is jaankari ko chhod dein

main yahova ka sakshi kaise ban sakta hoon?

main yahova ka sakshi kaise ban sakta hoon?

yeeshu ne bataya tha ki yahova ka sakshi banne ke liye kaun-se kadam uthana zaroori hai aur ye kadam matti 28:19, 20 mein darz hain. ye aaytein batati hain ki maseeh ka chela banne yaani yahova ke baare mein gavahi dene ke liye ek vyakti ko kya karna hoga.

pehla kadam: bible se seekhiye. yeeshu ne apne chelon ko aagya di ki woh logon ko ‘chela banna aur saari baatein maanna sikhayen.’ (matti 28:19, 20) yahaan jis shabd ka anuvad “chela” kiya gaya hai uska shaabdik matlab hai, “seekhnevala.” bible mein yeeshu maseeh ki shikshaon ke saath-saath aisi jaankari di gayi hai jisse aap ek khushhal aur maksad-bhari zindagi ji sakeinge. (2 timuthiyus 3:16, 17) hum bible sikhane ka ek muft kaaryakram chalate hain aur aapki madad karne mein hamein bahot khushi hogi.​—matti 10:7, 8; 1 thisslunikiyon 2:13.

doosra kadam: seekhi baaton par chaliye. yeeshu ne kaha tha ki jo log seekhte hain, unhein ‘woh saari baatein maanni hongi jinki usne aagya di thi.’ (matti 28:20) iska matlab hai ki bible ka adhyan karke sirf gyaan lena kaafi nahin. aapko shaayad apni soch aur vyavhar mein bhi bade-bade badlav karne padein. (preshiton 10:42; ifisiyon 4:22-29; ibraniyon 10:24, 25) is tarah yeeshu ki aagya maannevale apni marzee se yeeshu ka chela baneinge aur yahova parmeshvar ko apna jeevan samarpit kareinge.​—matti 16:24.

teesra kadam: baptisma leejiye. (matti 28:19) bible mein baptisme ki tulna dafnaye jaane se ki gayi hai. (romiyon 6:2-4 se tulna keejiye.) yah is baat ki nishani hai ki ek vyakti ki beeti zindagi khatm ho gayi hai aur ab woh ek nayi zindagi ki shurooat kar raha hai. to fir, aapka baptisma sab logon par zahir karega ki aapne yeeshu ke bataye pehle do kadam uthaye hain aur ab aap parmeshvar se ek saaf zameer ki guzarish kar rahe hain.​—ibraniyon 9:14; 1 patras 3:21.

main kaise jaan sakta hoon ki main baptisme ke liye taiyar hoon ya nahin?

mandli ke pracheenon se miliye. woh aapse baat kareinge aur yah jaanna chaheinge ki kya aap bible ki shikshaon ko samajhte hain, seekhi baaton par chalte hain aur kya aapne parmeshvar ki marzee poori karne ke liye use apna jeevan samarpit kiya hai.​—preshiton 20:28; 1 patras 5:1-3.

kya sakshiyon ke bachchon ke liye bhi ye kadam uthana zaroori hai?

ji haan. woh apne bachchon ko ‘yahova ki marzee ke mutabik sikhate aur samjhate’ hain, theek jaise bible unhein aagya deti hai. (ifisiyon 6:4) lekin jaise-jaise bachche bade hote hain, unhein khud faisla karna hoga ki kya woh bible ki shikshaon ke baare mein seekheinge, unhein kabool karke un par chaleinge aur baptisme ke yogya baneinge. (romiyon 12:2) aakhir mein, har kisi ko apna faisla khud karna hoga ki woh yahova ki upasna karega ya nahin.​—romiyon 14:12; galatiyon 6:5.