yuhanna ko diya gaya prakashitvakya 12:1-17

  • aurat, ladka aur ajgar (1-6)

  • meekael ajgar se lada (7-12)

    • ajgar dharti par feink diya gaya (9)

    • shaitan jaanta hai uska vakt bahot kam hai (12)

  • ajgar aurat par zulm dhaata hai (13-17)

12  fir swarg mein ek badi nishani dikhayi di: ek aurat+ sooraj odhe huye thi aur chaand uske pairon tale tha aur uske sir par 12 taaron ka taaj tha  aur woh garbhvati thi. woh dard se chilla rahi thi aur bachcha janne ki peeda se tadap rahi thi.  fir swarg mein ek aur nishani dikhayi di aur dekho! aag jaise laal rang ka ek bada bhayanak ajgar+ dikhayi diya, jiske saat sir aur das sing the aur jiske siron par saat mukut the.*  usne apni poonchh se aakash ke ek-tihai taaron+ ko ghaseetkar dharti par feink diya.+ aur ajgar us aurat ke saamne hi khada raha+ jo bachcha jannevali thi taaki jab uska bachcha ho to us bachche ko nigal jaaye.  us aurat ne ek bete yaani ek ladke ko janm diya,+ jo charvahe ki tarah sab raashtron ko lohe ke chhad se haankega.+ us aurat ke bachche ko chheenkar* parmeshvar aur uski raajgaddi ke paas le jaaya gaya.  woh aurat veerane mein bhaag gayi, jahaan parmeshvar ne uske liye ek jagah taiyar ki thi taaki vahaan 1,260 din tak use khilaya-pilaya jaaye.+  aur swarg mein yuddh chhid gaya: meekael*+ aur uske swargdooton ne ajgar se ladai ki aur ajgar aur uske dusht swargdooton ne unke saath ladai ki.  magar ajgar aur dusht swargdoot unka saamna na kar sake* aur swarg mein unke liye fir jagah na rahi.  isliye woh bada bhayanak ajgar,+ vahi purana saanp,+ jo iblees+ aur shaitan+ kehlata hai aur jo saare jagat* ko gumrah karta hai,+ woh neeche dharti par feink diya gaya+ aur uske dusht swargdoot bhi uske saath feink diye gaye. 10  aur mainne swarg se ek zordar aavaz ko yah kehte suna: “hamare parmeshvar ki taraf se uddhaar+ aur uski shakti aur uska raaj+ aur uske maseeh ka adhikar ab zahir hua hai kyonki hamare bhaaiyon par dosh laganevala neeche feink diya gaya hai, jo din-raat hamare parmeshvar ke saamne un par dosh lagaya karta tha!+ 11  aur unhonne memne ke khoon ki vajah se+ aur us sandesh ki vajah se jiski unhonne gavahi di thi,+ us par jeet haasil ki+ aur maut ka saamna karte vakt bhi apni jaan ki parvah nahin ki.+ 12  isliye hey swarg aur usmein rehnevalo, khushiyaan manao! hey dharti aur samundar, tum par badi museebat toot padi hai+ kyonki shaitan tumhare paas neeche aa gaya hai aur bade krodh mein hai, kyonki woh jaanta hai ki uska bahot kam vakt baaki reh gaya hai.”+ 13  jab ajgar ne dekha ki use dharti par feink diya gaya hai+ to usne us aurat par zulm dhaaye+ jisne ladke ko janm diya tha. 14  magar aurat ko bade ukab ke do pankh+ diye gaye taaki woh udkar veerane mein us jagah chali jaaye jo uske liye taiyar ki gayi thi aur woh saanp se door rahe+ aur vahaan ek kaal, do kaal aur aadhe kaal* ke liye use khilaya-pilaya jaaye.+ 15  aur saanp ne us aurat ke peechhe apne munh se nadi jaisi paani ki dhaara chhodi taaki aurat nadi mein doob jaaye. 16  magar prithvi ne aurat ki madad ki aur prithvi ne apna munh khola aur us nadi ko nigal liya jo ajgar ke munh se nikli thi. 17  aur ajgar aurat par bhadak utha aur us aurat ke vansh* ke baaki bache huon se yuddh karne nikaal pada,+ jo parmeshvar ki aagyayen maante hain aur jinhein yeeshu ki gavahi dene ka kaam mila hai.+

kai footnote

ya “shaahi pattiyaan thi.”
ya “pakadkar.”
matlab “parmeshvar jaisa kaun hai?”
ya shaayad, “magar woh [yaani ajgar] haar gaya.”
ya “poori dharti par jahaan-jahaan log base huye hain.”
yaani saadhe teen kaal ya samay.
shaa., “beej.”