ayyoob 1:1-22

  • nirdosh ayyoob; uski daulat (1-5)

  • shaitan ne uski neeyat par saval uthaya (6-12)

  • ayyoob sampatti aur bachche kho baitha (13-19)

  • parmeshvar ko dosh nahin diya (20-22)

1  ooz naam ke desh mein ek aadmi rehta tha. uska naam ayyoob* tha.+ woh ek seedha-sachcha insan tha jismein koi dosh nahin tha.+ woh parmeshvar ka dar maanta aur burai se door rehta tha.+  uske saat bete aur teen betiyaan thi.  uske paas 7,000 bhedein, 3,000 unt, 1,000* gaay-bail aur 500 gadhiyaan thi. uske dher saare naukar-chaakaar bhi the. woh poorab ke rehnevalon mein sabse bada aadmi tha.  ayyoob ke sabhi bete tay dinon par apne-apne ghar daavat rakhte the* aur apni teenon behenon ko bhi bulate the.  jab daavton ka silsila khatm ho jaata tab ayyoob apne bachchon ko bulata taaki unhein shuddh kar sake. fir woh subah-subah uthkar apne har bachche ke liye hom-bali chadhata.+ uska kehna tha, “ho sakta hai mere bachchon ne koi paap kiya ho aur apne man mein parmeshvar ke baare mein kuch bura kaha ho.” ayyoob har baar aisa hi karta tha.+  ab woh din aaya jab sachche parmeshvar ke bete*+ uske saamne ikattha huye.+ shaitan*+ bhi unke beech yahova ke saamne aaya.+  yahova ne shaitan se poochha, “tu kahaan se aa raha hai?” shaitan ne yahova se kaha, “dharti par yahaan-vahaan ghoomte huye aa raha hoon.”+  tab yahova ne shaitan se kaha, “kya toone mere sevak ayyoob par dhyan diya? uske jaisa dharti par koi nahin. woh ek seedha-sachcha insan hai jismein koi dosh nahin.+ woh parmeshvar ka dar maanta aur burai se door rehta hai.”  shaitan ne yahova se kaha, “kya ayyoob yoon hi tera dar maanta hai?+ 10  kya toone uski, uske ghar ki aur uski sab cheezon ki hifazat ke liye chaaron taraf baada nahin baandha?+ toone uske sab kaamon par aasheesh di hai+ aur uske jaanvaron ki taadad itni badha di hai ki woh desh-bhar mein fail gaye hain. 11  lekin ab apna haath badha aur uska sabkuch chheen le. fir dekh, woh kaise tere munh par teri ninda karta hai!” 12  yahova ne shaitan se kaha, “to theek hai, ayyoob ka jo kuch hai woh main tere haath mein deta hoon. tujhe jo karna hai kar. magar ayyoob ko kuch mat karna.” tab shaitan yahova ke saamne se chala gaya.+ 13  fir jis din ayyoob ke bete-betiyaan apne sabse bade bhaai ke ghar khaana khaa rahe the aur daakh-madira pi rahe the,+ 14  us din ek aadmi ne aakaar ayyoob ko khabar di, “bail khet jot rahe the aur gadhiyaan paas mein char rahi thi 15  ki achanak sabai logon ne hamla bol diya aur saare jaanvaron ko lootkar le gaye. unhonne tere sevkon ko talvar se maar daala. sirf main bach nikala aur tujhe yah khabar dene aaya hoon.” 16  uski baat abhi poori bhi nahin hui thi ki ek doosra aadmi aaya aur kehne laga, “aasman se parmeshvar ki aag* giri aur usne teri bhedon aur tere sevkon ko jalakar bhasm kar diya. sirf main bach nikala aur tujhe yah khabar dene aaya hoon.” 17  uski baat abhi poori bhi nahin hui thi ki ek aur aadmi aaya aur kehne laga, “kasdi log+ teen dal banakar aaye aur tere unton par toot pade aur unhein le gaye. unhonne tere sevkon ko talvar se maar daala, sirf main bach nikala aur tujhe yah khabar dene aaya hoon.” 18  uski baat abhi poori bhi nahin hui thi ki ek aur aadmi aaya aur kehne laga, “tere bete-betiyaan apne sabse bade bhaai ke ghar khaana khaa rahe the aur daakh-madira pi rahe the. 19  tabhi achanak veerane se zordar aandhi chali aur ghar ke chaaron konon se aisi takrayi ki poora ghar tere bachchon par gir pada aur woh mar gaye. sirf main bach nikala aur tujhe yah khabar dene aaya hoon.” 20  yah sunte hi ayyoob ne dukh ke maare apne kapde faade aur apna sir mundvaya. usne zameen par girkar 21  kaha, “main apni maa ke pet se nanga aayaaur nanga hi laut jaaunga.+ yahova ne diya tha+ aur yahova ne le liya. yahova ke naam ki badai hoti rahe.” 22  itna sab hone par bhi ayyoob ne koi paap nahin kiya, na hi uske saath jo bura hua uske liye parmeshvar ko dosh diya.

kai footnote

shaayad iska matlab hai, “dushmani ka shikar.”
shaa., “500 jodi.”
ya “ayyoob ka har beta baari-baari se apne ghar daavat rakhta tha.”
parmeshvar ke swargdooton ke liye istemal honevala ibrani muhavra.
shabdavli dekhein.
ya shaayad, “bijli.”