ibraniyon ke naam chitthi 10:1-39

  • jaanvaron ka balidan paapon ko nahin mita saka (1-4)

    • kaanoon bas ek chhaaya (1)

  • maseeh ka balidan ek baar hamesha ke liye (5-18)

  • ek nayi aur jeevit raah (19-25)

    • ek-doosre ke saath ikattha hona na chhodein (24, 25)

  • jaanboojhkar paap karne se khabardar (26-31)

  • dheeraj dharne ka bharosa aur vishvas (32-39)

10  kaanoon aanevali achhi baaton ki bas ek chhaaya hai,+ magar asliyat nahin. yah* saal-dar-saal chadhaye jaanevale ek hi tarah ke balidanon se parmeshvar ki upasna karnevalon ko kabhi paripoorna nahin bana sakta.+  agar aisa hota to kya balidan chadhana band nahin ho jaata? kyonki balidan laanevale* jab ek baar shuddh ho jaate, to unhein fir kabhi paapi hone ka ehsas nahin rehta.  iske bajay, in balidanon se logon ko saal-dar-saal unke paap yaad dilaye jaate hain+  kyonki yah mumkin nahin ki bailon aur bakron ka khoon paapon ko mita sake.  isliye jab maseeh duniya mein aaya to usne kaha, “‘toone balidan aur chadhava nahin chaha, magar toone mere liye ek shareer taiyar kiya.  toone na hom-baliyon ko manzoor kiya na paap-baliyon ko.’+  tab mainne kaha, ‘hey parmeshvar, dekh! main teri marzee poori karne aaya hoon (theek jaise kharre mein* mere baare mein likha hai).’”+  pehale woh kehta hai, “toone balidan aur chadhave aur hom-baliyaan aur paap-baliyaan nahin chahin”—jo kaanoon ke mutabik chadhayi jaati hain—  fir woh kehta hai, “dekh! main teri marzee poori karne aaya hoon.”+ woh pehale intazam ko khatm kar deta hai taaki doosra intazam shuroo kare. 10  jis “marzee”+ ke baare mein usne kaha, usi ke mutabik hamein pavitra kiya gaya kyonki yeeshu maseeh ne ek hi baar hamesha ke liye apna shareer bali kar diya.+ 11  iske alava, har yaajak pavitra seva* ke liye har din apni jagah par khada hota hai+ aur baar-baar vahi balidan chadhata hai,+ jo kabhi-bhi paapon ko poori tarah nahin mita sakte.+ 12  magar is insan ne paapon ke liye ek hi balidan hamesha ke liye chadha diya aur parmeshvar ke daayen haath jaa baitha.+ 13  tab se woh us vakt ka intazar kar raha hai jab uske dushmanon ko uske paanvon ki chauki bana diya jaayega.+ 14  usne ek hi balidan chadhakar un logon ko hamesha ke liye paripoorna kar diya hai jo pavitra kiye jaa rahe hain.+ 15  aur parmeshvar ki pavitra shakti bhi hamein is baat ke sach hone ki gavahi deti hai, kyonki yah pehale kehti hai, 16  “yahova* kehta hai, ‘un dinon ke baad main unke saath yahi karar karoonga. main apne kaanoon unke dilon mein daaloonga aur unke dimag par likhoonga.’”+ 17  fir woh kehti hai, “main unke paapon aur dusht kaamon ko fir kabhi yaad nahin karoonga.”+ 18  jin paapon ki maafi mil gayi hai, unke liye dobara balidan chadhane ki zaroorat nahin. 19  to bhaaiyo, hamein yeeshu ke khoon ke zariye us raah par chalne ki himmat mili* hai jo pavitra jagah le jaati hai.+ 20  usne yah nayi aur jeevit raah kholi* hai jo parde ko paar karke jaati hai+ aur yah parda uska shareer hai. 21  aur hamare paas aisa mahan yaajak hai jo parmeshvar ke gharane ka adhikari hai.