is jaankari ko chhod dein

yahova ke sakshi un logon ke paas kyon jaate hain jo pehle keh chuke hain, “mujhe dilchaspi nahin hai”?

yahova ke sakshi un logon ke paas kyon jaate hain jo pehle keh chuke hain, “mujhe dilchaspi nahin hai”?

yahova ke sakshi parmeshvar aur apne padosiyon se pyar karte hain, isliye woh har kisi ko bible ka sandesh dete hain, unhein bhi jo keh chuke hain ki “mujhe dilchaspi nahin hai.” (matti 22:37-39) parmeshvar ka pyar hamein ubhaarta hai ki hum uske bete ki yah aagya maanein, ‘achhi tarah gavahi do.’ (preshiton 10:42; 1 yuhanna 5:3) aisa karne ke liye hum logon ko parmeshvar ka sandesh baar-baar dete hain, jaisa ki beete samay mein parmeshvar ke bhavishyavaktaon ne diya tha. (yirmayah 25:4) hum apne padosiyon se pyar karte hain isliye hum har kisi ko ‘raaj ki khushkhabri’ sunate hain, unhein bhi jinhein hamare sandesh mein pehle dilchaspi nahin thi taaki unki jaan bach sake.—matti 24:14.

aksar aisa hota hai ki jis ghar mein pehle kisi ne dilchaspi nahin li thi, vahaan hamein aise log milte hain jinhein hamare sandesh mein dilchaspi hai. aisa kyon hota hai? iski teen vajahon par dhyan deejiye:

  • log aksar ghar badalte rehte hain.

  • parivar ke doosre log hamare sandesh mein dilchaspi lete hain.

  • logon ke haalaat badalte rehte hain. duniya ke ya apne badalte haalaat ki vajah se kuch logon mein “parmeshvar se maargdarshan paane ki bhookh” badh jaati hai aur woh bible ke baare mein aur jaanna chahte hain. (matti 5:3) preshit paulus ki tarah kuch log jo pehle hamara virodh karte the, unka dil pighal jaata hai aur woh hamari baat sunne ke liye taiyar ho jaate hain.—1 timuthiyus 1:13.

fir bhi, hum kisi ko zabardasti apna sandesh nahin sunate. (1 patras 3:15) hamara maanna hai ki har kisi ko yah faisla karne ka hak hai ki woh kiski upasna karna chahta hai.—vyavasthavivran 30:19, 20.