is jaankari ko chhod dein

kya kisi sanghathan ya dharm se judna zaroori hai

kya kisi sanghathan ya dharm se judna zaroori hai

shastra se javab

ji haan, kyonki parmeshvar chahta hai ki log uski upasna karne ke liye ikattha hon. shastra mein likha hai, “aao hum ek-doosre mein gehri dilchaspi lein taaki ek-doosre ko pyar aur bhale kaam karne ke liye ubharein aur ek-doosre ke saath ikattha hona na chhodein.”—ibraniyon 10:24, 25, footnote.

ek baar yeeshu ne apne shishyon se kaha, “agar tumhare beech pyar hoga, to isi se sab jaaneinge ki tum mere chele ho.” (yuhanna 13:35) aisa kehkar yeeshu ne is baat ka sanket diya ki aage chalkar uske shishya ek samooh mein sangthit honge. woh apna pyar zahir karne ke liye ek-doosre se mileinge. unke chhote-chhote samooh yaani mandliyaan hongi. in mandliyon ke log niyamit taur par upasna karne ke liye ikattha honge. (1 kurinthiyon 16:19) poori duniya mein unki aisi biradri hogi, jismein bhaaichara hoga.—1 patras 2:17.

kisi sanghathan ya dharm se sirf judna kaafi nahin

haalaanki shastra mein likha hai ki logon ko parmeshvar ki upasna ke liye ikattha hona chahiye, lekin ismein yah nahin kaha gaya hai ki parmeshvar ko khush karne ke liye kisi sanghathan ya dharm se judna hi kaafi hai. agar ek vyakti parmeshvar ko khush karna chahta hai, to use har din shastra mein di shikshaon ke mutabik chalna bhi hoga. udahran ke liye, shastra mein likha hai, “hamare parmeshvar aur pita ki nazar mein shuddh aur nishkalank dharm yah hai: anathon aur vidhvaon ki museebaton mein dekhbhal ki jaaye aur khud ko duniya se bedag rakha jaaye.”—yakub 1:27, footnote.