18  fir misra mein doosra raja hua, jo yoosuf ko nahin jaanta tha.+ 19  usne hamari jaati ke khilaf ek chaal chali aur hamare purkhon ko majboor kiya ki woh apne bachchon ko paida hote hi marne ke liye chhod dein.+ 20  us dauran moosa paida hua aur woh bahot sundar* tha. teen maheene tak to uske maata-pita ne use ghar mein paala-posa.*+ 21  magar jab use chhod diya gaya,+ to firaun ki beti ne use utha liya aur apne bete ki tarah uski paravarish ki.+ 22  aur moosa ko misriyon ki har tarah ki shiksha di gayi. yahi nahin, woh damdar tareeke se bolta tha aur bade-bade kaam karta tha.+ 23  jab woh 40 saal ka hua, to uske dil mein yah baat aayi* ki woh jaakaar apne bhaaiyon ko yaani doosre israeliyon ko dekh aaye.*+ 24  jab usne dekha ki ek misri ek israeli ke saath anyay kar raha hai, to usne jaakaar use bachaya aur misri ko maarkar us israeli ki taraf se badla liya. 25  usne socha ki israeli yah samajh jaayenge ki parmeshvar uske zariye unhein chhuda raha hai, magar unhonne aisa nahin samjha. 26  agle din jab do israeli aapas mein jhagad rahe the, to woh unke saamne gaya aur usne unke beech sulah karvane ke liye kaha, ‘tum to bhaai-bhaai ho. fir kyon ek-doosre ke saath bura salook kar rahe ho?’ 27  magar jo apne saathi israeli ke saath bura salook kar raha tha, usne moosa ko dhakka diya aur kaha, ‘tujhe kisne hamara adhikari aur nyayi thehraya hai? 28  kya tu mujhe bhi maar daalna chahta hai, jaise toone kal us misri ko maar daala tha?’ 29  yah sunkar moosa vahaan se bhaag gaya aur midyan desh mein pardesi ki tarah rehne laga. vahaan uske do bete paida huye.+ 30  fir 40 saal baad, jab moosa seenai pahad ke paas veerane mein tha, to ek swargdoot uske saamne ek jalti hui kanteeli jhaadi ki lapton mein prakat hua.+ 31  jab moosa ne yah dekha, to woh dang reh gaya. jab woh use dekhne ke liye paas jaa raha tha to use yahova* ki yah aavaz sunayi di, 32  ‘main tere purkhon ka parmeshvar hoon, abraham ka parmeshvar, ishaak ka parmeshvar aur yakub ka parmeshvar.’+ yah sunkar moosa kaanpne laga aur usne aur aage jaakaar dekhne ki himmat nahin ki. 33  yahova* ne usse kaha, ‘tu apne paanvon ki jootiyaan utar de kyonki jis zameen par tu khada hai woh pavitra hai. 34  beshak mainne dekha hai ki misra mein mere logon par kitne zulm kiye jaa rahe hain aur mainne unka karahna suna hai.+ main unhein chhudane ke liye neeche aaya hoon. ab aa, main tujhe misra bhejoonga.’ 35  jis moosa ko unhonne yah kehkar thukra diya tha, ‘tujhe kisne hamara adhikari aur nyayi thehraya hai?’+ usi ko parmeshvar ne adhikari aur chhudanevala thehrakar us swargdoot ke zariye bheja,+ jo kanteeli jhaadi mein use dikhayi diya tha. 36  isi moosa ne unhein misra aur laal saagar+ mein chamatkar aur aashcharya ke kaam dikhaye+ aur unhein vahaan se nikaal laaya.+ usne 40 saal veerane mein bhi aise aashcharya ke kaam kiye.+ 37  yah vahi moosa hai jisne israeliyon se kaha tha, ‘parmeshvar tumhare bhaaiyon ke beech mein se tumhare liye mere jaisa ek bhavishyavakta khada karega.’+ 38  yah vahi moosa hai jo veerane mein israel ki mandli ke beech tha aur us swargdoot ke saath tha,+ jisne seenai pahad par usse baat ki thi.+ moosa ne hi hamare purkhon se baat ki thi aur jeevit aur pavitra vachan paaye the taaki hum tak pahunchaye.+ 39  hamare purkhon ne uski baat maanne se inkar kar diya aur use thukra diya+ aur woh man-hi-man misra lautne ke sapne dekhne lage.+ 40  aur unhonne haaroon se kaha, ‘pata nahin us moosa ka kya hua, jo hamein misra se nikaalkar yahaan le aaya tha. isliye ab hamare liye devta bana ki woh hamari aguvai karein.’