yuhanna ko diya gaya prakashitvakya 11:1-19

  • do gavah (1-13)

    • taat odhe huye 1,260 din bhavishyavani karte hain (3)

    • maar daale jaate hain par dafnaye nahin jaate (7-10)

    • saadhe teen din baad zinda kiye jaate hain (11, 12)

  • doosra kehar beeta, teesra aanevala hai (14)

  • saatvin turhi (15-19)

    • hamare maalik aur uske maseeh ka raaj (15)

    • prithvi ko tabah karnevale khatm honge (18)

11  aur mujhe chhad* jaisa narkat diya gaya+ aur mujhse kaha gaya, “uth aur parmeshvar ke mandir ke pavitra-sthan aur uski vedi aur mandir mein upasna karnevalon ko naap.  magar mandir ke pavitra-sthan ke baahar jo aangan hai use chhod de, mat naap kyonki yah aangan doosre raashtron ko diya gaya hai aur woh 42 maheene tak pavitra nagri+ ko apne pairon tale raundeinge.+  main apne do gavahon ko bhejoonga taaki woh taat odhkar 1,260 din tak bhavishyavani karein.”  jaitoon ke do ped aur do deevtein un do gavahon ki nishaniyaan hain+ aur woh poori dharti ke maalik ke saamne khade hain.+  agar koi un gavahon ko nuksan pahunchna chahe, to unke munh se aag nikaaltee hai aur unke dushmanon ko bhasm kar deti hai. jo koi unhein nuksan pahunchna chahega woh isi tarah maar daala jaayega.  unke paas yah adhikar hai ki aakash* ko band kar dein+ taaki unke bhavishyavani karne ke dinon mein baarish na ho+ aur paani ko khoon mein badal dein+ aur jab chahein tab dharti par har tarah ka kehar barsayen.  aur jab woh gavahi de chuke honge, to woh jangli jaanvar jo athah- kund se baahar nikala tha, unse ladega aur un par jeet haasil karega aur unhein maar daalega.+  aur unki laashein us bade shehar ke chaurahe par padi raheingi, jo laashanik arth mein sadom aur misra kehlata hai, jahaan unke prabhu ko bhi kaath par latkakar maar daala gaya tha.  aur jaatiyon aur gotron aur bhaashaon* aur raashtron ke log saadhe teen din tak unki laashein dekhte raheinge+ aur unhein kabraa mein nahin rakhne deinge. 10  aur dharti ke rehnevale unki maut par bahot khush honge aur jashna manayenge aur ek-doosre ko tohfe bhejeinge kyonki un donon bhavishyavaktaon ne dharti ke rehnevalon ko apne sandesh se tadpaya tha. 11  saadhe teen din ke baad parmeshvar ki taraf se jeevan-shakti unmein aayi+ aur woh apne pairon par uth khade huye aur jinhonne unhein dekha tha un par khauf chhaa gaya. 12  aur unhein aakash se ek zordar aavaz sunayi di jo unse kah rahi thi, “yahaan oopar aao.” aur woh baadlon mein oopar aakash mein gaye aur unke dushmanon ne unhein dekha.* 13  usi ghadi ek bada bhookamp hua aur us nagri ka dasvan hissa dhah gaya. us bhookamp se 7,000 log maare gaye aur baaki logon par dar chhaa gaya aur unhonne swarg ke parmeshvar ki mahima ki. 14  doosra kehar beet chuka.+ dekh! teesra kehar bahot jald tootnevala hai. 15  saatvein swargdoot ne apni turhi foonki.+ aur swarg mein zordar aavazen sunayi di jo kah rahi thi, “duniya ka raaj ab hamare maalik+ aur uske maseeh ka ho gaya hai+ aur woh hamesha-hamesha tak raja bankar raaj karega.”+ 16  aur 24 pracheen+ jo parmeshvar ke saamne apni raajgaddiyon par baithe the, munh ke bal gir pade aur unhonne yah kehte huye parmeshvar ki upasna ki, 17  “sarvashaktiman parmeshvar yahova,* tu jo tha aur jo hai,+ hum tera shukriya ada karte hain kyonki toone apni mahashakti se raja ke taur par raaj karna shuroo kar diya hai.+ 18  magar raashtron ka gussa bhadak utha aur tera krodh un par aa pada aur tay kiya gaya vakt aa pahuncha jab mare huon ka nyay kiya jaaye aur tere daason yaani bhavishyavaktaon ko+ aur pavitra janon ko aur tere naam ka dar maannevale chhote-bade sabhi logon ko inam diya jaaye+ aur prithvi ko tabah karnevalon ko khatm kar diya jaaye.”*+ 19  aur swarg mein parmeshvar ke mandir ka pavitra-sthan khola gaya aur uske karar ka sandook mandir ke pavitra-sthan mein dekha gaya.+ aur bijliyaan kaundhin, zordar aavazen aayin, garjan aur bhookamp hua aur bade-bade ole pade.

kai footnote

ya “maap-chhad.”
ya “swarg.”
ya “zaban.”
ya “dushman dekh rahe the.”
ati. ka5 dekhein.
ya “naash karnevalon ka naash kar diya jaaye.”