is jaankari ko chhod dein

bible adhyan kya hai?

bible adhyan kya hai?

yahova ke sakshi aapke saamne bible adhyan karne ki peshkash rakhte hain. ismein aise bahot-se savalon ke javab diye jaate hain, jaise:

  • parmeshvar kaun hai?

  • kya parmeshvar sachmuch meri parvah karta hai?

  • main apne shaadi ke rishte mein kaise sudhar laa sakta hoon?

  • main zindagi mein khushi kaise paa sakta hoon?

neeche aapko hamare bible adhyan kaaryakram ke baare mein aksar poochhe jaanevale savalon ke javab mileinge.

adhyan kis tarah kiya jaata hai? hum ek vishay chunte hain jaise, “parmeshvar” ya “shaadi” aur fir jaanch karte hain ki usse judi bible ki alag-alag aaytein kya kehti hain. in aayton ki tulna karne se hum dekh paate hain ki poori bible us vishay ke baare mein kya batati hai. is tarah hum bible ko samajhne ke liye bible ki hi madad lete hain.

bible ka adhyan karne ke liye hum bible hamein kya sikhati hai?  kitab ka istemal karte hain. is kitab mein saaf-saaf samjhaya gaya hai ki bible doosre vishyon ke alava parmeshvar, yeeshu aur hamare bhavishya ke baare mein kya batati hai.

bible ka adhyan karne mein kitna kharcha aayega? adhyan muft hota hai aur adhyan ki kitabon ke liye paisa nahin liya jaata.

adhyan ke liye har baar kitna samay dena hoga? kai log hamare saath bible ka adhyan karne ke liye hafte mein kareeb ek ghanta nikalte hain. lekin aap jitna samay dena chahein de sakte hain. hum aapki sahooliyat ke mutabik aapke saath adhyan kareinge.

bible adhyan ki guzarish karne par kya hoga? jab aap bible adhyan ki guzarish kareinge, to koi yahova ka sakshi aapki suvidha ke anusar aapki batayi jagah aur samay par aapse milne aayega. woh chand minton mein dikhayega ki hum bible adhyan kis tarah karte hain. agar aapko achha lage, to aap ise jaari rakh sakte hain.

agar main bible adhyan kabool karoon, to kya mujhe yahova ka sakshi banna padega? nahin. yahova ke sakshi, logon ko bible ke baare mein sikhana pasand karte hain, lekin hum apne dharm se judne ke liye kisi par bhi dabav nahin daalte. iske bajay, hum sirf yah batate hain ki bible kya sikhati hai aur hum yah jaante hain ki harek ko yah chunne ka adhikar hai ki woh kin baaton par vishvas karega.—1 patras 3:15.