+ 41  fir unhonne bachhde ki ek moorat banayi aur us moorat ke aage bali chadhayi aur apne haathon se banayi us moorat ke saamne mauj-masti karne lage.+ 42  isliye parmeshvar ne unse munh fer liya aur unhein aakash ki sena ko poojne ke liye chhod diya,+ theek jaisa bhavishyavaktaon ki kitab mein likha hai, ‘hey israel ke gharane, veerane mein un 40 saalon ke dauran kya toone balidan aur chadhave mujhe hi diye the? 43  nahin, balki tum molok ke tamboo+ aur rifan devta ke taare ki moorat liye firte rahe, jinhein tumne isliye banaya tha ki tum unki pooja karo. isliye main tumhein desh se nikaalkar baibilon ke us paar bhej doonga.’+ 44  hamare purkhon ke paas veerane mein gavahi ka tamboo tha, jiske baare mein parmeshvar ne moosa ko aadesh diye the ki use jo namoona dikhaya gaya hai, usi ke mutabik woh tamboo banaye.+ 45  yah hamare purkhon ko diya gaya aur woh ise yahoshoo ke saath is desh mein le aaye, jis par doosri jaatiyon ka kabza tha+ aur jinhein parmeshvar ne hamare purkhon ke saamne se khaded diya tha.+ gavahi ka yah tamboo daavid ke dinon tak yahin raha. 46  daavid par parmeshvar ki kripa thi aur usne binti ki ki use yakub ke parmeshvar ke nivas ke liye ek bhavan banane ka mauka diya jaaye.+ 47  magar usne nahin balki sulaiman ne yah bhavan banaya.+ 48  fir bhi, param-pradhan parmeshvar haath ke banaye bhavnon mein nahin rehta,+ theek jaise ek bhavishyavakta ne bataya tha, 49  ‘yahova* kehta hai, swarg meri raajgaddi hai+ aur prithvi mere paanvon ki chauki.+ to fir tum mere liye kaisa bhavan banaoge? mere rehne ke liye kahaan jagah banaoge? 50  kya mere hi haathon ne in sab cheezon ko nahin racha?’+ 51  are dheeth logo, tumne apne kaan aur apne dil ke darvaze band kar rakhe hain. tum hamesha se pavitra shakti ka virodh karte aaye ho. tum vahi karte ho jo tumhare baap-daada karte the.+ 52  aisa kaun-saa bhavishyavakta hua hai jis par tumhare purkhon ne zulm nahin dhaaye?+ haan, unhonne un logon ko maar daala jinhonne pehale se us nek jan ke aane ka ailan kiya tha.+ aur ab tumne bhi uske saath vishvasghat kiya aur uska khoon kar diya.+ 53  haan tumne hi aisa kiya. tumhein swargdooton ke zariye pahunchaya gaya kaanoon mila,+ magar tum us par nahin chale.” 54  jab unhonne ye baatein sunin, to woh tilmila uthe aur us par daant peesne lage. 55  magar usne pavitra shakti se bharkar swarg ki taraf ektak dekha aur use parmeshvar ki mahima dikhayi di aur usne yeeshu ko parmeshvar ke daayen haath khade dekha+ 56  aur kaha, “dekho! main swarg ko khula hua aur insan ke bete+ ko parmeshvar ke daayen haath+ khada dekh raha hoon.” 57  yah sunte hi woh cheekh uthe aur haathon se apne kaan band kar liye aur sab milkar us par lapak pade. 58  aur use khadedkar shehar ke baahar le gaye aur pattharon se maarne lage.+ stifanus ke khilaf jhoothi gavahi denevalon+ ne apne choge utaarkar shaaool naam ke ek naujavan ke paanvon ke paas rakh diye.+ 59  jab woh stifanus ko patthar maar rahe the, to usne yah prarthna ki, “hey prabhu yeeshu, main apni jaan* tere havale karta hoon.” 60  fir usne ghutne tekkar badi zor se pukara, “yahova,* yah paap inke sir mat lagana.”+ yah kehne ke baad woh maut ki nind so gaya.

kai footnote

ya “bura salook kareinge.”
ya “kulpita.”
ya shaayad, “usi tarah yakub ka khatna kiya.”
ya “anaj.”
ya “parmeshvar ki nazar mein sundar.”
ya “doodh pilaya.”
ya “usne faisla kiya.”
ya “ka haal dekh aaye.”
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.
shabdavli mein “ruakh; nafma” dekhein.
ati. ka5 dekhein.