preshiton ke kaam 24:1-27

  • paulus par ilzam (1-9)

  • feliks ke saamne paulus safai deta hai (10-21)

  • paulus ka mukadma do saal tak taal diya gaya (22-27)

24  paanch din baad mahayajak hananyah+ kuch mukhiyaon aur tirtullus naam ke kisi vakeel ke saath vahaan aaya aur unhonne raajyapal+ ke saamne paulus ke khilaf mukadma pesh kiya.  jab tirtullus ko bolne ke liye kaha gaya, to usne yah kehkar paulus par ilzam lagana shuroo kiya, “hey mahapratapi feliks, teri badaulat hum bade aman-chain se hain aur teri achhi-achhi yojnaon se is jaati mein kaafi sudhaar ho rahe hain.  inka faayda hamein har vakt aur har jagah ho raha hai aur iske liye hum tere bahot ehsanmand hain.  magar main tujhe aur takaleef nahin dena chahta, isliye main tujhse minnat karta hoon ki tu meharbani karke kuch der ke liye hamari sun le.  hamne paaya hai ki yah aadmi fasad ki jad* hai+ aur poori duniya mein yahoodiyon ko bagavat karne ke liye bhadkata hai+ aur naasriyon ke gut ka ek mukhiya hai.+  isne mandir ko apavitra karne ki bhi koshish ki isliye hamne ise pakad liya.+ 7 *  hum is par jo-jo ilzam laga rahe hain, unke baare mein agar tu khud isse poochhtachh kare to tujhe pata chal jaayega ki ye baatein sach hain.”  tab yahoodi bhi paulus ke khilaf bolne lage aur daave ke saath kehne lage ki ye baatein sahi hain. 10  jab raajyapal ne sir hilakar paulus ko bolne ka ishara kiya, to usne kaha, “mujhe tere saamne apni safai pesh karne mein badi khushi ho rahi hai, kyonki main jaanta hoon ki tu kai saalon se is jaati ka nyayi hai.+ 11  main jo kah raha hoon uski sachchai tu khud pata kar sakta hai. mujhe upasna ke liye yarooshalem gaye 12 din se zyada nahin huye+ 12  aur aisa kabhi nahin hua ki yahoodiyon ne mujhe mandir mein kisi se behas karte paaya ho, ya fir sabha-gharon ya shehar mein kahin bheed ko jama karte huye paaya ho. 13  na hi ye un baaton ke sach hone ka saboot de sakte hain jinka ye mujh par abhi ilzam laga rahe hain. 14  magar main tere saamne sweekar karta hoon ki jis raah ko ye ek gut kehte hain, usi ko maante huye main apne purkhon ke parmeshvar ki pavitra seva kar raha hoon.+ kyonki main kaanoon aur bhavishyavaktaon ki likhi saari baaton par vishvas karta hoon.+ 15  aur main bhi in logon ki tarah parmeshvar se yah aasha rakhta hoon ki achhe aur bure,+ donon tarah ke logon ko mare huon mein se zinda kiya jaayega.+ 16  isliye main hamesha koshish karta hoon ki parmeshvar aur insanon ki nazar mein koi apradh na karoon taaki mera zameer saaf* rahe.+ 17  kai saalon baad main apne logon ke liye daan lekar aaya tha+ aur parmeshvar ko chadhave arpit karne aaya tha. 18  jab main ye kaam kar raha tha, to unhonne mujhe mandir mein moosa ke kaanoon ke mutabik shuddh paaya.+ magar vahaan na to mere saath koi bheed thi, na hi main koi danga kar raha tha. vahaan asia praant ke kuch yahoodi bhi maujood the. 19  agar unhein mere khilaf kuch kehna tha to unhein yahaan hona chahiye tha aur tere saamne mujh par ilzam lagana tha.+ 20  ya fir yahaan maujood ye log batayen ki jab main mahasabha ke saamne khada tha to inhonne mujhmein kya dosh paaya. 21  woh mujh par sirf ek baat ka dosh laga sakte hain, jo mainne inke beech khade hokar buland aavaz mein kahi thi, ‘mare huon ke zinda hone ki baat ko lekar aaj tumhare saamne mujh par mukadma chalaya jaa raha hai!’”+ 22  feliks ‘prabhu ki raah’+ ke baare mein achhi tarah jaanta tha ki sach kya hai, fir bhi usne yah kehkar maamla taal diya, “jab senapati loosiyas yahaan aayega tab main tumhare is maamle ka faisla karoonga.” 23  fir usne sena-afsar ko hukm diya ki is aadmi ko hirasat mein rakha jaaye magar thodi aazadi di jaaye aur uske logon ko uski seva karne se na roka jaaye. 24  kuch din baad jab feliks apni patni drusilla ko, jo ek yahoodi thi, saath lekar aaya to usne paulus ko bulvaya. aur jab paulus ne usse maseeh yeeshu mein vishvas karne ke baare mein bataya to usne suna.+ 25  lekin jab paulus neki, sanyam aur aanevale nyay ke baare mein baat karne laga,+ to feliks ghabra utha aur usne kaha, “filhal tu jaa. fir kabhi mauka mila to main tujhe bula loonga.” 26  par saath hi woh paulus se rishvat paane ki bhi ummeed kar raha tha. isliye woh use baar-baar bulakar usse baatcheet kiya karta tha. 27  is tarah do saal beet gaye aur feliks ki jagah purkiyus festus ne le li. feliks yahoodiyon ko khush karna chahta tha,+ isliye woh paulus ko kaid mein hi chhod gaya.

kai footnote

shaa., “mahamari.”
ati. ka3 dekhein.
ya “nirdosh.”