is jaankari ko chhod dein

kya ishvar sarvavyapi hai, woh kan-kan mein hai?

kya ishvar sarvavyapi hai, woh kan-kan mein hai?

shastra se javab

ishvar sabkuch dekh sakta hai aur jahaan chahe vahaan kuch bhi kar sakta hai. (neetivachan 15:3; ibraniyon 4:13) lekin pavitra shastra bible mein yah nahin bataya gaya hai ki ishvar sarvavyapi hai ya woh kan-kan mein hai. iske bajay, ismein bataya gaya hai ki woh ek shakhs hai aur uske nivas karne ki ek jagah hai.

  • ishvar ka roop: ishvar ek adrishya shakhs hai, jise insan dekh nahin sakta. (yuhanna 1:18; 4:24) bible mein likha hai ki kuch insanon ko parmeshvar ke darshan dikhaye gaye aur un sabhi mein woh ek khaas jagah par tha. bible mein aisa kahin nahin bataya gaya ki woh har kahin vaas karta hai.—yashayah 6:1, 2; prakashitvakya 4:2, 3, 8.

  • ishvar ka nivas-sthan: ishvar jahaan nivas karta hai, us jagah ko hum dekh nahin sakte. yah jagah us srishti jaisi nahin, jise hum dekh sakte hain. bible kehti hai ki parmeshvar ka “nivas-sthan swarg” hai. (1 raja 8:30) ismein bataya hai ki ek mauke par swargdoot ‘yahova ke saamne ikattha huye [“parmeshvar ke darbar mein upasthit huye,” hindi—common language].’ * isse pata chalta hai ki ek khaas jagah hai, jahaan parmeshvar nivas karta hai.—ayyoob 1:6.

agar ishvar sarvavyapi nahin yaani har kahin maujood nahin hai, to kya woh mera khayal rakh sakta hai?

bilkul. parmeshvar ko har kisi ki bahot fikra hai. haalaanki woh swarg mein rehta hai, lekin woh dharti par aise har insan par dhyan deta hai, jo vaakai use khush karna chahta hai. parmeshvar uski madad bhi karta hai. (1 raja 8:39; 2 itihas 16:9) dhyan deejiye ki yahova un logon ka kaise khayal rakhta hai, jo dil se uski upasna karte hain:

  • jab aap prarthna karte hain: jis pal aap prarthna karte hain, usi pal yahova use sun leta hai.—2 itihas 18:31.

  • jab aap bahot dukhi hote hain: “yahova toote manvalon ke kareeb rehta hai, woh unhein bachata hai jinka man kuchla hua hai.”—bhajan 34:18.

  • jab aapko salah chahiye: yahova bible ke zariye aapko “androoni samajh” dega aur sahi ‘raah par chalna sikhayega.’—bhajan 32:8.

ishvar kahaan vaas karta hai, is baare mein galat dhaarnayen

galat dhaarna: ishvar kan-kan mein vaas karta hai.

sachchai: ishvar na to dharti par vaas karta hai, na hi chaand-taaron ke beech. (1 raja 8:27) ismein koi do raay nahin ki taare aur srishti ki doosri cheezen “parmeshvar ki mahima bayan” karti hain. (bhajan 19:1) lekin parmeshvar unmein vaas nahin karta, theek jaise ek kalakar apni banayi painting mein nahin rehta. haan yah zaroor hai ki hum painting se kalakar ke baare mein kaafi kuch jaan sakte hain. usi tarah, srishti ki cheezon se hum parmeshvar ke ‘andekhe gunon’ ke baare mein jaan sakte hain, jaise uski taakat, buddhi aur pyar.—romiyon 1:20.

galat dhaarna: ishvar sarvavyapi hoga, tabhi to woh sarvashaktiman hai aur sarvagyani hai, yaani use sabkuch pata hai.

sachchai: parmeshvar ki pavitra shakti ya sakriya shakti uski aisi taakat hai, jo kaam karti rehti hai. pavitra shakti ke zariye parmeshvar kisi vakt, kahin bhi, kuch bhi dekh sakta hai, kuch bhi kar sakta hai. iske liye use vahaan maujood hone ki zaroorat nahin hai.—bhajan 139:7.

galat dhaarna: kuch logon ka kehna hai ki bhajan 139:8 ke hisab se ishvar har kahin hai, kyonki vahaan likha hai, “agar main oopar aakash par chadh jaaun, to tu vahaan rahega, agar main apna bistar neeche kabra mein lagaun, to tu vahaan bhi rahega.”

sachchai: is aayat mein parmeshvar ke nivas-sthan ke baare mein nahin baat ki gayi hai. darasal ismein kavita ke andaz mein yah bataya gaya hai ki aisi koi jagah nahin, jahaan parmeshvar hamari madad na kar sake.

^ para. 3 bible ke mutabik yahova, parmeshvar ka naam hai.