yuhanna ko diya gaya prakashitvakya 5:1-14
5 aur mainne dekha ki raajgaddi par baithe+ parmeshvar ke daayen haath mein ek kharra hai jis par donon taraf* likha hua hai aur use saat muharon se muharband kiya gaya hai.
2 mainne dekha ki ek taakatvar swargdoot zordar aavaz mein ailan kar raha tha: “kaun in muharon ko todne aur is kharre ko kholne ke yogya hai?”
3 lekin na to swarg mein, na dharti par, na hi dharti ke neeche koi aisa tha jo us kharre ko kholne ya use padhne ke yogya ho.
4 aur main fut-futkar rone laga kyonki aisa koi bhi na mila jo use kholne ya padhne ke yogya ho.
5 tab pracheenon mein se ek ne mujhse kaha, “mat ro. yahooda gotra ke is sher ko dekh+ jo daavid+ ki jad hai.+ isne jeet haasil ki hai+ taaki is kharre aur iski saat muharon ko khole.”
6 aur mainne us raajgaddi ke paas* aur un chaar jeevit praniyon ke beech aur un pracheenon ke beech+ ek memna dekha+ jise maano bali kiya gaya tha.+ uske saat sing aur saat aankhein thi. in aankhon ka matlab parmeshvar ki saat pavitra shaktiyaan hain+ jinhein saari dharti par bheja gaya hai.
7 woh memna fauran aage badha aur usne raajgaddi par baithe+ parmeshvar ke daayen haath se woh muharband kharra le liya.
8 aur jab usne woh kharra liya to un chaar jeevit praniyon aur 24 pracheenon ne memne ke saamne girkar pranam kiya.+ har pracheen ke paas ek surmandal aur sone ka ek katora tha jismein dhoop bhara hua tha. (is dhoop ka matlab hai, pavitra janon ki prarthnayen.)+
9 aur woh ek naya geet gaate huye kehte hain,+ “tu hi is kharre ko lene aur iski muharein kholne ke yogya hai, kyonki tujhe bali kiya gaya aur toone apne khoon se har gotra, bhasha* aur jaati aur raashtra se+ parmeshvar ke liye logon ko khareed liya+
10 aur toone unhein hamare parmeshvar ke liye raja aur yaajak banaya+ aur woh raajaon ki haisiyat se dharti par raaj kareinge.”+
11 aur mainne us raajgaddi aur un jeevit praniyon aur un pracheenon ke chaaron taraf anginat swargdoot dekhe aur unki aavaz suni. unki ginti laakhon-karodon mein thi.+
12 aur woh zordar aavaz mein kah rahe the, “yah memna jo bali kiya gaya tha,+ shakti, daulat, buddhi, taakat, aadar, mahima aur aasheesh paane ke yogya hai.”+
13 aur mainne swarg mein, dharti par, dharti ke neeche+ aur samundar ke oopar aur inmein maujood har prani ko aur inmein jo kuch tha, un sabko yah kehte suna, “parmeshvar jo raajgaddi par baitha hai uska+ aur memne ka+ gungan ho aur aadar,+ mahima aur shakti hamesha-hamesha ke liye unhin ki ho.”+
14 aur woh chaar jeevit prani kah rahe the, “aameen!” aur un pracheenon ne girkar parmeshvar ki upasna ki.