romiyon ke naam chitthi 14:1-23

  • ek-doosre ko doshi mat thehrao (1-12)

  • doosron ko thokar mat khilao (13-18)

  • shaanti aur ekta kaayam karo (19-23)

14  jiska vishvas kamzor hai use sweekar karo,+ magar yah dekhkar use galat mat thehrao ki uske vichar tumse alag hain.*  kisi ko vishvas hai ki sabkuch khaaya jaa sakta hai, magar jiska vishvas kamzor hai woh saag-sabzee khaata hai.  khaanevala, na khaanevale ko neecha na samjhe, vaise hi nahin khaanevala use doshi na thehraye jo khaata hai+ kyonki parmeshvar use sweekar karta hai.  tu kaun hota hai doosre ke sevak ko doshi thehranevala?+ woh khada rahega ya gir jaayega, iska faisla uska maalik karega.+ darasal, use khada kiya jaayega kyonki yahova* use khada kar sakta hai.  koi aadmi ek din ko doosre din se bada maanta hai,+ to doosra sabhi dinon ko ek barbar maanta hai.+ har ek insan vahi kare jiske baare mein use poora yakeen hai.  jo aadmi kisi din ko khaas maanta hai, woh yahova* ke liye maanta hai. aur jo khaata hai, woh yahova* ke liye khaata hai kyonki woh parmeshvar ko dhanyavad dekar khaata hai.+ aur jo nahin khaata woh yahova* ke liye nahin khaata, fir bhi woh parmeshvar ka dhanyavad karta hai.+  darasal hammein se koi bhi sirf apne liye nahin jeeta+ aur na hi koi apne liye marta hai.  kyonki agar hum jeete hain to yahova* ke liye jeete hain+ aur agar marte hain to yahova* ke liye marte hain. isliye chahe hum jeeyen ya marein, hum yahova* hi ke hain.+  isi vajah se maseeh ne apni jaan di aur fir zinda hua taaki woh mare huon aur jeeviton, donon ka prabhu thahre.+ 10  lekin tu apne bhaai ko kyon doshi thehrata hai?+ ya apne bhaai ko kyon neecha samajhta hai? hum sab parmeshvar ke nyay-aasan ke saamne khade honge,+ 11  kyonki likha hai, “yahova* ne kaha hai, ‘main apne jeevan ki shapath khaakaar kehta hoon,+ har koi mere saamne ghutne tekega aur har koi apni zaban se sabke saamne maan lega ki main hi parmeshvar hoon.’”+ 12  to fir hammein se har koi parmeshvar ko apna hisab dega.+ 13  isliye ab se hum ek-doosre par dosh na lagayen.+ iske bajay, thaan lo ki tum kisi bhaai ko thokar nahin khilaoge, na hi use girne ki vajah doge.+ 14  main jaanta hoon aur prabhu yeeshu mein mujhe yakeen hai ki koi bhi cheez ashuddh nahin hai,+ magar jo use ashuddh samajhta hai uske liye woh cheez ashuddh hai. 15  agar tere khaane ki vajah se tere bhaai ko thes pahunchti hai, to tu ab pyar ki raah par nahin chal raha.+ jiske liye maseeh ne apni jaan di hai, use tu apne khaane ki vajah se naash mat kar.+ 16  isliye tum log jo achha kaam karte ho, uski badnami mat hone do. 17  isliye ki parmeshvar ke raaj ka matlab khaana-peena nahin+ balki neki, shaanti aur woh khushi hai jo pavitra shakti se milti hai. 18  jo koi is tareeke se maseeh ka daas bankar uski seva karta hai, use parmeshvar sweekar karta hai aur woh insanon se bhi taareef paata hai. 19  to aao hum un baaton mein lage rahein jinse shaanti kaayam hoti hai+ aur ek-doosre ka hausla mazboot hota hai.*+ 20  sirf khaane ki khaatir parmeshvar ke kaam ko barbad mat karo.+ maana ki sab cheezen shuddh hain, magar ye tab nuksandeh* ho jaati hain jab ek insan ka khaana doosre ke liye thokar ki vajah banta hai.+ 21  achha to yah hai ki tu na maans khaaye, na daakh-madira peeye, na hi aisa kuch kare jisse tere bhaai ko thokar lage.+ 22  in maamlon mein tera jo vishvas hai, use parmeshvar ke saamne apne tak rakh. sukhi hai woh insan jo kisi kaam ko sahi samajhta hai aur use karne ke baad khud ko doshi nahin thehrata. 23  lekin agar uske man mein shak hai, fir bhi woh khaata hai to woh doshi thahar chuka hai kyonki woh vishvas se nahin khaata. vaakai, har woh kaam jo vishvas se nahin kiya jaata, paap hai.

kai footnote

ya shaayad, “niji savalon ko lekar galat mat thehrao.”
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.
ya “nirman hota hai.”
ya “galat.”