is jaankari ko chhod dein

kya parmeshvar kisi ek khaas jagah mein rehta hai?

kya parmeshvar kisi ek khaas jagah mein rehta hai?

shastra se javab

ji haan, parmeshvar ek khaas jagah mein rehta hai. aur woh jagah hai, swarg. bible ki in aayton par dhyan deejiye:

raja sulaiman ne ek prarthna mein kaha, “tu apne swargeeya nivassthan mein se sun.”—1 raja 8:43.

yeeshu maseeh ne apne chelon ko sikhaya ki woh “swarg mein” rehnevale “pita” se prarthna karein.—matti 6:9.

yeeshu apne punrutthan ke baad, “swarg hi mein daakhil hua taaki . . . ab parmeshvar ke saamne haazir ho.”—ibraniyon 9:24.

in aayton se saaf pata chalta hai ki yahova parmeshvar ek asal shakhs hai. aur yah bhi ki woh har jagah nahin rehta, balki sirf swarg mein rehta hai.