preshiton ke kaam 11:1-30

  • patras, preshiton ke paas khabar laata hai (1-18)

  • baranbas aur shaaool seeriya ke antakiya mein (19-26)

    • chele pehali baar maseehi kehlaye (26)

  • agbus akaal ki bhavishyavani karta hai (27-30)

11  yah baat preshiton aur un bhaaiyon ne suni, jo yahoodiya mein the ki gair-yahoodiyon ne bhi parmeshvar ka vachan sweekar kiya hai.  isliye jab patras yarooshalem aaya, to khatne ka samarthan karnevale+ use bura-bhala kehne* lage,  “tu aise logon ke ghar gaya tha jinka khatna nahin hua aur toone unke saath khaana bhi khaaya.”  tab patras unhein shuroo se lekar saari baat samjhane laga ki kya-kya hua tha:  “jab main yaafa shehar mein prarthna kar raha tha, to mujh par besudhi chhaa gayi aur mainne ek darshan dekha. mainne dekha ki ek badi chaadar jaisa kuch* aakash se neeche aa raha hai. use chaaron konon se pakadkar dharti par utra jaa raha tha aur woh bilkul mere paas aa gaya.+  fir mainne gaur kiya ki usmein dharti par paaye jaanevale har kism ke jaanvar,* jangli jaanvar, reinganevale jeev-jantu aur aakash ke pakshi the.  mujhe ek aavaz bhi sunayi di jo kah rahi thi, ‘patras uth, inhein kaatkar khaa!’  magar mainne kaha, ‘nahin prabhu, nahin! mainne kabhi koi dooshit aur ashuddh cheez apne munh mein nahin daali.’  fir doosri baar aakash se usi aavaz ne mujhse kaha, ‘tu ab se un cheezon ko dooshit mat kehna jinhein parmeshvar ne shuddh kiya hai.’ 10  aisa hi teesri baar hua aur fir sabkuch vaapas aakash mein utha liya gaya. 11  usi ghadi, teen aadmi us ghar ke saamne aa khade huye jahaan hum thahre huye the. unhein kaisariya se mere paas bheja gaya tha.+ 12  pavitra shakti ne mujhe bataya ki main bejhijhak unke saath chala jaaun. aur ye chh: bhaai bhi mere saath chal pade aur hum us aadmi ke ghar gaye. 13  usne hamein bataya ki usne ek swargdoot ko apne ghar mein khade dekha jisne usse kaha, ‘yaafa mein aadmi bhejkar shamaun ko, jo patras bhi kehlata hai, bulva le.+ 14  woh tujhe woh baatein batayega jinse tu aur tera saara gharana uddhaar paa sakta hai.’ 15  magar jab mainne bolna shuroo kiya, to un par pavitra shakti utri, theek jaise shurooat mein hum par utri thi.+ 16  tab mujhe prabhu ki woh baat yaad aayi, jo woh kaha karta tha, ‘yuhanna ne to paani se baptisma diya tha,+ magar tumhein pavitra shakti se baptisma diya jaayega.’+ 17  isliye jab parmeshvar ne unhein bhi woh muft vardan diya, jo usne hamein yaani prabhu yeeshu maseeh par vishvas karnevalon ko diya tha, to parmeshvar ko roknevala* bhala main kaun hota?”+ 18  jab unhonne ye baatein sunin to is baare mein aur kuch na kaha* aur yah kehkar parmeshvar ki mahima karne lage, “to iska matlab, parmeshvar ne gair-yahoodiyon ko bhi pashchatap karne ka mauka diya hai taaki woh bhi jeevan paayen.”+ 19  stifanus ke katla ke baad jab bhaaiyon par zulm hone lage aur woh titar-bitar ho gaye,+ to woh feeneeke, kuprus aur antakiya tak pahunch gaye. magar unhonne yahoodiyon ke alava kisi aur ko parmeshvar ka sandesh nahin sunaya.+ 20  lekin unmein se kuch chele jo kuprus aur kurene ke the, woh antakiya aaye aur yoonani bolnevale logon ko prabhu yeeshu ki khushkhabri sunane lage. 21  iske alava, yahova* ka haath un par tha aur badi taadad mein logon ne vishvas kiya aur prabhu ki taraf ho gaye.+ 22  unke baare mein yarooshalem ki mandli tak khabar pahunchi aur unhonne baranbas+ ko antakiya bheja. 23  vahaan pahunchkar jab usne parmeshvar ki maha-kripa dekhi, to woh bahot khush hua aur sabka hausla badhane laga ki woh dil ke pakke irade ke saath prabhu ke vafadar bane rahein.+ 24  kyonki baranbas ek achha insan tha aur pavitra shakti aur vishvas se bharpoor tha. aur badi taadad mein log prabhu par vishvas karne lage.+ 25  isliye baranbas tarsus gaya taaki vahaan jaakaar shaaool ko achhi tarah dhoondhein.+ 26  aur jab shaaool use mil gaya, to woh use antakiya le aaya. iske baad, poore ek saal tak woh vahaan ki mandli ke saath ikattha hote rahe aur logon ki badi bheed ko sikhate rahe. aur parmeshvar ke maargdarshan se antakiya mein hi pehali baar chele ‘maseehi’ kehlaye.+ 27  unhin dinon yarooshalem se kuch bhavishyavakta+ antakiya aaye. 28  unmein se ek ka naam agbus tha.+ usne uthkar pavitra shakti ki madad se bataya ki poori duniya mein bhaari akaal padnevala hai.+ yah akaal klaudiyus ke dinon mein pada. 29  tab antakiya ke chelon ne thaan liya ki harek se jitna ban padega,+ utna woh yahoodiya ke bhaaiyon ki madad ke liye raahat ka saaman bhejeinge.+ 30  aur unhonne aisa hi kiya aur yah saaman baranbas aur shaaool ke haathon pracheenon ke paas bheja.+

kai footnote

ya “jhagadne.”
shaa., “ek tarah ka bartan.”
ya “chaar-paironvale prani.”
ya “parmeshvar ka raasta roknevala.”
ya “aur etraz nahin kiya.”
ati. ka5 dekhein.