is jaankari ko chhod dein

kya yahova ke sakshi, yeeshu par vishvas karte hain?

kya yahova ke sakshi, yeeshu par vishvas karte hain?

ji haan. hum yeeshu par vishvas karte hain jisne kaha tha: “main hi woh raah, sachchai aur jeevan hoon. koi bhi pita ke paas nahin aa sakta, siva uske jo mere zariye aata hai.” (yuhanna 14:6) hum maante hain ki yeeshu swarg se dharti par insan bankar aaya aur usne apni siddh zindagi firauti balidan ke taur par di. (matti 20:28) uski maut aur punrutthan se us par vishvas dikhanevalon ke liye hamesha ki zindagi paana mumkin hua hai. (yuhanna 3:16) hum yah bhi maante hain ki yeeshu, parmeshvar ke raaj ka raja hai aur abhi swarg mein hukoomat kar raha hai. yah vahi raaj hai jo bahot jald poori dharti par shaanti laayega. (prakashitvakya 11:15) lekin hum yeeshu ki is baat par bhi yakeen karte hain: “pita mujhse bada hai.” (yuhanna 14:28) ji haan, hum maante hain ki yeeshu sarvashaktiman parmeshvar nahin hai isliye hum uski upasna nahin karte.