+ 22  to aao hum sachche dil se aur poore vishvas se parmeshvar ke paas jaayen. kyonki hamare dilon par chhidkav karke hamare dusht zameer ko shuddh kiya gaya hai+ aur hamare shareer ko shuddh paani se nahlaya gaya hai.+ 23  aao hum bina dagmagaye apni aasha ka sab logon ke saamne ailan karte rahein,+ kyonki jisne vaada kiya hai woh vishvasyogya hai. 24  aur aao hum ek-doosre mein gehri dilchaspi lein* taaki ek-doosre ko pyar aur bhale kaam karne ka badhava de sakein*+ 25  aur ek-doosre ke saath ikattha hona* na chhodein,+ jaisa kuch logon ka dastoor hai balki ek-doosre ki himmat bandhayen.+ aur jaise-jaise tum us din ko nazdeek aata dekho, yah aur bhi zyada kiya karo.+ 26  ek baar sachchai ka sahi gyaan paane ke baad agar hum jaanboojhkar paap karte rahein,+ to hamare paapon ke liye koi balidan baaki nahin rehta.+ 27  magar sirf bhayanak saza aur krodh ki jvala baaki reh jaati hai jo virodhiyon ko bhasm kar degi.+ 28  jo insan kaanoon todta hai use do ya teen gavahon ke bayan par maar daala jaata hai aur us par daya nahin ki jaati.+ 29  to socho ki woh insan aur bhi kitni badi saza ke laayak samjha jaayega, jo parmeshvar ke bete ko pairon tale raundta hai aur karar ke us khoon ko maamooli samajhta hai+ jiske zariye use pavitra kiya gaya tha aur jisne pavitra shakti ke zariye ki gayi maha-kripa ka ghor apman kiya hai.+ 30  kyonki hum parmeshvar ko jaante hain jisne kaha hai, “badla lena mera kaam hai, main hi badla chukaunga.” aur yah bhi likha hai, “yahova* apne logon ka nyay karega.”+ 31  jeevit parmeshvar ke haathon mein padna bhayanak baat hai. 32  magar tum un beete dinon ko yaad karte raho jab tumne gyaan ki raushni paane ke baad+ kada sangharsh karte huye mushkilein sahi thi aur dheeraj dhara tha. 33  kabhi sareaam tumhara mazak udaya gaya* aur tumhein sataya gaya, to kabhi tum yah sab sehnevalon ke saath unke dukhon mein bhaageedar bane.* 34  tumne un logon ke saath hamdardi jatayi jo kaid mein the. aur jab tumhari cheezen looti gayin to tumne khushi se yah sah liya+ kyonki tum jaante the ki tumhare paas aisi sampatti hai jo kahin behtar hai aur sada kaayam rahegi.+ 35  isliye himmat ke saath bejhijhak bolna mat chhodo, kyonki tumhein iska bada inam diya jaayega.+ 36  tumhein dheeraj dharne ki zaroorat hai+ taaki parmeshvar ki marzee poori karne ke baad tum woh paa sako jiska vaada parmeshvar ne kiya hai. 37  bas ab “thoda hi vakt” baaki reh gaya hai+ aur “jo aanevala hai woh aayega aur der nahin karega.”+ 38  “lekin mera nek jan apne vishvas se zinda rahega”+ aur “agar woh peechhe hat jaaye to main usse khush nahin hounga.”+ 39  hum peechhe hatkar naash honevalon mein se nahin,+ balki unmein se hain jo vishvas rakhte hain taaki apna jeevan bacha sakein.

kai footnote

ya shaayad, “ye aadmi.”
shaa., “pavitra seva karnevale.”
shaa., “kitab ke kharre mein.”
ya “jan-seva.”
ati. ka5 dekhein.
ya “ka bharosa mila.”
shaa., “ka udghatan kiya.”
ya “ka khayal rakhein; par dhyan dein.”
ya “josh badhayen; udhaarein.”
yaani sabhaon mein aana.
ati. ka5 dekhein.
shaa., “maano rangshala mein tamasha banaya gaya.”
ya “saath khade huye.”